Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 531 - 540 of 3592, Page 54 of 360 pages.


Ishq ka ilzaam lagaya mehfil me,
Iqbal e zurm karwaya mehfil me.
Lafzon se rok raha tha har lab mujhe,
Nigahon ne raasta dikhaya mehfil me.

 0 People liked it
0 Ratings


Ranjish hi sahi dil ko dukhane ke liye aa
Aa fir se mujhe chhor jane ke liye aa
Kis kis ko batayenge judayi ka sab-ab hum
Tu mujhse khafa hai to jatane ke liye aa
Kuchh to mere didare mohababat ka bharam rakh
Tu bhi to kabhi mujhko manane ke liye aa
Mana ki mohababat ka chhupana hai mohababat
Chupke se kisi roz batane ke liye aa
Jaise tujhe aate hain na aane ke bahane
Aise hi kisi roj na jane ke liye aa..

 0 People liked it
0 Ratings


Aap se jab hamari yaari ho gay,
Duniya aur bhi hamari pyari ho gay,
Ise pehle hum kisi bhi chiz ke adi na the,
Par aab apko yaad karne ki bimari hi gayi.

 0 People liked it
0 Ratings


Ikk muskurahat si chehrey pey sajja rakhi hey,
oss main aik baat chuppa rakhi hey.
matt pocho mujhse meri dastaan,
jo humne zamaney sey iss dil main chuppa rakhi hey.
mera dil bhi kisi sagar sey kam nahi,
bohatsey raz iss main chuppa rakhain hain.
zinda main houn lekin aisi zindagi main keya,
jiss ki khowaish na tamanna ho mujh main.
abh tou jee rahi houn main,
iss jaltey diye ki terah,
jaltey rehna mukaddar hey mera.
meri qismatt ki baat na chero,
bass ghum aur dukh bharey hain iss main.
tujh ko ghum suna ke kia karoun gee main,
ikk dair ki hamdardi hi milley gi mujhe.
kabh tukhrai gi yeh bewafa zindagi mujh ko,
bas yehi ikk aas hey mujh main.
iss muskaan sey ghum chuppa rakhey hain,
dukh apney zamaney sey chuppa rakhey hain

 0 People liked it
0 Ratings


Tere kadmo ki ye aahat khumari jagaye hai,
Madhosh mera dil nasheman me giraftar.
Khankatee see aawaj teri, lab tere gulab se,
Murdo me bhi ja foonk de, maseeh lage hai..
Tujhse bichadne ka wo manjar ajeeb tha
Ab bhi teri ranho me pada hai wahi fakeer.
Dil ka raha chiraga bhi aur noor ki mahfil bhi
Uspe tera aana, yousuf-o-julekha sa lage hai.
Tere kafas me dil ko ye kaisa sukoon hai
Aazadi-o-parwaz bhi ab maut lage hai
Mere shukoon tu khud ko samajh hi nahi paya,
Tu to maseeh-e-dil hai jahane-geer lage hai
Mai janta hoon tere brabar nahi hoon mai.
Kandeel-e-rah hee sahi, tere kam to aaya.
Mere junoon-e-isq ko paththar hai marte
Ye log, ye duniya, “Ali” ajeeb lage hain..

 0 People liked it
0 Ratings


Hum to yun apni zindagi se mile
Ajnabi jaise ajnabi se mile
Har wafa aik jurm ho goya
Dost kuch waise berukhi se mile
Phool hi phool hum ne mange the
Daag hi daag zindagi se mile
Hum to yun apni zindagi se mile
Ajnabi jaise ajnabi se mile...

 0 People liked it
0 Ratings


Ek khwaab suhana toot gaya
ek jakhm abhi tak baaki hai
jo armaa the sab khaak huye
bus raakh abhi tak baaki hai
Jab udte the parwaze thi
suraj ko choone nikle the
sab pankh hamare jhulas gaye
par chaah abhi tak baaki hai
Parvat se akkhad rehte the
toofano se bhid jaate the
tinko k jaise bikhar gaye
par taav abhi tak baaki hai
Lehro se behte the hardam
deewane the matbaale the
din guzar gaye wo mastaane
par yaad abhi tak baaki hai.

 0 People liked it
0 Ratings


Uss Mod Say Shuru Karein Phir Ye Zindagi
Her Sheh Jahan Haseen Thi Hum Tum They Ajnabi
Lay Kar Chaly Hum Jinhe Jannat ke Khwab They
Phoolon Ke Khwab They Wo Mohabbat Ke Khwab They
Lekin Kahan Hai Un mey Wo Pehli Si Dilkashi ?
Uss Mod Se Shuru Karein Phir Ye Zindagi
Rehtay They Hum Haseen Khayalon Ki Bheer Mein
Uljhay Huve Hai AaJ Sawalon Ki Bheer Mein
Aane Lagi Hai Yaad Wo Mohabbat Ki Her Ghadi
Uss Mod Say Shuru Karein Phir Ye Zindagi
Shayed Ye Waqt Hum Say Koi Chaal Chal Gaye
Rishta Wafa Ka Our Hi Rangoun May Daal Gaye
Kaash Uss Waqt Hum Samaj Liye Hote
Ye Dhoori Hum Say Kabhi Nahi Hote
Ashkon Ki Chandni Say Thi Behter Wo Dhoop he
Uss Mod Say Shuru Karein Phir Ye Zindagi
Her Sheh Jahan Haseen Thi Hum Tum They Ajnabi
Uss Mod Se Shuru Karein Yeh Zindagi..

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 531 - 540 of 3592, Page 54 of 360 pages.