Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 3331 - 3340 of 3592, Page 334 of 360 pages.


Watan hamara to aik gulshan hay
Aur kyari hamari Aazadi
Is pe Tan Man nisar ho Apna
Hum ko jaan say hy pyari Aazadi
Is k Khaitoon Khalyanoon Shehroon main
Is ky drya behti nehroon Main
Goonjta hay sirf nara-e-Akbar
Is pe takya hay sari Aazadi
Qaim iska waqar rakhna hay
Aur yeh aitbar rakhna hay
Sada lagay gi dushmanoon k seenoon pe
Bn k aik zarb kari Aazadi
Iqbal ka dlnasheen khayal hay yeh
Johad Quaid ki aik misal hay yeh
Aur shaheedoon k khoon ka tohfa
Hum pe hay qarz bhari Aazadi
Watan si koi baat kaheen aur nahi hay
Gulshan si koi baas kaheen aur nahi hay
Jugnoo k chamknay k liya sirf raat hay kafi
Khilnay k liya phooloon k barsat hay kafi
Aazadiya izhar ki sooghat hay kafi
Aik honay ka ahsas kaheen aur nahi hay
Dolat ki gerchah yahan farawani nahi hay
Punjab ka pr aur kaheen pani nahi hay
Quaid kisi aur jagah bani nahi hay
Yeh pyar yeh ikhlas kaheen aur nahi hay
Dherti bhi aik jesi Aakash bhi hay wesa
Phooloon ki rango boo ka libas hay aik jesa
Seep main hain mooti almas aik jesa
Apnoon ka yeh aflas kaheen aur nahi hay

 0 People liked it
0 Ratings


Mujhe Zindagi Bhar Rulate Gaye Mere Dil Ko Jalaate Gaye,
Hum Kitne Unki Baato Me Aate Gaye.
Bulate The Tanhai Me Apne Matlab Ke Liye Hume,
Hum Kitne Naadan The Ki Unke Pass Jaate Gaye.
Roz Milne Ki Kasam Humko Dete The,
Hum Unki Har Zid Ko Seene Se Lagate Gaye.
Unki Aankho Ko Dekhe Tamanna Hamari Bhi Hoti Thi,
Hardam Bas Is Majboori Ka Fayda Wo Uthate Gaye.
Ab Kaise Kare Is Zamane Par Yakeen Hum doston,
Jo Apne Bahut Khaas The Wo Hi Rulate Gaye.
Ek Wo Bhi Daur Tha Ke Hamari Zara Si Aah Par Gamgeen Ho Jati Thi Wo,
Pata Nahi Ab Kyu Apni Har Wo Bhulate Gaye.
Barso Se Apna Maan Liya Tha Unko Humne,
Fir Beech Majdhar Me Humko Wo Bahate Gaye.
————–

 0 People liked it
0 Ratings


Tumhara Naam Sunte Hi Bahut Kuchh Yaad Aata HaI..
Khushi Me Guzra Hua Ek Zamana Yaad Aata Hai ..
Itna Door Ho Gaya Hu. Tumhe Bula Bhi Nahi Sakta ……
Aankhe Bandh Karte Hi Tumhara Chehra Yaad Aata Hai .
Kaise Bhuladu Tumhe Ab Tum Hi Batado Sanam …….
Kiya Tha Kabhi Jo Tumse Wo Wada Yaad Aata Hai ..
Kabhi Jaker Sagar Kinare Banaya Tha Jo Ghar Humne..
Aaj Toota Hua Ret Ka Wo Mahel Yaad Aata Hai ..
Kabhi Socha Na Tha Maine Hum Yu Bichhad Jayenge..
Bachpan Ka Wo Roothna Wo Manana Yaad Aata Hai ..
Char Pal Wo Zindagi Ke Wo Mehfilo Ki Roshni.
Deepak Ke Ujale Me Bhi Gum Ka Andhera Yaad Aata Hai..
Ab To Is Tanhayi Me Ghoont Ke Mar Jayenge Hum..
Hum Se Wo Chhoota Hua Tumhara Daman Yaad Aata Hai .
Aankhse Nikal Pade Hai Aansoo Hath Bi Ab Thum Gaye Hai..
Mai Poochht Hu Apne Apse Aur Kya Kya Yaad Aata Hai ..

 0 People liked it
0 Ratings


Raat guzri phir mehakti subha aai,
Dil dhadka phir tumhari yaad aai
Aankho ne mehsus kiya
Uss hawa ko jo chukar hamare pas aai
Aapki judai ne hamein shayari sikha di,
Judai ke gam ne hamein manzil bhula di,
Chahte to nehin thaey aapse juda hona para
Kya karein agar hamein apno ne hi peeth dikha di…..
Chand adhura hai sitaro ke bina ,
Gulshan adhura hai baharo ke bina ,
samundar adhura hai kinare ke bina,
Jina adhura hai aap jaise deedar ke bina ,
mera dil adhura hai aap ke yaad ke bina.
-Akash

 0 People liked it
0 Ratings


Lamhe judai ke bekarar karte hain,
Haalat meri mujhe laachar karte hain,
Aankhe meri pad lo kabhi,
Ham khud kaise kahe ki
hum aapse pyaar karte hain.

 0 People liked it
0 Ratings


Na Aaya Taras Unhe Bhool Kar Bhi Kabhi..
Ki Khaak Ho Chale Hum Intzaar Me Unke…
Waqt Ki Na Kuch Bhi Kadar Unhe…
Saanjh Se Phir Ho Chali Sehar, Intzaar Me Unke..
Aayenge To Kuch Aisi Ada Se Woh..
Ki Kuch Kiya Nahi, Intzaar Ne Unke..
Bebas Dil Ki Sada To Dekhiye..
Shikva Bhi Na Kar Paaye Hum, Intzaar Me Unke..
Aansoon Bhi Pooch Kar Aate Hain.. Ki Aa Jaayein Kya Hum..
Bheegi Palkein Bardaasht Nahi Unhe, Intzaar Me Unke..
Katl Karte Hain Woh, Aur Saza Bhi Humein Hi Sunaate Hain..
Ab To Fana Ho Chale Hum, Intzaar Me Unke…

 0 People liked it
0 Ratings


tadap uthuun bhii to zaalim terii duhaaii na duun
main zakhm zakhm huun phir bhii tujhe dikhaaii na duun
tere badan men dhadakane lagaa huun dil kii tarah
ye aur baat ke ab bhii tujhe sunaaii na duun
Khud apane aap ko parakhaa to ye nadaamat hai
ke ab kabhii use ilzaam-e-bevafaaii na duun
mujhe bhii dhuundh kabhii mahv-e-aaiinaadaarii
main teraa aqs huun lekin tujhe dikhaaii na duun

 0 People liked it
0 Ratings


Ager hum door hoo jayein
Kaheen duniya mein kaho jayein
Batao kia karo gaye tum
Humein dondoo gaye ya
Phir bhul jao gaye
Humein awaz do gaye ya
Kesi guzri kahani mein
Humra nam likh do gaye
Chalo esa hee karna tum badal jana
Humein tum bhul he jana
Muger itni guzarish hai
Humra zikar jab aye
Zara sa yaad kar lena

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 3331 - 3340 of 3592, Page 334 of 360 pages.