Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 61 - 70 of 3592, Page 7 of 360 pages.


Karte the kbi humse kitni baten ,
Aaj vo kyon apni awaj sunane se katrate hai ,
Hum bhi wahi hai dil bhi wahi hai ,
Na jane kyon log badal jate hai……….!

 0 People liked it
0 Ratings


Kaash ye dil sheeshe ka bana hota,
Chot lagti to beshak ye fanaa hota.
Par jab vo sunte sadaa is dil ki,
Ya khuda tab to unhe ehsaas-e-gunah hota.

 0 People liked it
0 Ratings


$. Aisi dosti ho hamari,
ki dil chahe to har safar, har dagar par mile,
mar bhi jaoon to yaari rahe kayam,
too baajoon ki kabr mein mile…
$. Baat kehe di jaaye jubaan se jaroori to nahin,
umr gujri hai aadhi puri to nahin,
samajh lenge, nighaao se mere dil ki daastaa,
door bahut hai wo kahi, dil ki doori to nahin…
$. Hamne socha tha ye botal saath nibhayegi,
par hamen kya pata tha, ye upper se hamein lootegi,
andar se khaayegi…
$. Zindagi mein kabhi pyar mat karma,
ho jaaye to inkaar mat karma, nibha sako to chalna usi raah par,
warna kisi ki zindagi barbaad mat karna…
$. Chaand taaron ka pyar tujhpe barse,
har koi teri chahat pane ko tarse,
teri zindagi mein itni khushiya aaye,
ki har gum tujhe paane ko tarse…
$. Aap na hote to hamein gahzal kaun keheta,
hamare is chehre ko kamal kaun keheta,
ye khushboo hai, warna is zamaane mein,
patthar ko tajmahal kaun keheta…
$. Khuda se maine dua maangi, dua mein apni maut maangi,
khuda ne kahaa maut to mein tumhe de doo, par uska kya,
jisne tere jeene ki dua maangi…
$. Dil ke jakhm har kisi ko dikhaaye nahin jaate,
ashk unki yaad mein bahaaye nahin jaate,
marne tak rehe jaati hai jindaa yaadien,
kuch log aise hai jo bhulaaye nahin jaate…
$. Dosti naam hai sukh-dukh ki kahani ka,
dosti raaz hai sada muskuraane ka,
ye koi pal-do-pal ki rishtedaari nahin,
dosti to farz hai umr bhar saath nibhaane ka…
$. Bole wo dosti chup rahe wo pyar,
milaaye wo dosti alag kare wo pyar,
hasaaye wo dosti rulaaye wo pyar,
phir bhi log dosti chohdkar kyon karte hai pyar…
$. Har gulshan gulzaar hota hai,
har kali mein pyar hota hai,
ye sochkar badi bhool ki har dost wafadaar hota hai…
$. Too kahe tere pyaar mein pagal ho jaayenge,
tere is chehre pe fida ho jaayenge,
gunaah nahi kiya pyaar kiya hai,
roothe to duniya se hum rukhsat ho jaayenge,
hotoon ki juba ko hum samajh nahin paate,
hot hamaare bhi kuch kehe nahin paate,
apni bebasi kis tarah kahe,
ek tum hi to ho jinke bina hum rahe nahin paate…
$. Badal kitne khushnaseeb hai,
door rahekar bhi zamaane par barste hai,
hum kitne badnaseeb hai,
paas rehe kar bhi milne ki taraste hai…
$. Zindagi kisi ki mohtaaz nahi hoti,
dosti sirf jazbaat nahi hoti,
kuch to khyaal aaya hoga khuda ko,
warna yuh hi aapki humse baat nahi hoti…
$. Har chuppi ka matlab ikraar nahi hota,
har nakamyaabi ka matlab haar nahi hota,
kya hua agar hum aapko paa na sake,
sirf pane ka matlab hi to pyaar nahi hota…
$. Jaam tootne ka bahana mat kar,
hum teri aankhon se pee lenge,
to mat aa – aane ka vada to kar,
hum tere intzaar mein jee lenge…
$. Kaash mere khuda ne ye dil sheeshe ka banaya hota,
todne wale ke haath mein jakhm to aaya hota…
$.
Jane kyon is jahan main aisa hota hai,
khushi jise milni chahiye gham usiko hota hai,
Umar bhar sath nibha na sake jo ,
jane kyon pyar usi se hota hai!!
Chand nahin to uski chandini hi sahi, Paas nahin to Duur hi sahi, Jii to rahe hain harpal yuhin ghut ghut ke, TUM nahin to TUMHARI justuji hi sahi..
Muskura do zara khuda ke vaste, sama-e-mahefil mein roshni kam hai, tum humhare nahin to kya ghum hai, hum tumhare to hain yeh kya kam hai?
Koi ankhon se baat ker leta hai, koi ankhon me mulakat ker leta hai, bada mushkil hota hai jawab dena jab koi khamosh rehker saval ker leta hai.
Mila jo hota ek pal pyaar ka,unke kadmo me khushi ban kar bikhar jate,
ruswa hue har baar toh kya,unki chahat me hum kuch bhi kar jaate,
tuta hai dil iss kadar fir bhi,iss baat pe rota hain,
ki hum woh tara bhi nahi jo tut ker unki ek khwaahish puri kar pate.
Muskura do zara khuda ke vaste, sama-e-mahefil mein roshni kam hai, tum humhare nahin to kya ghum hai, hum tumhare to hain yeh kya kam hai?

 0 People liked it
0 Ratings


Dur tak tanhai bhara safar hai,
koi sathi na koi humsafar hai,
chale jate hain dil ke sahare teh soch kar,
ki bas agle mod par khushiyon ka shehar hai.

 0 People liked it
0 Ratings


Ashq rukenge nahi aankhon main aaya hi karenge
Fasana bewafai ka jahanko bataya hi karenge
Fankar lakh chahe gito se nijat
Saj-E-Jhankar pe kuchh gungunaya hi karenge
Jakhmi dil ki karah tum tak pahunche na pahunche
Ye shero ka guchhe tum tak jaya hi karenge
Paida hote rahenge tum sa jahan main jab tak
Mohababate chirag yun hi bujh jaya hi karenge
Likhte rahenge ‘Avinash’ Hum hal apne dil ka
Ban jaye nek gajal to log gaya hi karenge.

 0 People liked it
0 Ratings


WIFE:- Suniyeji Aapka Dost Galat Ladki Se Shadi Kar Raha Hai, Aap use
Rokte Kyu nahi ?
Husband :- Mein use kyu roku?
usne muje roka tha kya ?

 0 People liked it
0 Ratings

Jinhe dill ne chaha jinhe dill ne pujja
aab nazar aa rhy hai woh ajnabi se
ravayat hai shayad yeh sadiyon se purani
shikayat nhi hai zindagi se aab

 0 People liked it
0 Ratings


Is Dil ko Pyaar mein dhadakne ki Sazaa to milni hi thi,
Ishq ki Bahaaron ko ek na ek din yeh Khizaa to milni hi thi,
Yeh to humne haske Zindagi ko gale laga liya thaa
Warna dhundhne par Marne ki ek Wajah to milni hi thi.
——————–

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 61 - 70 of 3592, Page 7 of 360 pages.