Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 3501 - 3510 of 3592, Page 351 of 360 pages.


Na yeh chupaya ki pyar kitna hai,
Na yeh jataya ki dard kitna hai,
Yeh hum ya hamara Khuda hi janta hai,
Ki Aap se mulakaat ka intzaar kitna hai.
Wishing everyone A Very Happy And Prosperous New Year.

 0 People liked it
0 Ratings


Yaad Karti Hoon Tumhe Yaad Aati Hi Nahi
Kaise Aaye Woh Cheez Jo Jati Hi Nahi
Tum Mujhe Bhool Bhi Jao Toh Ye Haq Hai Tum Ko
Meri Baat Aur Hai Mein Ne Toh Mohabbat ki Hai
Judai Ka Pata Hota Agar Mohabbat Se Pehle
Toh Mout Ki Dua Maangte Hum Deedaar Se Pehle
Rote Hain Hum Jinko Bhulane Keliye
Wahi Aajate Hain Hume Rulane Keliye
Maziloun Pe Aake Lut Te Hain Mohabbat Ke Kaarwan
Kashtiyan Saahil pe Aake Doobti Hain Mohabbat Ki..

 0 People liked it
0 Ratings


Apni muhabbat ko parwan na chadhao
Jitne waqt main tum
Apni muhabbat ko
Parwan chadhaoge
Utni der main tum
Bahut sari manjil tay karoge
Apne ghar ki buniyad main lagi
eito ko durust karoge
Jitni der main tum
Apni mahbuba ki lato ko sawaroge
Utni der main tum
Ghar ke gamlo main
Lage phoolo ko sichoge
Jitni der main tum apni mahbuba ke
Netro ke jhil main khud ko dubaoge
Utni der main tum
Aaine main apna chehra dekhoge
Shaidai ki chahat ko
Bas Shaidai ki chahat hi rahne do ‘Dost’
Warna jindgi tumhare hantho se fisalkar
Mahbuba ke pairo ki dhul ban jayegi.

 0 People liked it
0 Ratings


Najar Andaaj kaise kare aapko,
Nazaro mein bithaya hai aapko,
Yaad aane par roye bhi to kaise,
Darte hai jhuki jo palke to chubhengi aapko.

 0 People liked it
0 Ratings


Achha hua ki raah mein thokar lagi mujhe
hum gir pade to sara jamana sambhal pada
Mere khuda mujhe thodi si zindagi de de
Udaas mere janaaze se koi jaa raha hai
Kab ki pathar ho chuki hein ye meri aankhein magar
chhooke jab dekha to haath geele ho gaye
Mere marne ke baad mere seene se, dil nikal lena
Kahi woh na jal jaaye, jo mere dil me rehte hai
Jab tak lahoo lahoo the, koi poochhata na tha,
Patthar hue to hum bhi, khudaaon me aa gaye ..
Har Ikraar Mera Tere Inkaar Se Aachha Hoga
Mera Har Din Teri Us Raat Se Aachha Hoga
Na Ho Yakeen To Jhaank Lena Apni Doli Se
Mera Janaaza Teri Baarat Se Aachha Hoga
Unhone hame bhule se yad na kiya
Par hamne unki yaad mein sab kuchh bhula diya
Unhone wada to kiya tha khwab me milne ka
Ye hamari badnasibi ki hame nind hi nahi aai.

 1 People liked it
0 Ratings


jis tarah bhi ho saka us tarah toda mujhe,
zindagi ne maut ke kabil nahi chhoda mujhe,
zindgi mankar chalati rahi ghoda mujhe,
har kadam par marti hai ek naya koda mujhe,
zindagi har waqt meri peeth par baithi rahi,
apni marzi ke mutabiq har taraf moda mujhe,
is tarah apno ke ahsaan hai mujh par bahut,
chot de kar dil ko sheeshe ki tarah joda mujhe,
zindgi meri tujhse iltiza itni hai bas,
chhod kar nafrat ki bhasha pyar de thoda mujhe,
warna ek din jalti hui chita se kahegi meri lash yu,
zindagi me aag ke dariya me la chhoda mujhe.

