Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 461 - 470 of 3592, Page 47 of 360 pages.

Ganga Toh Bahtii Jayegi
Ganga Toh Bahtii Jayegi
Khud Mein Sab Ko Samayegi
Karte Hain Paap Jo Din Raat
Unke Liye Bhee Mukti Layegee
Ganga Toh Bahtii Jayegi
Loot.Te Kis Tarha Zindgiyan
Baith Ke Ganga Kinare Phir
Japte Hain Raam Naam Yeh
Karte Hain Balatkar Phir
Ik Din Zind Tadpaayegi
Ganga Toh Behti Jayegi
Chori Dakaiti Inke Shauq Hain
Hathiyaar Se Holi Khelte Hain
Aatank Faila Rakha Hai Yahaan
Desh Ko Bhi Baich Dete Hain
Ik Din Ufaan Ye Laayegi
Ganga Toh Behti Jayegi
Ganga Sab Kuch Janti Hai
Paapi Ke Liye Bhee Ro Letee Hai
Dil Uska Bahut Mahan Hai
Sab Ke Paap Dho Deti Hain
Wo Dil Shiv-Shiv Kehlaayegi
Ganga Toh Behti Jayegi
Paap Ya Ho Aastiyan Kisiki
Har Cheez Baha Le Jati Hai
Ganga Jal Paawan Hai Itna
Jise Chhue Usey Bha Jaati Hai
Har Dil Main Jagah Banayegi
Ganga Toh Behti Jaati Hai
Shiv Keshse Utar Maa Ganga
Bhav Sagar Mil Jati Hai.

 0 People liked it
0 Ratings

Meri har khata pe naraz na hona,
Apni pyari muskaan kabi na khona,
Sakoon milta hai dekh ke apki muskurahat ko,
Muje maut bi ajaye to phir bi mat rona..

 0 People liked it
0 Ratings


hi everyone
thnx for ur appreciation.. i’ll try my best to keep postin sum
gud stuff..thnx again . here i go for anoder one.. hope u all like it as
well!!!
Mohabbat Khuwab Ki Soorat
Nigahon Main Utarti Hai Kisi Mahtaab Ki Soorat
Sitaare Arzoo Kar Ke Es Tarha Se Jagmagaate Hain
Ke Pehchaani Nahi Jaati Dil-e-Betaab Ki Soorat
Mohabbat Ke Shajar Per Khuwab Ke Panchi Utarte Hain
Tu Shaakhein Jaag Uthti Hain
Thaqe Haare Sitaare Jab Zameen Se Baat Karte hain
Tu Kab Ki Muntazir Aankhon Main
Shama Jaah Uthti Hai
Mohabat Un Main Jalti Hain Charagh-e-Aab Ki Soorat
Mohabbat Khuwab Ki Soorat..

 0 People liked it
0 Ratings


kuch lamhe yaadein chhod jati hai,
khushi aur ranj ka ehsaa chhod jati hai,
apni hi najro mein gir jate hai hum is kadar,
najre milana un yaadon se ek chunoti ban jati hai,
sukun sa milta hai batan apne pyar bhare lamhoko
per kaap sa uthta hai dil,soch ker un halato ko.
koshish ker ke bhi kisi ko na samjha pata hu mai apne us raat ko,
chhodna na chaha tha maine us pyar bhare sath ko.
ab bahut ho gai baatein us yaar ki,khul ke batata hu mai raaj us raat ki,
ja rahe the hum safar pe rishto ke ek gaanth mein,
toot ke reh gaya woh rishta sard ki us raat mein.
kis tarh se pahal hui kuch samajh na mai paya,
na jane kis kalyug ke shaitaan ko maine apne andar paya.
ji to chaha ker lu puri ,barso purane khwaab ko,
ruk gay mai dekh ke bhole se uske shabab ko.
garam ho rahi thi saasein,pass hone ke uske ehssas se,
dil mera jhoom utha tha ,nikalti si khusboo uske saas se.
halchal si hone lagi thi ab humare jism mein,
do jane ek hue the us sunahri raat mein.
koshise karta raha mai paa lu apne pyar ko,
per man nahi sunta tha mere dil ke us pukaar ko.
yaar bhi taiyaar na thi,pura karne mein mere is khwab ko,
per shitaan andar ka mere sulgata raha us chah ko.
jada nahi per bahut kuch aisa hua us raat ko,
yaadein bana ke rakh li maine us ankahi si baat ko.
pakhwde bita diye maine,pane ke liye us husn ko,
per sharm thi un aankhon ko,addbhare us jism ko.
hua karti thi pahal kali ghata ke chhaw mein,
sharma gaya tha chand bhi dekh ker us raat ko,
bhatak sa gaya tha mai unkahe rishte ki talash mein.
na najar aata tha kuch bhi deewanepan  ke bhook mein.
behek sa gaya tha mai shaitan ki us bhook se.
dil ki baatein juba pe lane mein aati thi sharam,
yaad aa jati thi usko rishte wale sabhi karam.
na to uski pahal thi,hui bhi na baad mein,
mai hi tah jo de raha tha tha apne sapno ko anjaam mein.
ab judai ho rahi thi,baat bhi ho gai thi kam,
na to ab haya thi,pi raha tha mai woh gum
bicchad chuke the hum parwane bima pura kiye us khwaab ko,
ek adhuri kasak si thi pura karne ki us khwaab ko.
gujar gaya hai arsa ,baatein hue mere yaar se,
dekhanahi hai yaar ko maine abhi tak pyar se,
ban ke reh gaya hai rishta,ankahe ehsaas ka,
najre nahi mil payengi ab kabhi un aank se.
kash chal jata mai picche samay ke saath saath,
na suhani safar karta ,na janm hoti us unkahe se sath ki.

