Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 3171 - 3180 of 3592, Page 318 of 360 pages.


Mohabaat mein ibadaat ki thi uski
hooton par naam uska, dil mein tasveer thi uski
par mohabaat k badle mein humein mohabaat nahi mili
jiss mehfil mein khade khade lut gaye,
wo mehfil thi uski.

 0 People liked it
0 Ratings


Tere har soch AshFaq ko kuch de jaati hai
Kabhi nam aankhe to kabhi dard de jaati hai,
Labo se hansi chin le jaati hai
Kabhi kapkapate honth chor jaate hai,
Takte the jin aankho se rahe tari
Un aankho ko suna ker jaati hai,
Kehna chahte hai bahut kuch
Lakin mere Awaz ko suna ker jaati hai,
Zakhmo ka hisab kya denge
Zakhm pe zakhm de jaati hai,
Tere har soch AshFaq ko kuch de jaati hai
Kabhi nam aankhe to kabhi dard de jaati hai..
Kaifiyat mere ishq mein itni hai,
Door jaa jaaker bhi tuh laut k ayegi,
Nahi mitega mera saya tere ankho se,
Harr ashq mein tu apne mujhe hi payegi !!!

 1 People liked it
0 Ratings


Jitna Hai Gum Utna Ziyada Peeya Jaaye,
Aaj Zakhmon Ka Hisaab Baraabar Kya Jaaye.
Aaj Irada Karke Nikle Hain Hum Ghar Se Ke,
Unke Diye Saare Gumon Ko Ab Dafnaya Jaaye.

 0 People liked it
0 Ratings


Pal pal tum yaad aate ho
Pal pal mujhe tadpa te ho
Pal pal mein jeeti hou
Lekin har pal, jeeker bhi marti hou
Tumhare bina taanhai ko raasta mila
Har muskaan is pe guzar kar chala gya
Subah ho shaam, sirf ek saval pooch te hou
Tumhare bina, mein kyou zinda ra hou
Chalte Chalte, khuda ke kasam
De ke pyaar ka vaasta, na juda honge hum
Is duniya mein tho nahi rahe hum sanam
Isi liye jab hum milenge
saath lenge dubara janam

 0 People liked it
0 Ratings


Ho nahi sakda mainu teri yaad na aawe,
Bhulke tainu bhula oh sama na aawe!!..
tu bhulei taan tainu koi aukhi wah na aave,
mei bhula taa mainu aaga saah na aave!!

 0 People liked it
0 Ratings


Barish aur main,
dono ek jaisay hain, rote hain,
tadapte hain,
sisakte hain, machalte hain,
bond bond dard ka!
khamoshi se apni ragoon main utar lete hain,
aur phr muskura kar chupke se..
chup ki chaddar odh lete hain..
haan sahyad,
BARISH aur MAIN dono ek hi jaisay hain!

 0 People liked it
0 Ratings


Amawas ki kaali raaton mein dil ka darwaja khulta hai,
Jab dard ki pyaali raaton mein gum ansoon ke sang hote hain,
Jab pichwade ke kamre mein hum nipat akele hote hain,
Jab ghadiyan tik-tik chalti hain, sab sote hain, hum rote hain,
Jab baar baar dohrane se saari yaadein chuk jaati hain,
Jab unch-neech samjhane mein mathe ki nas dukh jaati hain,
Tab ek pagli ladki ke bin jeena gaddari lagta hai,
Aur us pagli ladki ke bin marna bhi bhari lagta hai.
Jab pothe khali hote hain, jab har sawali hote hain,
Jab gazlen raas nahin aatin, afsane gaali hote hain.
Jab baasi feeki dhoop sametein din jaldi dhal jaata hai,
Jab suraj ka laskhar chhat se galiyon mein der se jaata hai,
Jab jaldi ghar jaane ki ichha mann hi mann ghut jaati hai,
Jab college se ghar laane waali pahli bus chhut jaati hai,
Jab beman se khaana khaane par maa gussa ho jaati hai,
Jab laakh mana karne par bhi paaro padhne aa jaati hai,
Jab apna manchaha har kaam koi lachari lagta hai,
Tab ek pagli ladki ke bin jeena gaddari lagta hai,
Aur us pagli ladki ke bin marna bhi bhari lagta hai.
Jab kamre mein sannate ki awaj sunai deti hai,
Jab darpan mein aankhon ke neeche jhai dikhai deti hai,
Jab badki bhabhi kahti hain, kuchh sehat ka bhi dhyan karo,
Kya likhte ho lalla dinbhar, kuchh sapnon ka sammaan karo,
Jab baba waali baithak mein kuchh rishte waale aate hain,
Jab baba humein bulate hain, hum jaate hain, ghabrate hain,
Jab saari pahne ladki ka ek photo laya jaata hai,
Jab bhabhi humein manati hain, photo dikhlaya jaata hai,
Jab saare ghar ka samjhana humko fankari lagta hai,
Tab ek pagli ladki ke bin jeena gaddari lagta hai,
Aur us pagli ladki ke bin marna bhi bhari lagta hai.
Didi kahti hain us pagli ladki ki kuchh aukat nahin,
Uske dil mein bhaiya tere jaise pyare jasbat nahin,
Wo pagli ladki mere liye nau din bhooki rahti hai,
Chup-chup saare vrat karti hai, par mujhse kabhi na kahti hai,
Jo pagli ladki kahti hai, main pyar tumhi se karti hoon,
Lekin mein hoon majboor bahut, amma-baba se darti hoon,
Us pagli ladki par apna kuchh adhikar nahin baba,
Yeh katha-kahani kisse hain, kuchh bhi to saar nahin baba,
Bas us pagli ladki ke sang jeena fulwari lagta hai,
Aur us pagli ladki ke bin marna bhi bhari lagta hai.
Originally written by manjeet singh dhondy.friends.mere mitr manjeet ji ki bahut saari rachnaaye aise hi chhdm(nakli)naamo se kai kai sites par padi hain.aur kuchh log use apne naam se chhaap r rahe hain.main un saari kavitaaon ko ek jagah laane ka prayaas kar rahaa hun.i hope..aapko ye poetry bhi pasand aayegi.

 0 People liked it
0 Ratings


Kuch Nasha Aapki Baat Ka Hai,
Kuch Nasha Dhimi Barsat Ka Hai,
Hame Aap Yuhi Sharabi Maat Kahiye,
Ye Dil Par Asar Aapse Pahali Mulaqat Ka Hai…

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 3171 - 3180 of 3592, Page 318 of 360 pages.