Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 321 - 330 of 3592, Page 33 of 360 pages.


Mohhabat Ka gum hota bahut Hai,
Ke ab Ye Lafz Bhi Ruswa bahut Hai,
Udasi Ka Sabab Main Kya Bataun?
Gali Kochon Mein sannata bahut Hai,
Na milne Ki qasam Kha Ke Bhi Main Ne,
Tujhe Har Raah Mein dhunda bahut Hai,
Ye Aankhein Aur Kya Dekhein Kisi Ko,
Inn Aankhon Ne tujhe Dekha bahut Hai,
Na Jaane Kyun Bacha Rakhe Hain Aanso,
Shayid mujhe Rona bohut hai,
Tujhe maloom To hoga mere humdum,
Tujhe Aik Shakhs Ne Chaha bahut hai.

 0 People liked it
0 Ratings


shayad is dil ki dua us khuda ne sun li hogi, nahin toh aisa kam hi
hota hai ki woh bhi ho aur tanhai bhi.

 0 People liked it
0 Ratings


Isse nibhaney ki famaeish nahein ki jaati
Piyar mein aatey hein qaddam qaddam sakht muqam
Dil ke zakhmon ki tu numeish nahein ki jaati
Hijjar mein jo milne lagge wassal ka lutff
Tu phir milne ki khawaish nahein ki jaati
Aggar nah milna hi ho waqt ka taqqaza
Esse mein tu milne ki laghzish nahein ki jaati
Khush naseebi se jo mill bethein do dil
Tu zamane mein uski zaibaeish nahein ki jaati
Jin ko ho millna aur woh mill nah paein
Dil se kabhi bhi woh hasarat-o-yaas nahein jaati
Piyaar tu hey muqaddron ka khel zafar
Jo nah mill sake piyar tu gujaresh nahein ki jaati.

