Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 591 - 600 of 3592, Page 60 of 360 pages.


Aisa lagta hai zindagi tum ho
ajnabee kaise ajnabee tum ho
ab koi aarzoo nahin baakee
justjoo meri aakhri tum ho
main zameen par ghana andhera hoon
aasmaanon ki chandni tum ho
doston se wafa ki ummeeden
kis zamaane ke aadmi tum ho

 0 People liked it
0 Ratings


samajh na sake dooriyan kyun thi,
zuban per the lafz phir majbooriyon kyun thi,
dilon ki baat agar chaye haqiqat hoti hai,
hamare darmiyan woh khamoshiyan kyun thi,
boone the humne bhi kuch reshmi dhaagon ke khwaab,
humare hisse mein woh kaali dooriyan kyun thi,
idhar honthon per azab si joombish,
udhar kuch raaz dil ke talon mein,
samajh nake na sargoshiyan hawaon ki,
humare hisse mein sehra ki andhiyan kyun thi,
tumhe gurez meri chand baaton se,
main bhi parwaz ki thi hamil,
pahoonch ke mill ke patthar per sochta hoon,
safar tanha tou phir woh dooriyan kyun thi.

 0 People liked it
0 Ratings


Kya kahe hum dil ka haal ,jubaan pe koi shabd nahi,
pyar ek gunaah hai ,isse galat kuch bhi nahi,
zindagi ki khoobsurati samet leta hai ye pyaar,
sabse bura hota ye shabd agar isme juda no hota yaar.
baat ker rahe hai hum ,mehbbob wale pyar ki,
jiski hume bhi is duniya mein kabhi talash thi.
jab tak chale tab tak isse acchi koi bhawna nahi,
per agar tut jaye ye to maut bhi isse sahi.
kehte sabhi hai waqt bhar deta hai dil ke ghaw sabhi,
per waqt bhi deta hai dhokha ye humne kabhi socha nahi.
sach kahu to pyar jaisi koi chij nahi is jahaan mein,
bus kuch pal ki khushiyaan hai ye jo gum ho jati hai shaaman mein.
tod ker rakh deti hai saasein dil bhi rehta hai bechain,
zina bhi mushkil ho jata hai ,raatein ho jati hai rain.

 0 People liked it
0 Ratings


Aap wafa ki baten karke bewafa ho gaye
Wada karke aap hamse gairon ke ho gaye
Chaha tha hamne aapko duniya ko bhulkar
Dil ki har chah khwab bankar bikhar gayi
Dekha jab aapko aaino main sanwar kar
Hoth the khomesh magar aankhon main ashq aa gaye
Chala tha main akela manjil ki talash main
Safar to sahi tha magar karwa badal gaye
Hamne jo banaya ret par khwabon ka mahal
Dar raha tha tufan se badal barash gaye
Yakin nahi ab to apni kishmat ke sitaron par
Aasman se girkar wo bhi bikhar gaye.

 0 People liked it
0 Ratings


ye to malum hai k tumhe paa na sakenge
tumhara naam duniya k saamne la na sakenge
jaldi aa jaao k waqt rukhsat ka hai
tumhe dekhe bina duniya se ja nahi sakenge
Tamana-e-ishq to hum bhi rakhte hai,
kisi ke dil me hum bhi dhadakte hai,
na jaane hume woh kab milengi,
jis ke liye hum roz tadapte hai.
Fareb tha hasi mein, aashiqui samaj baithe.
Maut ko hi hum, apni zindagi samaj baithe..
Waqt ka mazak tha ya badnasibi hamari.
Unki do baton ko, Hum Chahat samaj baithe.!!!
Yeh Unki Bhi Aankhon Ka Qusur Hai
Main Tanha Gunahgar To Nahi
Woh Is Tarah Se Mere Dil Main Shamil Hai
Jahan Bhi Jaoon Lagta Hai Unki Mahfil Hai
Heena ne zindagi ke aanchal me sar rakh ke pucha, mai kabhi puri hongi,
to zindagi ne? ?? pyar se muskura ke kaha, jo puri ho jaye woh Heena hi
kya.

 0 People liked it
0 Ratings


Hm to har baat khuda pe chod dete hai,
Tute na dil kisika dil apna tod late hai.
Hm bhi insane hai khuda to nahi,
Fir kyo log har tufaan hamari or mod dete hai

 0 People liked it
0 Ratings


The beloved is acting hard to get and the lover is wondering why
Auran sang batiyaye
Hans hans kalol kare
Sakhi mori
Jo main bulaun mohe ankhiyan dikhaye
Roothi mujhse sakhi mori
kumod bin chandra sukha padyo
Suni padi amrayi koyal
Kuk nahin det bahu din se
Bhor ki lalima gayi
Sanjh ka sukh chain
Nisthur nirdayi dur khadi itraye
Rachana ka lavanya gayo
Sudhur deh ki angadayi
Nayan ab tarsaye
Lekhni padi tuti
Nisthur nirdayi dur khadi itraye
Bole na kachu mujhse
Tevar hi dikhaye
Vedana dekh dekh
Bairan dur khadi muskaye
Janat hai kal na padat
Us bin
Sakhi dur khadi tarsaye
Auran sang batiyaye..
Manoj set it on a sweet raag and sing it for us, we may get it recorded ;)
Sanjay N
PS above is just a poet’s imagination which usually runs wild and amok.
Don’t ask me who this is for, for there is nobody

 0 People liked it
0 Ratings


kat hi gai judai bhi kab yun hua ke mar gaye
Tere bhi din guzar gaye mere bhi din guzar gaye
Tu bhi kuch aur hai ham bhi kuch aur hain
Jaane wo tu kidhar gayaa jaane wo ham kidhar gaye
Raahon mein hi mile the ham raahein nasiib ban gayein
Tu bhi na apane ghar gaya ham bhii na apane ghar gaye
Wo bhi Gubaar-e-Khaak tha ham bhii Gubaar-e-Khaak thay
Wo bhi kahin bikhar gaya ham bhi kahin bikhar gaye
Koi kinaar-e-aab- e-juu baithaa huaa hai sar nigoon
Kashti kidhar chali gaye jaane kidhar bhanwar gaye

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 591 - 600 of 3592, Page 60 of 360 pages.