Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 3231 - 3240 of 3592, Page 324 of 360 pages.


Sapna ek lekin mushkile hazar hai,
Tanhayi aur gum to mere bachpan ke yaar hai!..
Ab to yeh dil maut ke liye bhi taiyaar hai,
kyunki is zindagi me hume sirf bewafao se pyaar hai!!

 0 People liked it
0 Ratings


Teri aadat si hogayi thi,
dil ki tu raahat si hogayi thi,
teri judaai na manzoor thi kabhi,
dil se dil ki duuri na manzoor hai kabhi,
mere ezhaar-e-ishq ki mujhe hamesha gham rahegi,
tujhse na keh paane ki sajaa rahegi,
sabak mere baatoon mein nahin zindagi mein rahegi,
tere wafaa ko salaam, judaai se kafaa rahegi.

 0 People liked it
0 Ratings


Watan hamara to aik gulshan hay
Aur kyari hamari Aazadi
Is pe Tan Man nisar ho Apna
Hum ko jaan say hy pyari Aazadi
Is k Khaitoon Khalyanoon Shehroon main
Is ky drya behti nehroon Main
Goonjta hay sirf nara-e-Akbar
Is pe takya hay sari Aazadi
Qaim iska waqar rakhna hay
Aur yeh aitbar rakhna hay
Sada lagay gi dushmanoon k seenoon pe
Bn k aik zarb kari Aazadi
Iqbal ka dlnasheen khayal hay yeh
Johad Quaid ki aik misal hay yeh
Aur shaheedoon k khoon ka tohfa
Hum pe hay qarz bhari Aazadi
Watan si koi baat kaheen aur nahi hay
Gulshan si koi baas kaheen aur nahi hay
Jugnoo k chamknay k liya sirf raat hay kafi
Khilnay k liya phooloon k barsat hay kafi
Aazadiya izhar ki sooghat hay kafi
Aik honay ka ahsas kaheen aur nahi hay
Dolat ki gerchah yahan farawani nahi hay
Punjab ka pr aur kaheen pani nahi hay
Quaid kisi aur jagah bani nahi hay
Yeh pyar yeh ikhlas kaheen aur nahi hay
Dherti bhi aik jesi Aakash bhi hay wesa
Phooloon ki rango boo ka libas hay aik jesa
Seep main hain mooti almas aik jesa
Apnoon ka yeh aflas kaheen aur nahi hay

 0 People liked it
0 Ratings


Khoobsurat Naam
Aey Hasin lardki, Appna naam toe batati ja,
Aey Hasin lardki, Mera dil toe leyti ja,
Aey Hasin lardki, Tere dur sey na jaunga,
Aey Hasin lardki, Tujhe utha ley jaunga,
Aey Hasin lardki, Tujhe raat bhr jagaunga,
Aey Hasin lardki, Tere khawabon mey aunga.
Aey Hasin lardki, Appna naam toe batati ja,
Aey Hasin lardki, Apna dil toe deyti ja.

 0 People liked it
0 Ratings


tadap uthuun bhii to zaalim terii duhaaii na duun
main zakhm zakhm huun phir bhii tujhe dikhaaii na duun
tere badan men dhadakane lagaa huun dil kii tarah
ye aur baat ke ab bhii tujhe sunaaii na duun
Khud apane aap ko parakhaa to ye nadaamat hai
ke ab kabhii use ilzaam-e-bevafaaii na duun
mujhe bhii dhuundh kabhii mahv-e-aaiinaadaarii
main teraa aqs huun lekin tujhe dikhaaii na duun

 0 People liked it
0 Ratings


Sheesh mehal main rehne wale’
Dil ka basar bhi dekh le
Khawboon ko hakiquat main badle
Bandh aankhon main dum nahi…
Nab ki udaan barne wale
Juka ke nazar bhi dekh le….
Sango-khisht ne makaan banaye’ (Sang – patthar, Khisht – eent)
Ghar ke jaan rishtoon ne daali….
Mooh mode ke jane wale
Tootne ka manzar bhi dekh le..
Yun to tum ne dekhi duniya
Khaak dekhe jo dekhe tanhaa.
Abki thakaan barne se pehle
Idar ka guzar bhi dekh le..
Tanhayee ko mita sake jo
Humsafar hai dawha nahi.
Jo haat utha ke saath hai maanga
Dua ka aasar bhi dekh le..
Sheesh mehal main rehne wale
Dil ka basar bhi dekh le

 0 People liked it
0 Ratings


Khoobsurat ho tum,
Badi nazuk ho tum,
Shayad badi nazaqat se banaya hoga rabne tumhe,
Khoobsurati ki inteha ho tum..

 0 People liked it
0 Ratings

Har raat ko ek khayab aata hai…….
Akale main nahi sabke saath yaad aata hai….
Hum ne dekha tha unko appne saath….
Lekin aap sabko group nazar aata hai

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 3231 - 3240 of 3592, Page 324 of 360 pages.