 0 People liked it
0 Ratings


Dhoti ne kaha pajaame se ham dono bane hai dhaage se,
Fark hai to sirf itna hai kee
Main khulta hu peeche se aur
Tum khulate ho aage se.
*****************************
Kehte to tum theek magar ab raha nahi jata,
Ye dard dooriyo ka ab saha nahi jata.
*****************************
Mit gayi jab hasrato ki duniya,
Tab kahi jaakar unhe mera khyaal aaya,
Lut raha tha mera ghar jab uske saamne,
Tab bhi unhe jara bhi malaal na aaya.
*****************************
Tere bagair jindagi achi lagti nahi,
Koi khushi ab sacchi lagti nahi,
Mat pooch mujhase tu judaai ka aalaam,
Tere bagair chaandni bhi bhali lagti nahi.
*****************************
Na jeene ki khushi hai mujhko, na marne ka hoga gam,
Bas teri yaad aane par, ho jaate hai aankhen nam,
Jamaane ki koi bhi khushi mujhe achi nahi lagti,
Ho gaya hai yaaro mera bewafa sanam.
*****************************
Auro ko dikhaane ke liye hasta hu main,
Gam ko bhoolane ke liye hasta hu main,
Mere hasne ki hakeekat ko kya samajhogi,
Khud ko bhoolane ke liye hasta hu main.
*****************************
Mohabbat karta hu yakeen hai mere khuda par,
Hardam labo par dua aur tera naam jubaan par.
*****************************
Aarju ab jeene ki jyada nahi hai,
Magar marne ka ab bhi koi irada nahi hai,
Kya tumko yaad dilaau tumhaari kasme,
Jab yaad tumko apna koi wada nahi hai.
*****************************
Dil mera har pal tere liye chalta hai,
Tujhe chumne ke khyaal se dhadhakta hai.
*****************************
Khwaab aankhon se gire aansu me dhal kar,
Dam armaano ne toda dam machal-machal kar,
Meri kismat me judaai likhi thi,
Warna har kadam rakha tha sambhaal-sambhaal kar.
*****************************
Mujhe bahut yaad aata hai wo gujra jamana,
Unka dekhna, muskurana aur daud kar lipat jana.
*****************************
Tere pyaar me hamne saara jag thukraya hai,
Phir bhi toone kadam-kadam par sataya hai,
Tu apne kasme waado se mukar gayi bewafa,
Teri isi berookhi ne hi ye shehar chudaya hai.
*****************************
Jindagi mohtaaj nahi manjilo kee,
Waqt har manjil dikha deta hai,
Marta nahi koi kisi se juda hokar,
Waqt sabko jeena sikha deta hai.
*****************************
Dost wo nahi jo mushkil me kaam aaye,
Dost wo hai jiske saath rehte mushkil hi na aaye.
*****************************
Ab kya kahu tumse, agar kuch kehna hai to,
Sirf itna ki maine pyaar kiya hai,
Ab raha nahi jata ki keh do na,
Tumhe bhi mujhse pyaar hai.
*****************************
Dil toot gaya to ab kya intajaar karu,
Tu hi bata ki tujhe aur kitna pyaar karu.
*****************************
Kitne hi khwaab saze hai abhi palko par,
Tum agar kareeb aao to sab poore ho jaaye.
*****************************
Mujhase juda ho gayi tumhaari aankhen,
Jinhe main poojhta tha badi pyaari aankhe,
Meri khushiya basi thi unme,
Choomta bahut tha main tumhaari kunwaari aankhen.
*****************************
Teri deewaangi ne bada ye kaam kiya,
Duniya bhar me mashhoor mera naam kiya.
*****************************
Wo aaina tha chamakta hi raha,
Main chiraag tha bas jalta hi raha,
Wo phool tha aur main kaanta ek,
Wo mehakta hi raha aur main chubta hi raha.
*****************************
Mohabbat me marna kaam na aaya,
Dil aur jaan bhi di phir bhi aaraam na aaya,
Har shakhs tha mere saath,
Par ek uska hi paigaam na aaya.
*****************************
Wo mausam wo bahaar bhi, uske saamne kam thi,
Uske saath gujra wo wakt wo fija bhi nam thi,
Par kya kare ae jaalim ham ye bhool hi gaye,
Apne haatho me wo mohabbat ki lakeere hi kam thi.
*****************************
Agar tapakta aansu ki jagah lahu aankhon se,
To koi kisi ko shaayad hi roolata,
Agar dil ke tootne ki aawaaj hoti,
To tumhe hamaare dard ka andaaj ho pata,
Apni dosti ko mausam se bachkar rakhna,
Ki khushbu aati nahi phool me sookh jaane ke baad.
*****************************
Dam todti aaraju tujhe de rahi hai badadua,
Tujhe manjil na mile mujhako mitakar.
*****************************
Kuch mat pooch kitna tujhase pyaar karta hu,
