Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 391 - 400 of 3592, Page 40 of 360 pages.


Aaj mujhe apna pyar nazar aa gaya,
lagta hai ki sara jahan nazar aa gaya,
is qadar khushi nahi huyi thi aaj tak,
na jane kaisa aaj hamara andaz hi ho gaya.
neend hi nahi aa rahi yhi hame kal raat,
aapki tasweer dekhi na jana kab main so gaya ,
neend me bhi sata rahi thi bechaini hame,
khwab aapka aaya,bechaini ka naamonishan kho gaya.
yaad aapki is qada aa rahi thi,
deedar aapka hua apki ankhon me kho gaya,
aa bhi jaao na satap iss qadar hame ,
kahin aisa na ho jab aap aao tokoi ye kahe aapse ,
aapka sachcha aashiq to abhi abhi janaze pe rawana ho gaya..

 1 People liked it
0 Ratings


Jitni Samandar Ki Geherai Hai,
Utni hi Mamta Inmain Samai Hai,
Parwardigahh k Rehmo karam Se ye Pak  Ruhh is Zami Par ai hai,
Maa ki ek Muskaan main, Sabki Jaan Samai Hai,
Har kisi ke Dil main, Apni  Maa ki Tasveer Samaai  Hai,
Ye Pak  Ruhh  jaha Se ai Hai, Wo Pak Jagahh Us Parwardigahh Ne Banai Hai.

 0 People liked it
0 Ratings


umad ghumad kar badal chaaye
chanchal hawaon nay daud lagaii
pagal mera man mayura
hawa usko dekh pakad na paayi
mahak uth ti hai khayalon mein
meray mann aangan ki phoolwaari
khili hain anganeet champa chameli
gaalon nay gulabon ki rungat churaii
udtay gesu badal say hawa mein
badalon nay rimjhim ki ladi barsaii
bheega anchal dharti ka barkha mein
kaliyaan phool ban kar muskaii
aisay mein .
jhoom uthi ek kali yovan ka nikhaar liye
garm hawaon nay chooma usko
paagalpan bhara pyaar liye
jhuki tahni magar bikhari na kali
chaaya tha ek badal preet ki bochaar liye
rimjhim giri budain pyaar ki
khilnay lagi kali rangon ki bahar liye
khushboo say mahak uthi phoolwari mann ki
badal ki chaah ka uphaar liye
kaisay batalaaye kali badal ko
anuraag bikhra rahi woh badal kay liye
khili har pankhudi kali ki
preet ki bahaar liye
badal bhi jhuma dekh kar kali ko
phool ban gayi kali badal ka pyar liye..

 0 People liked it
0 Ratings


Wafa ki aandhiyon me main kho sa gaya hun
Tanhayion ka saathi,Dard ke kistiyon ka Maahi
Kya karun main ALAM main unhen nahin bhul sakta
Mai Ashqon ka musaafir , bhatka huwa main raahi
Khwabon me wo aate ,main aksar hun jaag jaata
Paas baithti hai ROOH unki, Sar sahlati hai O yunhi
Ro padta hun main,chehra unke ghesunwon me chhupa ke
Mai Ashqon ka musaafir , bhatka huwa main raahi
Dard ka EHSAAS jab uthta hain yaar ALAM mujhme
Bechain hoti hain nigaahen,dhundhta hun tanhayi
Hichkiyon ke doure padte,RooH tak bhi bhing jaati
Mai Ashkon ka musaafir , bhatka huwa main raahi
Ladta hun KHUDA se main,Duwaon me yaar aksar
Kyon tune use bulaaya ,kyon chhini honto se mere paani
Phir Samjhaata hun khud ko ,ye khel kismet ka hai saara
Mai to hun hi Ashkon ka musaafir , bhatka huwa main raahi
Dard main kis se baantun , na hai koi qarib mere
Bhar chuki hai KALAM me ALAM khun ki syaahi
Likhta hun main isse,bujhata hun pyaas APNI
Mai Ashkon ka musaafir , bhatka huwa main raahi
Love and Regards
Aapka Dost
EHSAAS ALAM
91-9910985521
Ehsaas_alam@ yahoo.com
Apna khyal rakhen aur hamesha khush rahen

 0 People liked it
0 Ratings


Dil ki batein hoton tak naa aa pai…
kuch aisi dillagi hum par chhayi,,,,
apko chaha kuch iss tarah….
Chahat ki had chahat tak naa rahi…dekho humari jan tak hai aayi…
Dil ki batein hoton tak naa aa pai…

 0 People liked it
0 Ratings


Din Tere Khayal Mein Gujar Jata Hai,
Raat Ko Khayal Tera He Aata Hai.
Kabhi Ye Khayal Is Tarah Badh Jaata Hai Ki
Aaine Mein Bhi Tera Chehra Nazar Aata Hai..

 0 People liked it
0 Ratings


Mere Malik Aaye ! Sab ke Qaliq
Yeh Teri Duniya Mere Liye Toh Bohut Ajnabee Hai
Hai bohut Begana Isiliye Toh..
Mein Hairaan Hoon
Mein Hirasaa Hoon Mein Bekull Hoon
Mein Pareshan Hoon
Nahi Raastoun Ka Koi Idraak Mujhko
Khadi Mein Ab Kahan Hoon ..!!!
Naa Jaane Mein Ab
Kistarah Aagayi Hoon
Jahan Aakar Mein Larzaa Hoon
Nahi Ye Baar Zeesat Uthaya Jaraha
Tujhe Hai Ilm Kitni Naatawaa Hoon
Toh Phir Kisliye Aazmayesh Itni
Chatt Hokar Bhi Besayaban Hoon
Teri Iss Wasee Kayanaath Me
Tere Hote Hue Beamaan Hoon
Tujeh Hai Ilm ke Tuqaiber Bhi Hai
Kitni Majboor Kitni Bebass Hoon
Bachale iss Baar-e-Gham Se Mujhko
Ke Mein Kab Kushadah Damaa Hoon !
Aaye Allah Humari Saari ibadatoun aur jayez Duaoun Ko
Qabool Farmaa.

 0 People liked it
0 Ratings


Aarzu thi ki unki banhon me dun nikale !!
Esme dosh thumara nahi jab badnashib hum nikale !!

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 391 - 400 of 3592, Page 40 of 360 pages.