Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 3531 - 3540 of 3592, Page 354 of 360 pages.


Udaasiyon Ka Sabab Jo Likhna
To Ye Bhi Likhna
Ke Chand Taare Sub Badal Gaye Hain
Wo Zinda Lamhe Jo Teri Raahon Main
Tere Aane Ke Muntazir Thay
Wo Thak Ke Saayon Main Dhal Gaye Hain
Wo Teri Yaadein Khayal Tere Ranj Tere ILzaam Tere
Wo Teri Aankhein Sawaal Tere
Wo Tum Se Mere Tumaam Rishte Bichar Gaye Hain
Udaasiyon Ka Sabab Jo Likhna
To Ye Bhi Likhna
In Honton Pe Na Mukkamal Hone Waali Duaon Ke Suraj
Pighal Gaye Hain
Ab Tumaam Sapne Hi Jal Gaye Hain

 0 People liked it
0 Ratings


Apna Ehsas mar na jaye kahin
Dard had se Guzar na jaye kahin
Un ko dekhey hoye hoi Sadyan
Un ka Chehra bikhar na jaye kahin
Ab k Awaz doon to aa jana
Dil Deewana Sudhar na jaye kahin
Un ka Wada to hai magar Dil ko
Dar hai k kafir mukar na jaye kahin
Dard, Jugnoo, Hawa, Giley Shikwey
Yeh Mukaddar Sanwar na jaye kahin
Meri Dunya hai Dard ki Surat
Gul ki Surat Nikhar na jaye kahin
Khak se Aab tak to aa pohnchey
Ab yeh Darya Utar na jaye kahin
Yeh Mohabbat b ek Bala theri
Hum ko Dar hai wo Darr na jaye kahin
Is liye Muskuraye phirta hoon
Un ki Aankh b na bhar jaye kahin
Dil se guzra to hai magar Saqi
Apni Jaan se guzar na jaye kahin.

 0 People liked it
2 Ratings


Ab kuch na kisi se bolenge
Bas tanhai me chup – chap rolenge
Ab neend to Ankho me aati nahi
chalo jab maut ayegi tab jee bhar ke soyenge...

 0 People liked it
0 Ratings


Teri yaad aati hai, Teri yaad aati hai, Kabhi raton me kabhi prabhaton me,Kabhi chand se kabhi taaron se,Teri yaad aati hai, kabhi havaon se kabhi ghanghor ghataon se Teri yaad aati hai, kabhi bagon se kabhi baharon se kabhi barish ki thandi fuharon se Teri yaad aati hai, kabhi tapti garmi se kabhi kampkapati sardi se, Teri yaad aati hai, Kabhi sagar ke kinaron se kabhi kudrat ke sare najaron se Teri yaad aati hai, Teri yaad aati hai, Teri yaad aati hai.
-Meenu.
Ali please comment, i”ll be waiting.if possible please leave your mail id.

 0 People liked it
0 Ratings


unhe afsos hai ki mai unse mila nahi
shikwa tha dil me magar koi gila nahi.
khair jo hona tha so to ho hi gaya
itezar hua magar phool koi khila nahi.
——————————————————–
wo mere raste me sir jhukaye bathe hai
sham-e-roshni kyo bujhaye baithe hai
koi jaye jakar unse bhi talab kare
kyo wo raste ko mehkaye baithe hai
—————————– – - – - – - – - – - -
ek hawa chali aur ek ada bhi phir chali
wo us raste se kuch is tarah chali
ki dekhne walo ne kya kuch nahi kaha
par wo to thi manchali apni hi rah chali.
———— – - – - – - ———- – - – - – - ——-
firdaus tere ane ka mujhe bhi intezaar tha
naam mera bahut diljalo me beshumaar tha
log kehte mujhe ki ashiq nahi ashiqee hai tu
mai kya kehta mujhe to sirf isika funkaar tha
—— — – - – - ———– – - – - – ———- – - – - ——
kitne dino talak mujhe tere jane ka gam raha
sataya bahut tumhe par mujhe kaha inkaar tha
soya nahi tha rato se din ki khabar kise kaha
chora tha maine sab kuch jo mera ghar-bar tha

 0 People liked it
0 Ratings


Ai Game Gindgi Duhai Hai
Gam Hai Apna Khushi Prai Hai
Kar Ke Wada Wo Nahi Aai
Jane Ye Kaisi Bewafai Hai.

 0 People liked it
0 Ratings


Silsila Yun Hume Jine Ka Sikhate Rahe
Beech Kantoun Me Rehke Bhi Hum Muskurate Rahe
Ajeeb Rang Me Dhalta Raha Humara Wajood
Ajeeb Rang Ye Zamana Dikhata Raha
Bade Quloos Se Apne Fareb Dete Rahe
Bade Quloos Se Hum Fareb Khate Rahe
Subha Ke Ru ng Me Shamil Hai Khoon Ki Surqi
Zameen Ke Log Toh Rung-E-Hina Lagate Rahe
Zamane Me Tairagi Jab Hadd Se Badh Gayi
Hum Apne Khoon Se Chiraag-E-Dil Jalate Rahe

 0 People liked it
0 Ratings


khuda kisi ko kisi pe fida na kare
agar kare. to kayamat tak juda na kare
Humne to unse pyar chaha tha, who hume gum de gaye
Hum jee lete unki yadon ke sahare.. woh bhoolne ki kasam de gaye.
humne to chalayi thi ret pe ungliyaan
na jaane..kaise unki tasveer ban gayi
Log kehte hain hume aadat hai muskurane ki
Woh kya jane..yeh bhi ek ada hai gum chhupane ki.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 3531 - 3540 of 3592, Page 354 of 360 pages.