Har raat teri yaad me aankhon me aansu bharta hu,
Tum bewafa thi jo pyaar se daaman bacha baithi,
Main bewafa hu isaliye tujhe pyaar karta hu.
*****************************
Naam roshan ho gaya deewaano me tera-mera,
Kuch itane charche shehar me hamaare pyaar ke huye.
*****************************
Thak gaye aankhen aur kitna intajaar karu,
Tu hi bata dil ko aur kitna bekaraar karu?
Na tum khud hi aaye aur na khat hi bheja,
Tere waado par ab aur kitna main aitbaar karu.?
*****************************
Na bhoola paya hu,
Na bhoola sakuga kabhi,
Apne dil se tera naam na mita sakuga kabhi.
*****************************
Ajab hai ye duniya,
Ajab yaha ka dastoor hai,
Dil me to base ho,
Magar aankhon se door ho.
*****************************
Gam ye nahi ki tum juda ho gaye,
Gam ye hai ki pyaar mera ruswa ho gaya.
*****************************
Mere kareeb aao aur ye ikaraar karo,
Ham har haal me rasme wafa nibhayenge,
Jamana chaahe jitane julm aur sitam kare,
Ham apne pyar ki duiya jaroor basaayenge.
*****************************
Nigaahe milaane ko jee chaahta hai,
Tere paas aane ko jee chaahta hai,
Kaash wahi raate laut aaye,
Phir tanhaai mehkhaane ko jee chaahta hai.
*****************************
Tujhe kya mila jamaane mujhe khaak me milakar,
Hamaare armaan saare thokro me udaakar,
Khuda se daro jaalimo na pyaar ko naakaam karo,
Ghar tumhaare bhi jalenge mera ghar jalaakar.
*****************************
Aapki himmat kaise huyi mujhe ye sab kehne ki,
Majboori me aadat pad gayi hai,
Tumse door rahane ki.
****************************
Geeto me bhi saaj hota hai,
Roshni me bhi raaj hota hai,
Ae yaar badnaam ki parwaah na kar,
Chamakte chaand me bhi daag hota hai.
*****************************
Tere bagair jindagi me kuch bhi nahi hai,
Tu saath nahi to khush bhi khushi nahi hai,
Chali aao aaj to kisi bahaane se,
Meri tabeeyat aaj achi nahi hai.
*****************************
Apne pajaame me naada daal nahi sakte hai aur
Kargil me ladne ka dawa karte ho,
Ghar me patni ke gulaam bankar rehte hai aur
Baahar aakar khud ko shehanshaah kehte hai.
*****************************
Jaane kitni haseen wo raat hogi,
Jab man se man aur tan se tan kee baat hogi.
*****************************
Main khush hu ki mujhe mera pyaar mil gaya,
Kareeb ghar ke hi mujhe mera pyaar mil gaya,
Karu na naaz kyon main apni kismat par,
Chaand se bhi haseen mujhako deedaar mil gaya.
*****************************
Phir wo chat par aayenge aur dhoondhte mujhe,
Magar jab saamne aayenge to bejubaan honge.
*****************************
Tumhaare pyaar ki khushbu mitaaye nahi mitati,
Meri saanso me basi hai teri saanso ki mehak.
*****************************
Jab se unhe dekha hai,
Dil ke sab armaan jaag gaye,
Pyaar kya hota hai ab ham
Pehachaan gaye.
*****************************
Chaahta hu tujhe pyaar du,
Dost pe apni jindagi waar du,
Jab tera SMS nahi milta to,
Man karta hai teri jaan nikaal du.
*****************************
Nigaahe dhoondh rahi hai,
Wahi khwaab sunhare,
Jo kabhi mil baith kar dekhe the
Ham dono ne.
*****************************
Bahut udaas hai jindagi thoda pyaar to kar lene do,
Yun roko na raaho ko mere thoda saath to chal lene do,
Chand lamhe hai in aankhon me,
Un lamho me jee lene do.
*****************************
Har ek shaam aati hai
Teri yaado ki gataaye,
Aur har raat barasti hai meri tanhaai me.
*****************************
Main teri yaado me gujar doonga umra tamaam,
Dil me teri soorat rahegi aur labo pe tera hi naam.
*****************************
Ab kya kahu tumse,
Agar kuch kahna hai to,
Sirf itna ki maine pyaar kiya,
Ab nahi raha jata, kah do na pyaar hai.
*****************************
Jo tum chaaho wo tumhaare ho,
Roshan raate aur khoobsurat sawera ho,
Jaari rakhege ham duao ka silasila,
Kee kaamyaab har manjil pe dost hamara ho.
*****************************
Jaroori nahi dosti me mulakaat hoti rahe,
Jaroori nahi ki baat hoti rahe,
Par jo jaroori hai wo bas yahi,
Ki dost ko meri dosti yaad aati rahe.

