Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 631 - 640 of 3592, Page 64 of 360 pages.


Waqt to hume bhul chuka hai,
Muqaddar bhi na bhula de,
Pyaar hum isiliye nahi karte,
Kyonki darte hain koi hume phir se na rula de.

 0 People liked it
0 Ratings


Socho koi pagli thi
Albeli, anjaani deewaanisi…
Ek pagli thi aur uski ek kahaani thi
Paglapan hi jisse kho diya usne
Ek aisi roti hui si kahaani thi
Barish ki us raat ki kahaani thi
Jahan barish na sirf aasmaani thi
Ek pagli aur uske toote dil ki
Ek roti hui si kahaani thi
Ek zindagi si kahaani thi
Bahut kuch paakar kho diya
Ek jaani hui phir bhi anjaani kahaani thi
Haan yeh pagli ki uske khoye hue paglepan ki
Ek roti hui si kahaani thi
Apne aaj ko badalti hui
Phir bhi ateet ki kahaani thi
Kuch reh gayaa hain adhoora shaayad
Ek chubhti hui kahaani thi
Kuch dhoond rahi yeh pagli aaj bhi
Shaayad… kuch khoti hui kahaani thi
Kuch dard aaj bhi hain mehsoos karti
Poorani lekin phir bhi aajsi kahaani thi
Socho ek pagli thi
Aur uski ek yehi kahaani thi
Na socha na jaana
Bas ek ehsaas ko le
Kise sab kuch de diya
Haan ek aise paglepan ki
Ek deewani si kahaani thi
Dil ki dil ke jazbaaton ki
Dil ke ehsaason ki kahaani thi
Kisi ko dil na dena apna
Yeh kehti hui
Dil dekar paaya toota hua
Ek tootese se dil ki kahaani thi
Muskan ki Muskaraahat ki
Inki khoti hui kahaani thi
Dil mein jo yekin tha sabpar
Unki khoti hui kahaani thi
Kuch pyar tha kuch dosti thi
Jaane anjaane
Apne begaano ke liye
Inke kho jaane ki kahaani thi
Khud par jo bharosa tha
Uske kho jaane ki kahaani thi
Socho ek pagli thi
Haan uski yehi kahaani thi
Paakar hain ab itna kuch gavaayaa
Kuch pane se darrti hui
Khud ko khoti hui kahaani thi
Socho ek pagli thi
Uski na pagli si ek kahaani thi…...

 0 People liked it
0 Ratings


Apko dekh kar jane kyon ye lagata hai,
Ki ap hi jahan ho ap hi meri Zindgani…..
ab toh dunia mein aur koi dikhta hi nahi janab…
jab se khuda ne ki tujhe mujhse milane ki Meharbaani…….

 0 People liked it
0 Ratings


Aisa apna husband ho
Aisa apna husband ho
6′ – 6’2″ jiski height ho
Jeans dheeli magar body tight ho
apni baaton se karta excite ho
Wo dashing smart aur polite ho
Husband apna aisa bright ho.
Uski apni ek website ho
Network uska world-wide ho
Swiss bank mein account 26 – 27 ho
Jab shopping kar ke aoon, bole begum tum kitni nice ho
Husband apna aisa bright ho
Uff tak na kare, itna quiet ho
Jalaa khana khakar bhi, usey mujhpe pride ho
Mere har nakhre uthaye, itna mizaaj uska light ho
Apne friends ke saamne kahe, tum perfect bride ho
Husband apna aisa bright ho.
Dinner banaye wo, jab bhi romantic night ho
Hamesha wo haar maan jaye, jab bhi koi fight ho
Saas sasur ke samne kahe, jaan tum hamesha right ho
Mujhe rani bana kar rakhe, to phir zindagi delight ho
Husband apna aisa bright ho.
Bindaas apni mann ki karoon, kuch is tarah ki life ho
Har doosre week ghoomne phirne ki flight ho
Aisa ho jaye to main udoon aasmaan mei, jaise ke koi kite ho
Husband apna aisa bright ho!
Kaash yeh concept .001 percent bhi right ho,
Agar Aisa apna Husband ho,
to kya haseen life ho.

 0 People liked it
0 Ratings


Ikk muskurahat si chehrey pey sajja rakhi hey,
oss main aik baat chuppa rakhi hey.
matt pocho mujhse meri dastaan,
jo humne zamaney sey iss dil main chuppa rakhi hey.
mera dil bhi kisi sagar sey kam nahi,
bohatsey raz iss main chuppa rakhain hain.
zinda main houn lekin aisi zindagi main keya,
jiss ki khowaish na tamanna ho mujh main.
abh tou jee rahi houn main,
iss jaltey diye ki terah,
jaltey rehna mukaddar hey mera.
meri qismatt ki baat na chero,
bass ghum aur dukh bharey hain iss main.
tujh ko ghum suna ke kia karoun gee main,
ikk dair ki hamdardi hi milley gi mujhe.
kabh tukhrai gi yeh bewafa zindagi mujh ko,
bas yehi ikk aas hey mujh main.
iss muskaan sey ghum chuppa rakhey hain,
dukh apney zamaney sey chuppa rakhey hain
U ME OUR HUM

 0 People liked it
0 Ratings


Ye dua hai aatish-e-ishq mein tu bhi meri tarah jala kare,
Na ho khushi naseeb tujhe tere dil mein dard utha kare,
Tere saamne tera ghar jale tera bas chale na bujha sake,
Tere dil se nikle yahi dua ke na ghar kisi ka jala kare.
Har nami me kuch kami tho rahegi,
Aankhe kuch shabnami tho rahegi,
Zindagi ko hum kitna bhi savare,
Bin aapke kuch kami tho rahegi.
Humse Apna Ghar Kisi Tarah Sajaya Na Gaya,
Jindgee Tujhko Bhi Mehmaan Banaya Na Gaya,
Laakhon Dilchaspi Ke saaman Thye Duniyaan Me Magar,
Ek Lamha Bhi Tujhe Dil Se Bhulaya Na Gaya.
Kabi yaadein kabi sapne suhane bhej deta hay
mujhe aksar wo yadon k khazane bhej deta hy
Me jab guzre dino ki talkhiyon ko bhool jata hun
mujhe phir koi beetay zamane bhej deta hy
kabhi qasmein kabhi ehd-e-wafa ka hosla dey kar
mujhe wo zinda rehne k bahane bhej deta hay..!
Main hi thaam sakun haath unka,
Mujh pe itni ibaadat si karde,
Wo reh na paaye ek pal bhi mere bina,
Aye khuda tu unko meri aadat si karde
Itnay majboor hain taqdeer k Hathon..
Na Usay panay ka Hosla hai,
Na usay khonay ka zarf

 0 People liked it
0 Ratings


Arj kiya hai
Mera har ek sher tere jazbat se achcha hoga,
Mera har ek din meri raat se achcha hoga,
Niklegi jab doli tumhari, niklegi tab arthi meri,
par mera janaza teri baraat se achcha hoga,
Mere janaze ke peeche mat aana , tumhe taqleef hogi,
Kyuonki main char kandhon pe rahoonga aur tu paidal hogi

 0 People liked it
0 Ratings


Dil laganewale lakhon milenge,
Pyar karnewale hazaron milenge.
Milnewale to har roj milenge,
Par ham jaisa diwane dhoondhe se na milenge.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 631 - 640 of 3592, Page 64 of 360 pages.