Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 3491 - 3500 of 3592, Page 350 of 360 pages.


Kiya kahoon kiya na kahoon kuchh bhi kaha jata nahi.
Dil to mere mom hai Teri Judai sah pâté nahi.

 0 People liked it
0 Ratings


Geele kaagaz ki tarah hai zindgi
apni koi jalata bhi nahi koi sukhata bhi nahi,
ish kadar akele hum aajkal ,
koi satata bhi nahi koi manaata bhi nahi

 0 People liked it
0 Ratings


Ae baarish zara tham ke baras
Jab mera yaar aa jaye to jam ke baras
Pehle na baras ki woh aa na sake
Phir itna baras ki woh jaa na sake

 0 People liked it
0 Ratings


Kaash ye dil sheeshe ka bana hota,
Chot lagti to beshak ye fanaa hota,
Par jab vo sunte sadaa iss dil ki,
Ya khuda tab to unhe ehsaas-e-dil gunah hota.

 0 People liked it
0 Ratings


Dosto ke rehnuma wo hai hum nahi
Chot pe chot khate wo hai hum nahi
Phir bhi duniya hume hi yaad karti hai
Is par bhi unhe zara sa bhi gum nahi
———–++++++++++——–+++++++———
Wo nahi to hum nahi duniya ke ye sitam nahi
Wo sagar hai unke age to hum bhi hum nahi
Ye giza hai unki jo Riyaz-e-Syahi me dum hai
Warna unke bina to koi Mehfil-e-Zam nahi
——-++++++++——-+++++++——-++++——-
Tasavur hua unhi se unhi se hai ye jindagi
karta hu yaad khuda ko dekh unki bandagi
Chasme bayaan karte halaat ab unhi ke
Halaat-e-chasm me jaise thehri hai jindagi
——++++++——–+++++++——-+++++——–
Furkat ki baat hai ye jaise ho fursat me raat
Ayi hai ab juba pe to mai likhta hu jindagi
Ikraar aap bhi kariye ki gujar na jaye ye raat
Baato hi baato me jaise hai pal bhar ki jindagi
——++++++——+++++++——-++++++———
Age abhi aur bhi hai jamane ke rang haseen
Ki ab na jau sochta hu aye meri mehjabeen
Rone ki surat nahi hasne ka hai ye pal
Aye mere doston ayunga phir mai kal
————————— – - – - – —–
Nagme mere ab yu bhujne na dena tum
Ki yado ke sil sile hai yado me hona tum
Tum bin ye jindagi ab adhuri si lagti hai
Ki ayo meri mehfil me jayo na kahi tum
—————————————-
Kuch ashq hai mere jo shabdo me dikh rahe hai
Shayad koi gulfaam ho jo pehchaan le inhe
To be Continued.. . . . .
Riyaza dost that never dies..

 0 People liked it
0 Ratings


Kash hamari zindagi kuch is tarah hoti
Kash duniya ke sare log bahut khush hote
Kash duniya ke sare log har pal muskurate
Kash jise hamari jarurat he hum unka sath de pate
Kash hum bhukho ko khana de pate
Kash aj ke bache apne mata pita ko chhodkar na jate
Kash bache apne mata pita ke sapne sach kar pate
Kash ye duniya itni khushhal hoti
Kash kisi ka kisi se ber na hota
Kash..me har pal sochta hu kab
is kash ko hum sachai bana paenge
Ya yu hi apne zindagi ko
ek kash bana kar chhod denge.
Sochokya hum is kash ko sachai bana paenge?
Bhagwan ap sab ko har pal khush rakhe .
Ho sake to kisi ki madat karo kisi ka dil na dhukao.

 0 People liked it
0 Ratings


Muqaddar.
Toot jate hain..
Bikhar jate hain..
Kaanch ke ghar mein muqaddar apne.
Ajnabi toh sada pyar se milte hai.
Bhul jate hain toh aksar APNE .

 0 People liked it
0 Ratings


Phir ki si yaad ne shab bhar hai jagaya mujh ko
Kia saza di hai mohabbat ne khudaya mujh ko
Din ko aaram hai na raat ko hai chain kabhi
Janay kis khaak se qudrat ne banaya mujh ko
Dukh to yeh hai k zamane main mile ghair sabhi
Jo mila hai woh mila ban k sapna mujh ko
Jab koi bhi na raha kandha mere rone ko
Ghar ki deewaron ne seene se lagaya mujh ko
Mat pooch ey duniya walo mujhse
Kis kadar mohabbat ne roolaya mujh ko
Yoon to umeed-e-wafa tum se nahi hai koi
Phir charaghon ki tarah kis ne jalaya mujh ko
Bewafa zindagi ne jab chor dia hai tanha
Mout ne piyar se pehloo main bithaya Ashiqe ko
Woh diya hoon jo mohabbat ne jalaya tha kabhi
G hum ki andhi ne sar-e-sham bujhaya mujh ko.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 3491 - 3500 of 3592, Page 350 of 360 pages.