Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 501 - 510 of 3592, Page 51 of 360 pages.


mujay galay laga lo buhat udas hon main
ghum-e-jahan say chora lo buhat udas hon main
yeh intezar ka dukh ab saha nahin jata
tarap rahi hai mohabbat raha nahin jata
tum apnay pas bola lo buhat udas hon main
har ek sans main milnay ki piyas palti hai
sulag raha hai badan aur rooh jalti hai
bacha sako tu bacha lo buhat udas hon main
bhatak choka hoon buhat zindagi ki rahon main
mujay ab a kay chopa lo tum apni bahoon main
mera sawal na talloo buhat udas hon main
U ME OUR HUM
U ME OUR HUM

 0 People liked it
0 Ratings


kat hi gai judai bhi kab yun hua ke mar gaye
Tere bhi din guzar gaye mere bhi din guzar gaye
Tu bhi kuch aur hai ham bhi kuch aur hain
Jaane wo tu kidhar gayaa jaane wo ham kidhar gaye
Raahon mein hi mile the ham raahein nasiib ban gayein
Tu bhi na apane ghar gaya ham bhii na apane ghar gaye
Wo bhi Gubaar-e-Khaak tha ham bhii Gubaar-e-Khaak thay
Wo bhi kahin bikhar gaya ham bhi kahin bikhar gaye
Koi kinaar-e-aab- e-juu baithaa huaa hai sar nigoon
Kashti kidhar chali gaye jaane kidhar bhanwar gaye

 0 People liked it
0 Ratings


Saya bankar sath chalenge
Iske bharose mat rehna
Apne hamesha apne rahenge
Iske bharose mat rehna
Sawan ka mousam aate hi
Badal to cha jayenge
Har haal me lekin barsenge
Iske bharose mat rehna
Soraj ki manind safar pe
Roj nikalna padta hai
Baithe baithe din badlenge
Iske bharose mat rehna
Behti nadi me kache ghade hai
Riste,nate,ishq,wafa
Door talak ye behte rahenge
Iske bharose mat rehna

 0 People liked it
0 Ratings


Hum bhee uss jaisa dil banaa leitey tou achha thaa,
Un kee yaad mein ansoo baha leitey tou achha thaa,
Chalo iss taran hee dil ko manaa leitay tou achha thaa,
Apna naam darvazey say mitaa leitey tou achha thaa,
Zamaaney say hum khud ko chhupa leitey tou achha thaa,
Na kee kadar jiss nay zra bhee hamarey pyaar kee,
Hum bhee uss jaisa dil banaa leitey tou achha thaa,

 0 People liked it
0 Ratings

Kaun kehta hai ke zindagi khubsurat nahi hoti.
Ara zindagi to khud kehti hai ke mujhe khub jiyo par,
Kya karein jeene waalo ko uski samaj ya kadar hi nahi hoti.

 0 People liked it
0 Ratings


Har-su (Charo aur) garm hawa hai kiya aap jante hain
Lebnan jal raha hai kiya aap jante hain
Le lo talashi jakar b shauk se
Dushman yahin chhipa hai kiya aap jante hain
Pakre gaye the kal jo wo thi garib janta
Akshar yahi hua hai kiya aap jante hain
Mashum bekasuro ko bas yun hi saja dena
Kanun main likha hai kiya aap jante hain
Kisne giraya bum tha Hiroshima par ‘Dost’
Kis se ye chhipa hai kiya aap jante hain
Le lo sabak a ‘Dost ‘ Iraq aur Afgan se
Ab bhi samay bacha hai kiya aap jante hain.

 0 People liked it
0 Ratings


Tera haath chahta hoon,
Tera saath chahta hoon
Baahon mein teri rehna main
Din raat chahta hoon..

 0 People liked it
0 Ratings


Sab kahete hai ki tu nahi rukta,
Chalte raheta har waqt,
Per rukne ka naam nahi leta,
Jab gham rahete hai lipat kar saath mere,
Tho kyun fir tu uss waqt,chalne ka naam na leta.
Dhal jaata itni jald,
Jab khelte hum sath khusi k,
Kab guzar jaata tu uss waqt,
Na samaj paate the hum sab.
Tu(waqt) tho sab k sath raheta hai,
Kabhi gham tho kabhi khusi deta hai,
Per jhelna tho hume padhta hai,
Jo kuch bhi yeh waqt laata hai,
Lakin yeh waqt zarur kuch-na-kuch de jaata hai.
Ab tho iss kadar gham se dosti badh gayi,
Ki har waqt lipat kar hai rehata,
Khusi aa bhi gayi kisi waqt,
Tho lagta kya aagaya ye naa mood zindagi main iss waqt.
Khusi kya hooti hai,
Hum tho naa samaj the iss per,
Har waqt tho hum gham ki zanziron main bandhe rahete.
Waqt wo khusi ka,
Aane ka har waqt hum waqt per he saup dete,
Kabhi tho aayega wo waqt khusi ka, pass mere
Intazar main hum jee lete har waqt hass k.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 501 - 510 of 3592, Page 51 of 360 pages.