Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 3271 - 3280 of 3592, Page 328 of 360 pages.

Kuch bikhre sapne aur aankhon main nami hai,
Ek chotta sa aasma aur ummidon ki zamin hai,
u toa bahut dost hain jindagi main,
Par jo khas hai vahi paas nhi hai…..

 0 People liked it
0 Ratings


Mujhe Kisi Se Koi Gila Hi Nahi
Woh Mera Tha Hi Nahi
Jo Mujhe Mila Hi nahi
Darte The Kaise Jeeyenge Uss Se Bichad Ke
Par Ab Toh Yaadoun Ka Silsila Bhi Nahi
Mujhe Tujh Se Koi Shikayat Nahi
Jo Samajh Sake Mujh Ko Woh Tu Nahi
Shayed Aisa Kabhi Koi Mila Hi Nahi
Phir Bhi Iss Zamane Se
Akele Ladne Ka Hounsla Baqi Hai mujh Me
Tumhare Baad Kitne Toofan Aaye
Mein Kabhi Hili Hi Nahi ..

 0 People liked it
0 Ratings


Zulfen hain uski bheegi huyi raat jaisi,
Lehja khushk sa hai barsaat jaisa,
Khushbu se uski mehkti hai qaayenaat,
Uska khyaal bhi hai mulaaqaat ki jaisa..

 0 People liked it
0 Ratings


Khoobsurat ho tum,
Badi nazuk ho tum,
Shayad badi nazaqat se banaya hoga rabne tumhe,
Khoobsurati ki inteha ho tum.

 0 People liked it
0 Ratings


Sab kuch paker bhi mene khona sikha
Khuli aankhon se mene sona sikha
Kitna tadpa tha ye dil Jab
Hunsker bhi mene rona sikha..

 0 People liked it
0 Ratings


Jitni Samandar Ki Geherai Hai,
Utni hi Mamta Inmain Samai Hai,
Parwardigahh k Rehmo karam Se ye Pak  Ruhh is Zami Par ai hai,
Maa ki ek Muskaan main, Sabki Jaan Samai Hai,
Har kisi ke Dil main, Apni  Maa ki Tasveer Samaai  Hai,
Ye Pak  Ruhh  jaha Se ai Hai, Wo Pak Jagahh Us Parwardigahh Ne Banai Hai.
Created by : Akshay Verma [ The Emo Boy ]

 0 People liked it
0 Ratings


Koi Dikha kar roye, koi chipa kar roye
Hame rulane wale hame rula kar roye
marne me maja to tab hai
Jab katil khud janaje par aakar roye...

 0 People liked it
0 Ratings


Ghar se bahar wo naqab me nikli
Saari Gali unki Firaq me nikli,
Inqaar karte hai wo hamari Mohabbat se
aur Hamari hi Tasweer unki Kitab me Nikli.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 3271 - 3280 of 3592, Page 328 of 360 pages.