 0 People liked it
0 Ratings


Jab Raat K Tanha Lamhon Mein
Koi Aahat Mujh Se Kehti Hai
Is Dil Mein Halchal Rehti Hai
Koi Jugnu Pass Se Guzre To
Koi Baat Halak Se Nikle To
Main Khud Se Ulajhne Lagta Hon
Phir Jaane Kya Kya Kehta Hon
Phir Yaad Uski Aati Hai
Phir Pal Do Pal K Lamhe Ko
Yeh Sans Meri Ruk Jati Hai
Ek Sholah Dil Mein Bharakta Hai
Woh Dard Sehar Tak Rehta Hai
Phir Weham Mujhe Yeh Kehta Hai
Koi Mere Dil Mein Rehta Hai
Koi Mere Dil Mein Rehta Hai..

 0 People liked it
0 Ratings


Mujhe meri wafa ka sila khoob mila hai
Wo khuda gareebo ko kabhi maaf nahi karta
Uske yaha pe der hai andher nahi hai
Dekhi hai humne der bhi andher bhi dono
Hamne chaman ko seecha apne jigar lahu se
kaate hi uge fir bhi jigar cheer ko mere
Ab tak toh na kubool hui koi bhi dua
Ab maut maangi hai dekhe kya hota hai
Ek mulakaat ki aarzu me kaat rahe the umr
Tumne khabar bhija di ye bahana bhi ab gaya
Koi sarfarosh hoga jo tujhse nazar milaaye
Hum toh darvesh hain teri chaukhat choomte hain
Abhi se kyu jalate ho tum charag ghee k
Inhe sambhal rakho meri kabr pe andhera hoga
Jab bhi aasmaan tutega mere uper hi girega
Uper wale se rista hi kuch aisa hai hamara.

 0 People liked it
0 Ratings


Apni bebasi par aaj rona aya
Dusron ko nahi main ne apno ko aazmaya
Har dost ki tanhai dur ki
Lekin khudh ko har morh par tanha paya.
———————-
Yaadon Ko Apne Dil Se Mita Kyu Nahi Dete
Jo Jaa Chuka Hai Us Ko Bhula Kyu Nahi Dete
Mujrim Hoon Main Tera Mujhe Itna To Bata
Khamosh Khade Hu Saza Kyon Nahi Dete
Use Jis Ke Zakham Hai Inaayat Teri
Gar Hai Tumhare Paas To Dawa Kyu Nahi Dete
———————-
Paane Se Khone Ka Maaza Aur Hai
Bandh Aankho Se Dekhne Ka Maaza Aur Hai
Aansoo Bane Lafz Aur Lafz Bane Gazal
Yaadon Ke Saath Jeene Ka Maaza Aur Hai...

 0 People liked it
0 Ratings


Khwabon mai tum, jab bhi aate ho
Hanste-hanste fir kyon chale jate ho
Mai puchhta hoon tumse, kya kami hai mujhme
Dilbar jo iss tarah mujhe satate ho
Sanam, dil ka kya dhundhta hai dar-badar
Tum to ujalon mai kahi najar na aate ho
Milne ki koshish to karo khulush-e-yar
Hansa kar fir iss tarah kyon mujhe rulate ho
Roj-b-roj naye-naye rup khwabon mai
Dekar tadap aur kashish badha jate ho
Kyon wo iss tarah tumko karte hain ‘Avinash’
Wo khud jagte hain aur tumhe jagate hain..

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 461 - 470 of 3592, Page 47 of 360 pages.