 0 People liked it
0 Ratings


Ek hansi jo hansa de,
Ek aansu jo rulaa de,
Ek arzoo jo jagaa de,
Har aahat ko aahat jo jaan le.
Usi rishte ka naam hai.dosti! !!
Bahut azeeb-se lagte ho,
Dur rahkar bhi dil ke bahut karib lagte ho,
Maloom hai tumhe ham pa na sakege,
Phir kyon tum hame hamaare naseeb lagte ho.
Pyaar ke ujaale me gam ka andhera aata kyon hai,
Jisko ham chaahe vahi rulata kyon hai,
Agar vo mera naseeb nahi,
To khuda aise logo se milata kyon hai?
Kar ja kuch aisa yaari me ki,
`Thanks’ aur `sorry’ shabd bejaan lage,
Nibha aisi yaari ko yaaro ki,
Ki tumhe Chodna mushkil aur duniya Chodna asaan lage.
Na pahlu me na bahaaro me, na botal me na jaar me,
Na bike me na car me, na peace me na war me,
Ab to din gujarte hai, tumhare SMS ke intzaar me.
E dost! sharaab se na kar nafarat itni,
Ki peeni pade to pee na sake,
E dost! dost se na kar mohabbat itani ki,
Bichadna pade to jee na sake.
Sitaro ke aage bhi koi jahaan hoga,
Jo na dekha kabhi vo shama hoga,
Us jahaan ke saare haseen najaro ki kasam,
Aap-sa kameena dost doosra kaha hoga.
Agar kabhi ham mar jaaye, to hame jala dena,
Magar pahle hamara dil nikaal lena,
Hame chinta nahi dil jaane ki,
Hame to chinta hai us dil me rahne wale ki.
Aakhon ki jubaan samajh nahi paate,
Hoth magar kuch kah nahi paate,
Apni bebasi kis tarah kahe,
Koi hai jinke bin ham rah nahi paate.
Jeevan me phal paane ke liye,
Sharam karni padti hai,
Ishwar sif lakeere deta hai,
Rang khud hi bharna padta hai.
Dil aisa lagao jo kabhi na hate,
Pyaas aise jagao ki kabhi na bujhe,
Zindagi ka maza aise lo jo kabhi na ruke,
Aur jeevan me aise jeeyo ki kabhi sar na jhuke.
Dil me sanam ki soorat, aakhon me aashqi de.
Dil me sanam ki soorat, aakhon me aashqi de.
Mere khuda mujhe tu. ek aur zindagi de.
Jaan hai mujhko zindagi se pyaari,
Jaan ke liye kar du kurbaan yaari,
Jaan ke kiye tod du dosti tumhaari,
Ab tumse kya Chupana. tum hi to ho na jaan hamaari.
Jab tak hamaari soch me kuch faasla na tha,
Vo hamse door hoke bhi hamse juda na tha,
Faasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha,
Saamne baitha tha mere aur vo mera na tha.
Aarzoo hai unko apna banane ki,
Aas ab bhi hai unke laut aane ki,
Din-raat karte hai intzaar unka,
Ai khuda kuch to silaa mile mujhe vafa nibhane ka.
`Marne’ par hame `swarg’ mile ya na mile,
Ye hawa ye fiza mile ya na mile,
Ai mere dost SMS karne me `kasar’ na karna,
Kya pata `narak’ me `coverage’ mile ya na mile.
Milna to ek bahaana hai,
Irada to aapka ek lamha churana hai,
Aap chaahe hamse baat karo na karo,
Phir bhi aapki yaado me hamara aana-jaana hai.
Aasmaan se uteri hai, taaro se saji hai,
Chand ki chandni se nahaai hai,
Mere dost! sambhaal ke rakhna yah dosti,
Ye meri zindagi bhar ki kamaai hai.
Apni bebasi par aaj rona aaya,
Doosro ko kya maine apno ko aajmaya,
Har dost ki tanhaai door ki,
Lekeen khud ko har mod par akela paaya.
Chand lamho ki zindagi hai,
Nafrato se jiya nahi karte,
Dushmano se hi guzaarish karni padegi,
Ab to dost bhi yaad kiya nahi karte.

 0 People liked it
0 Ratings


Dard-e-Dill Ki Kahaani bhi woh Khub Likhta hai
Kahin Par Bewafa to Kahin mujhe Mehboob Likhta hai
Kuchh to Rasm-e-Wafa Nibha Raha hai Woh
Har ek Saf-e-Kahaani me Woh Mujhe Majmoo’n Likhta hai
Lafzo ki Justazu Mere sang beete Lamho se leta hai
Siyaahi Mere Ashq ko Banakar woh Har Lamha Likhta hai
Kashish Kyoun Naa ho Uski Daastaa’n-e-Dard Me yaaro
jab bhi Zikr Khud Kaa aata hai woh Khud ko Wafa likhta hai
Tahreerei’n Jhoot ki Sajaayi hai aaj Usne Apne Chehre Par
Khud Ko Dard Ki Mishaa’l aur kahin Majboor Likhta hai...

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 3501 - 3510 of 3592, Page 351 of 360 pages.