Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 3301 - 3310 of 3592, Page 331 of 360 pages.


Kabhi Jab Aankh Chalke Toh
Kabhi Jab Dil Na Sambhle Toh
Mujhe Aawaz De Lena
Kabhi Jab Durr Ho Koi
Bohut Majboor Ho Koi
Koi Aawaz Naa De Toh
Mujhe Aawaz De Lena
Koi Aansoo Naa Poche Toh
Koi Hansne Se Roke Toh
Koi Tumko Sataye Toh
Mujhe Aawaz De Lena
Kabhi Jab Din Naa Guzre Toh
Kabhi Jab Raat Tadpaye Toh
Kabhi Jab Din Me Andhera Ho
Mujhe Aawaz De Lena
Mein Tere Paas Hoti Hoon
Mein Har Pal Tere Sath Hoti Hoon
Magar Phir Bhi Ek Guzarish Hai
Mujhe Aawaz De Lena
{ Unknown Shayer }
Thanks &

 0 People liked it
0 Ratings


Mere Mehboob Tu To Sath Mera Chod Diya .
Han Magar Pyar Mere Dil Se Juda Ho Na Saka.
Yaad Aate Hain Mujhe Bite Huwe Wo Lamhey..
Jo Tere Sath Hanste Huwe Bitey They Kabhi.
Raz Har Ek Pe Apni Muhabbat Ka Aya.
Mujhko Farhad Kaha Tha Tujhko Shree Ye Jahan.
Peyar Ki Rah Men Ek Mod Yahan Aisa Mila.
Hum Safar Sath Jahan Tera Mera Choot Gaya.
Mere Mehboob Tu To Sath Mera Chod Diya.
Han Magar Pyar Mere Dil Se Juda Ho Na Saka

 0 People liked it
0 Ratings


Roz ki roz kahte kahte thak jate hain ke.hum kya kahein???
Roz ki roz kahte kahte thak jate hain ke.hum kya kahein???
Aj tak humein shabd nahi mile ke
akhir kaise apni dhadkan ko bayaan karein..
Roz ki roz kahte kahte thak jate hain ke.hum kya kahein???

 0 People liked it
0 Ratings


Koy muj ko mera bharpour sarapa la de
Mere bazoo meri aankheen mera chera la de
Aisa darya jo kisi aur samandar main gere
Is se bahter hay k muj ko mera sehra la de
kuch naheen chaye tuj se aye meri umr rawan
Mera bachpan mere jugnon meri ghuriya la de
Jis ki aankheen mujhe andar se bhi parh sakti hoon
koy chara to mere shehar main aisa la de
Kashti to bhanwar main hay kahi barsoon se
Aye KHUDA ab to dabo de ya kanara la de.

 0 People liked it
0 Ratings


Jiski khushiyan chupi thi meri khushiyoon me
Mujse pehle jo mere gum se milta tha
Zindagi bhar ke liye usko rula aaya hun
Meri aakhon ki nami se jo toot jata tha.

 0 People liked it
0 Ratings


Teri Socho Mai Teri Soch Ke Mehver Mai Kiya Hai
Tu Mujh Se Sunn Teri Khudi Ki Tamanaa Kiya Hai
Mai Teri Rooh Mai Uttra Tha Kahan Kab Kaise
Tujhe Maloom Hai Sun-ney Ka Bahana Kiya Hai
Mai Terey Hijr Mai Sadiyan Guzaar Sakta Hon
Ye Chaar Din Ki Judayee Ka Nibhana Kiya Hai
Mai Teri Zaat Pe Khud Ko Bhi Waar Sakta Hon
ye Suraj Chand Sitaron Ka Lutana Kiya Hai
Apni Ulfat Ke Ek Lamhey Se Nawaz Mujhe
Us Ek Lamhey Mai Sadiyon Ka Guzar Jana Kiya Hai
Her Ek Jannam Mai Musalsal Mera Hasil
Tum Ho Terey Liye Faqat Ek Umr Lutana Kiya Hai
Meri Dua Mere Allah Tak Bhi Puhanchey Gi
Mujhe Zamii Ko Is Falaq Ko Hilana Kiya Hai
Meri Ankhon Ki Jheelon Mai Wo Izteraab Aaya
Ke Samander Ke Tufanon Ka Fasana Kiya Hai
Kahi Phir Se Na Ankhain Toot Barsain Sawan Si
Mujh Se Na Pooch Ke Ashkon Ka Fasana Kiya Hai
To Kisi Shajar Ke Ujjrey Hovey Pattey Se Pooch
Tujhe Ro Ro Ke Sunaye Ga Fasana Kiya Hai

 0 People liked it
0 Ratings


khuda kisi ko kisi pe fida na kare
agar kare. to kayamat tak juda na kare
Humne to unse pyar chaha tha, who hume gum de gaye
Hum jee lete unki yadon ke sahare.. woh bhoolne ki kasam de gaye.
humne to chalayi thi ret pe ungliyaan
na jaane..kaise unki tasveer ban gayi
Log kehte hain hume aadat hai muskurane ki
Woh kya jane..yeh bhi ek ada hai gum chhupane ki
With lots of luv.

 0 People liked it
0 Ratings


Mahobbat Karnay Keh Bhi Khuch apne Andaaz Hotay Hain,
Jaagti Aankhoon Main Bhi khoobsorat Khawaab Hotay Hain,
Har Koi muskurakar Dekhe Yeh zarrori Tu Nahi,
Hansti huyi Aankhoon Main Bhi Sailaab Hotay Hain.
.
Aisi Dosti hamari ki dil chahye tu har safar har dagar me mile,
mar bhi jau to pyar rahe kayam aur tu sath wali kabar me mile.
.
Khayalo ko kisi aahat ki aas rehati hai,
nighao ko kisi surat ki pyas rehati hai,
tere bin kisi cheez ki kami to nahi,
magar tere SMS bin tabiyat udas si rehati hai.
.
Hame itna pyar mat karna
ki duniya me mashhoor ho jaye
aur na hi itna bewafa banana
ki ham duniya ko chodne ke liye majboor ho jaye.
.
Soch ko badlo sitare badal jayenge,
Nazar ko badlo najare badal jayenge.
Kashtiya badalne ki jarurat nahi,
Dishao ko badlo KINARE badal jayenge.
.
Ye chamakte sitare kis kaam ke
Ye haseen nazare kis kaam ke
Jise tufan se takrana acha lage
Uske liye kinare kis kaam ke
.
Hasne ke bad kyun rulati hai ye duniya?
Jane ke bad kyun bulati hai ye duniya?
Zindgi mein kya kasar baki thi,
jo marne ke baad jalati hai ye duniya.
.
Aaj fir se aakhein nam kyon hai ,
Jise paya hi nahi use khone ka gam kyun hai ,
Tumse milkar bichde to ehsas hua,
ki Zindagi itni bedam kyun hai..

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 3301 - 3310 of 3592, Page 331 of 360 pages.