Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 3481 - 3490 of 3592, Page 349 of 360 pages.


Main kisi aur ka hoon itna bata kar roya
Wo mujhe mehndi lagay hath dikha kar roya
Mujhe anjaam-e- mohabbat nahi mäloom hargiz
Ye kaha aur mujhe seenay se laga kar roya
Jo mujhe zabt ki talqeen kiya karta tha
Wo zamänay ko mera haal suna kar roya
Aansu ban kar nikal na jaun kahin, is Dar se
Apne ashkoon ko wo aankhoon mein chhupa kar roya
Wasl ka aakhri lamha jo muyassar tha hameen
Usi lamhay mein wo sadiyoon ko sama kar roya.
————————
www.mangaljodi.com

 0 People liked it
0 Ratings


Yaad bankar humesha apke dil mein aate rahenge,
Yunhi vaqt bevaqt tadpate rahenge,
Dua karo ki umar choti ho humari,
Varna zindagi bhar apko aese hi satate rahenge..

 0 People liked it
0 Ratings


Diwali Parva hai Khushio ka,
Ujalo ka, Laxmi ka…. Is Diwali Aapki Jindagi khushio se bhari ho,
Duniya ujalo se roshan ho, ghar par Maa Laxmi ka Aagman ho…
Happy Diwali
Diwali aai, masti chahi, rangi rangoli,
deep jalaye, Dhoom Dhadaka, chhoda phataka, jali Phuljadiyan,
Sabko Bhaye, “Happy Diwali”
Laxmi aayegi itni ki sab jagah Naam hoga,
Din raat vyapar bade itna adhik kaam hoga,
Ghar Pariwar samaj me banoge Sartaj, Yehi Kamna hai hamari aap ke liye,
Diwali ki Dhero Shubh Kamanaye
Deep Jalte jagmagate rahe, Hum aapko Aap hame yaad aate rahe,
Jab tak zindagi hai, dua hai hamari ‘Aap Chand ki tarah Zagmagate rahe…’ Happy Diwali
Safalta Kadam Chumti rahe,
Khushi Aaspas ghumti rahe,
Yash Itna faile ki KASTURI Sharma Jaye,
Laxmi ki kripa itni ho ki BALAJI bhi dekhte rah jaye,
Happy Diwali
Troubles as light as Air,
love as deep as Ocean,
Friends as Solid as Diamonds,
and Success as bright as Gold…
These are the wishes for you and your family on the eve of Diwali and EID. Eid ki Mubarakbadi aur Diwali ki Shubhkamana!
Aai aai Diwali aai, Saath me kitni Khushiya laayi,
Dhoom machao, mauz manao, aap sabhi ko Diwali ki badhai.
Happy Diwali
The generations have passed by hindu culture,
is getting stronger and stronger lets keep it up.
Long live the tradation of hindu culture
Best Wishes for Diwali
Aaj se aap ke yahan,
Dhaan ki barsat ho,
Maa laxmi ka vas ho,
Sankatto ka nash ho
Har dil par aapka raj ho,
Unnati ka saar par taj ho,
Ghar mein shanti ka vas ho
“Happy Diwali”
Sri ram ji aapke ghar sukh ki barsat karen,
Dukhon ka naas karen.
Prem ki phuljhari wa anar aapke ghar ko roshan kare.
Roshni ke diye aapki jingagi me khusiya layen.
Happy deepawali
Sri ram ji aapke ghar sukh ki barsat karen, Dukhon ka naas karen. Prem ki phuljhari wa anar aapke ghar ko roshan kare. Roshni ke diye aapki jingagi me khusiya layen. Happy deepawali

 0 People liked it
0 Ratings

Hath Mein Leke Mera Hath Ye Wada Krlo
Ab Na Choro Ge Mera Sath Ye Wada Krlo
Tum Na Badlo Ge Badalte Mosam Ki Trha
Beetny Wali Hai Barsat Ye Wada Krlo
Log Halaat Badalte Hi Badal Jaty Hen
Tum Badlo Ge Riwayat Ye Wada Krlo
Tum To Waday B Bhula Dety Ho Aksar Wasi
Ab Na Bhulo Ge Koi Wada Ye Wada Krlo…!…

 0 People liked it
0 Ratings


Samjha mujhe khilona aur dil mera toda.
Pahele basaya dil me ab tanha hai chhoda
Gar khelna tha mujhse pahele bataya hota
Pal bar ki khushi deke kyu gum se laake joda
Dilon ka katal karna fitrat hai tumhari
Mai ja raha tha tanha
kyu rasta mera moda
Bewafa kahu tujhe ya kah du badgumani
Shayad teri jindgi me mai ban gaya hoon roda
Itna na itra tu apne aap par..
Tu khud tutegi aise jaise matka kisi ne foda
Tu royegi har pal mujhko yaad karke
Sochegi jab yeh kyu “SAGAR” ko maine chhoda.

 0 People liked it
0 Ratings


Kya chehra tha ki aankho se dekha hajar bar
Fir bhi najar ko hasrate didar rah gayi
Uske chehre pe nakabo ka asar lagta hai
Ek pathar hai jo bahar se gira lagta hai
Yah damakta hua chehra ye nashili aankhe
Chandni rat main maykhana khula ho jaise
Bade sidhe sadhe bade bhole bhale
Koi dekhe iss waqt chehra tumhara
Kha ke bala gesu jo chehre pe paresan honge
Dekhne wale inhe dekh ke aur bhi hairan honge
Chehre pe wahi gam wahi aankho main nami hai
Yah gardish daura, kabhi rone se thami hai
Pighal ke rah gaye shama ke chehre pe kuchh aansu
Na jane kisne poochha tha ki parwane pe kya gujregi
Chehre dhua-dhua tha rangat udi-udi
Jab bhi tumko dekh ulfat bhari nazar thi
Tera chehra kitna suhana suhana lagta hai
Tere aage chand purana lagta hai
Aankhe hai jam, lab hai chaman chehra aaftab
Baitha hua hai koi sajaye hue shabab..

 0 People liked it
0 Ratings

Abhi kuch dooriyan to kuch faasle baaki hai.

Pal pal simatati shaam se kuch roshni baaki hai..

Hame yakin hai woh dekha hua kal aayega zaroor..

Abhi woh hosle to woh ummedein baaki hai.”.

 0 People liked it
0 Ratings


Aayiye sham utar aayi hai
Roshani ghoonghat mein samayi hai;
Thak chuki aankhein intezar kar
Zulfon si mahkti ghata chchayi hai.
Raah bhi khuli-khuli hai
Muskrati huyi amrayi hai;
Sarsarate patton mein halchal hai
Hawayein naya sandesha layi hain.
Khushboo machalne lagi hai
Koyal geet naya gungunayi hai;
Runjhun-runjhun si bajne lagi payal
Chandani pass kahin utar aayi hai.
Aankhon mein chcha gayi nami
Phool per shabnam bhi sharmayi hai;
Sitaron ki mahfil hai sajne lagi
Aayiye palkon ne dee Duhayi hai.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 3481 - 3490 of 3592, Page 349 of 360 pages.