 0 People liked it
0 Ratings


.Suno Acha Nahi Lagta
Kay Koi Doosra Daikhay
Tumhari Sharbati Aankhain
Lab-o-Rukhsaar Aur Palkain
Siyah Lambi Ghanee Zulfain
Sarahay Doosra Koi
Mujhay Acha Nahi Lagta ..!
Suno Acha Nahi Lagta
Karay Jab Tazkara Koi
Karay Jab Tabsara Koi
Tumhari Zaat Ko Khoojay
Tumhari Baat Ko Soochay
Mujhay Acha Nahi Lagta ..!
Suno Acha Nahi Lagta
Tumhari Muskurahat Per
Hazaroon Loag Martay Hoon
Tumhari Aik Aahat Par
Hazaroon Dil Dharaktay Hoon
Kise Ka Tum Pe Yuun Marna
Mujhay Acha Nahi Lagta ..!
Suno Acha Nahi Lagta
Hawa Guzray Tumhain Choo Kar
Na Hoga Zabt Yeh Mujh say
Karayy Koi Tumsay Gustakhi
Tumhari Zulfain Bikhar Ja-ain
Tumharay Lams Pee Ja-ain
Mujhay Acha Nahi Lagta..!
Suno Acha Nahi Lagta
Kay Tum Ko Phool Bhi Dakhain
Tumharay Paas Say Mehkain
Ya Chanda Ki Guzarish Hoo
Kay Apni Roshni Bakhshoon
Rukh-e-Jana Koi Daikhay
Suno Acha Nahin Lagta
Mujhay Acha Nahi

 0 People liked it
0 Ratings


hi everyone
thnx for ur appreciation.. i’ll try my best to keep postin sum
gud stuff..thnx again . here i go for anoder one.. hope u all like it as
well!!!
Mohabbat Khuwab Ki Soorat
Nigahon Main Utarti Hai Kisi Mahtaab Ki Soorat
Sitaare Arzoo Kar Ke Es Tarha Se Jagmagaate Hain
Ke Pehchaani Nahi Jaati Dil-e-Betaab Ki Soorat
Mohabbat Ke Shajar Per Khuwab Ke Panchi Utarte Hain
Tu Shaakhein Jaag Uthti Hain
Thaqe Haare Sitaare Jab Zameen Se Baat Karte hain
Tu Kab Ki Muntazir Aankhon Main
Shama Jaah Uthti Hai
Mohabat Un Main Jalti Hain Charagh-e-Aab Ki Soorat
Mohabbat Khuwab Ki Soorat..

 0 People liked it
0 Ratings


Dilne tumko puja ki humne khuda tumhe bana di,
tumne meri wafa dekhi kab thi jo itni jaldi gila kardi,
pyaar kiya tha jo tumse humne uski saza tune de di,
aisi bhi kya galthi ki thi jo sari khushi door kar di.
Dil dekar thokar khaya hai humne,
yaadon k sahare jeena seekha humne,
toote dilko jodna seeka hai humne,
kisiko bhulna tho nahi par doston ko pehchan na seekha humne.
Ek hi tha guzarish khuda se hamara,
zindagi me saath rahe har pal tumhara,
jiyu zindagi tumhare pyaar k sahara,
varna na ho aisi pyaar kabhi dubara
Dilne chaha tumse bahot kuch kehna,
khuda se har bar manga tumse milna,
yadone kiya koshish tumhe bhulna,
can someone fill this line

 0 People liked it
0 Ratings


Kisi tarah se bhi jeevan gujarna hoga,
Bishud gaya hai jo uss ko pukarna hoga,
Hum apne ahad pe kayam hain aaj bhi “Jana”,
Ki waqt jaise bhi gujre gujarna hoga,
Ajeeb log hain kehte hain khushi ke liye,
Tumari yaad ko dil se utarna hoga,
Hamare waqt me likha tha iss tarah shayad,
Nagar nagar mein kisi ko pukarna hoga,
Wo tou mil jaega “Arshad” magar aise,
Talab mein uski zamane ko harana hoga.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 321 - 330 of 3592, Page 33 of 360 pages.