Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 671 - 680 of 3592, Page 68 of 360 pages.


Kabhi hamare sabse karib ho jaate hai humse khafa,
Khata ki humne, lekin aisa bhi kya ruthna,
Chahte hai unhe dil-o-jaan se, bas itni si guzaarish ki,
Sun to let eek baar hamari bhi,
Phir chahe bewaafa hi kyon na kehna…
Kitne saalon baad humne phir kisi se pyaar kiya,
Pyaar ka izhaar karke, humne ikraar kiya,
Lagta hai hamari lakeeron mein sirf dhoka likha hai,
Jisse chaha, wahi phir se dard de gaya…
Jaise suraj ke bina nahi hogi roshni ki kirne,
Jaise raat ke bina nahi hoga chaand,
Jaise baadlon ke bina nahi hogi bearish ki boonde,
Jaise sagar ke bina nah hogi laherein,
Jaise seep ki bina nahi hoge moti,
Jaise majbooriyon ke bina nahi hogi judai,
Jaise pyaar ke bina nahi hogi bewaafai,
Jaise jazbaaton ke bina nahi hoti hai shayari,
Aap samaye hamare dil mein is kadar,
Jaise aapke bina hai hamari zindagi mein sirf tanhaayi…
hi..
hope u like these..
waiting for your comments..
Always Keep Smiling.
Sincere Regards.

 0 People liked it
0 Ratings


Teri ankhon mein aas ho to meri ho,
Tere hothon pe pyaas ho to meri ho,
Jab tu bole to lub tere hi hile,
Magar un hothon se aawaz meri ho.

 0 People liked it
0 Ratings


Kya naam du is rishte ko tere
mujhe maloom nahin..
dil kehta hai ke hai ye bahut purana rishta
vahee rishta..
jo chand ka hai chandni se..
sitaro ka hai aasma se..
hi.
samunder ka hai gehraee se..
jism ka hai aatma se..
phoolo ka hai khooshboo se..
suraj ka hai roshni se..
kya naam du is rishte ko tere
mujhe maloom nahin..
kuch hee dino kee ye mulakato ne
bechen kur dala hai dil ko
khayal rehta hai tumhara hur dum, hur pal, hur lumhah..
chavi hai tumhari ankho mei
khooshboo hai tumhari sanso mei
tum duur ho tuo paas ho
pass ho to duur
ye kya hai ? kyu hai ? kaise hai ?
kuch maloom nahin..
is rishte kee hud
mujhe maloom nahin
kya ye sahi hai ya galut ?
mujhe maloom nahin
kya naam du is rishte ko tere
mujhe maloom nahin ..

 0 People liked it
0 Ratings


Dosti Najaro Se Ho To Kudrat Kehte Hai,
Sitaro Se Ho To Jannat Kehte Hai,
Husn Se Ho To Mohbbat Kehte Hai
Aur Hamse Ho To Use Kismat Kehte Hain !!

 0 People liked it
0 Ratings


Jab Saher ho hansalo hum ko,Jab Andhera ho Jilalo hum ko,Hum Haqiqat hain Nazar aate hain,Daastanoun mein Chupalo hum ko,
Din na pa jaye kahin Shab ka Raaz,Subah se pahele Jagalo hum ko,Door ho jayeinge Suraj ki tarha,Hum na kahte mat Uch,chalo hum ko,
Hum Zamane ke sataye hain bohat,Apne Seene se lagalo hum ko,Waqt ke hount hamein Chu lenge,In ke Bool hain Ga lo hum ko.
Itna tuta hun ke phir na jud paounga.Ab agar Hawa bhi Chuwegi tu Bikhar jaounga”.Alfaaz ke pardaoun mein karo is ka Yakheen,Leti hai Saans nazm-e-Shayer ki zameen,
Ahista hi Gungunao mere Ashaar,Daar hai na Kuchal jayein mere Kahab Kahin.

 0 People liked it
0 Ratings


Dil ki mere beqarari mujhse kuchch puchcho nahi
Shab ki meri aah-o-zaari mujhse kuchh puchho nahi
Baar-e-Gham se mujhpe roz-e-hijr mein ik ik ghadi
Kya kahun hai kaisi bhaari mujhse kuchh puchcho nahi
Meri surat hi se bas maaloom kar lo ham-damon
Tum haqiqat meri saari mujhse kuchh puchho nahi
Shaam se taa-subah jo bistar pe tum bin raat ko
Maine ki akhtar-shumari mujhse kuchh puchho nahi
Ham-damon jo haal hai mera karunga gar bayaan
Hogi unki sharm-sari mujhse kuchch puchcho nahi.

 0 People liked it
0 Ratings


Koi Nahi Hain Main Aur Tum
Chaand, Zameen Aur Hawa
Mast Hawa, Aawarah Badal
Nat Khat Taare Aur Ye Shabb
HAAN!
Koi Nahi Hai, Main Aur Tum

 0 People liked it
0 Ratings


Aap Ne ki Bewaffai
Magar Main Ab bhi Waffa karta hoon
Aap Ne ki Bewaffai
Magar Main Ab bhi Waffa karta hoon
kahi Aankon mein na aajaye aansu
isliye Muskurate rehata hoon.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 671 - 680 of 3592, Page 68 of 360 pages.