Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 3181 - 3190 of 3592, Page 319 of 360 pages.


Sahi Kehte Hain Log Kisi Se Dil Na Lagana,
Kisi Ko Is Tarah Tum Apne Dil Me Na Basana,
Ye Tumhara Dil Tod Ke Akela Chhod Denge,
Inaki Yaado Ko Lekar Padega Aansu Bahana.

 0 People liked it
0 Ratings


Dear, friend.
I am Arzoo.
My first time and first shayari.
Khath likho to kiya likho likhne me dil lagta nahi.
Lakh koshis kartahoo pher bhi kalam chalta nahi.

 0 People liked it
0 Ratings


Kuch lamhe “December” ke humne yun gujare hain,
Ki mausam teri yaadon k tasveer mein utaaren hain,
Kampkapate hoton se dagmagati dhadkan se,
Humne apne “rabb” se dua ye maangi hai,
Ab ki baar sawan me, jab bhi baadal utray tou,
Bas yehi tamanna hai, nafraton ki barish me,
Dushmano ki sazish me,bas issi gujarish me,
Zindgi ko jeene ka ikhtiyaar mil jaye,
Ae mere “Khuda” sab ko unka sacha pyar mil jaye.

 0 People liked it
0 Ratings

Manzil Bhi Uski Thi
Rasta Bhi Uska Tha
Ek Main Akela Tha
Kafila Bhi Uska Tha
Saath-Saath Chalne Ki Soch Bhi Uski Thi
Phir Rasta Badalane Ka Faisla Bhi Uska Tha
Aaj Kyon Ekela Hoon? Dil Swal Karta Hai
Log To Uske The Par Kya Khuda Bhi Uska Tha

Hindi Version
मंजिल भी उसकी थी, रास्ता भी उसका था, एक मैं अकेला था, काफिला भी उसका था, साथ – साथ चलने की सोच भी उसकी थी, फ़िर रास्ता बदलने का फ़ैसला भी उसका था ! आज क्योँ अकेला हूँ? दिल सवाल करता है, लोग तो उसके थे पर क्या खुदा भी उसका था !

 0 People liked it
0 Ratings


Muddato baad yeh dil patthar se dil huwa hai, ise dil rahne do.
Dil mein hai jo arman use zaban se kahe lene do,
Pata nahi Zindagi ki Kab shaam Dhal Jaye Agar ajj Mile hai to Kahe lene Do!!!.

 0 People liked it
0 Ratings


Dil Ki Baaton Pe Aise Aitbaar Na Kar
Yahi Acha Hai Tu Kisi Se Pyaar Na Kar
Bana Na De Gayal Tujhko Bhi Mahobaat
Tu Apne Dil Ko Kisike Liye Bekarar Na Kar
Badi Hoti Hai Muskhil Ye Judai Ki Gadiyan
Tu Dil Main Apne Kafir Ka Intezaar Na Bhar
Aaj Nahi Raha Duniya Main Kahin Sacha Pyaar
Ye Suada Hai Dilon Ka Tu Ye Vayapar Na Kar
Nahi Hoti Yahan Kimaat Ehsaason Ki Koi Bhi
Tu Hoke Diwana Iss Kadar Jaan Nisaar Na Kar..

 0 People liked it
0 Ratings


Uss Key Bin Chup Chup Rehna Ab Acha Lagta Hai
Khamooshi Say Ek Dard Ko Sehna Acha Lagta Hai
Jis Hasti Ki Yaad May Aansoo Barastey Hain
Samaney Us Key Kuch Na Kehna Acha Lagta Hai
Mil Kar Us Say Bhichar Na Jaoon Darta Rehta Hoon
Is Liye Bas Dour Hi Rehna Acha Lagta Hai
Jee Chahey Sari Khushyaan Lay Kar Us Ko Deydoon
Us Key Pyaar May Sab Kuch Khoona Acha Lagta Hai
Us Ka Milna Na Milna Qismat Ki Baat Hai
Pal Pal Us Ki Yaad Roona Acha Lagta Hai
Us Key Bina Sari Khushyaan Aajab lagti Hain
Roo Roo Kar Us Ki Yaad May Soona Acha Lagta Hai
Ham Say Muhabbatoon Ki Numayaish Na Hoo Saki
Bas Etna Jantey Hain Key Tumhain Chahna acha lagta hai.

 0 People liked it
0 Ratings


Main tab jaanuu mere dil sey chale jaao judaa hokar,
Yeh kyaa jaaney mein jaanaa hai, jaatey ho Khafaa hokar,
Main tab jaanuu mere dil say chaley jao judaa hokar,
Qayaamat tak udegii dil say uth-kar khaak aankhon tak,
Isii raaste gayaa hai hasraton kaa kaafilaa hokar,
Tumhiin ab dard-e-dil kay naam say ghabaraaye jaate ho,
Tumhiin tou dil mein shaayad aaye thay dard-e-aashiyaan hokar
Yuun hii hamdam ghadii bhar ko milaa kartey tou behtar thaa,
Kay dono vaqt jaisey roz miltey hain judaa hokar,
mail compiled by,
jass_cancerian

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 3181 - 3190 of 3592, Page 319 of 360 pages.