Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 711 - 720 of 3592, Page 72 of 360 pages.


Phir aansuon k kuch fasane nikle,
maikhane se sharabo k paimane nikle,
jo dil k haal ko samaj na paya,
unko hum apne zakham dikhane nikle..
————————
Tera dard Bayaan karne ke liye lafz nahi milate
MOhabbat k jkham k dawa dukan me nahi milate
Kassh khuda hume itana dard nahi deta dost
Toh hum bhi mehfil me tumse hass-hass k milate..
————————
Ye raaz kon jane kis ka qasoor tha
toota wahi sahara jis pe garoor tha
usay hai guroor k woh kisi aur ka hai
hamein hai naaz k woh kabhi hamara zaroor tha...

 0 People liked it
0 Ratings


Apne haathon se yun chehre ko chupaate kyon ho,
Mujh se sharmaate ho to saamne aate kyon ho,
Tum kabhi meri tarah kar bhi lo ikraar-e-wafa,
Pyaar karte ho to phir pyaar chupaate kyon ho,
Ashk aankhon mein meri dekh ke rote kyon ho,
Dil bhar aata hai to phir dil ko dukhaate kyon ho,
In se waabastah hai jab mera muqaddar,
Phir tum mere shaanon se ye zulf hatate kyon ho,
Roz mar – mar ke mujhe jeene ko kehte kyon ho,
Milne aate ho to phir laut ke jaate kyon ho..?

 0 People liked it
0 Ratings


Dil mai bassaye jo armaan tere liye.
Ek pal mai saare bhikhar gaye.
Milke bhi wo na milee mjhe..
Mere saare armaan bhikhar gaye..
Ghum is baat nahi ki woh meri ho na saki ek pal liye.
Woh mjhe is tadap mai tanha chod gayi zindagi bhar ke liye.

 0 People liked it
0 Ratings


Kagaj par hamne jindgi likhdi,
Aankho se sinch kar khushi likh di,
Dard jub bhi ham laye lafzo pe.
Dosto ne kaha dost wah..kya Shayari likh di.

 0 People liked it
0 Ratings


Tere badan se chura ker mehak hawa degi,
Zakhm ko rang hara shokhi-e-saba degi.
Mujhe yaqeen hai jab mera tazkara ho ga,
Woh kuch kahe na kahe aankh muskura degi.
Mera her sher teri yaadon se aashna yun hai,
Meri her ghazal mere dard ka pata degi.
Main kuch kahon na kahon lab se magar yeh meri ghazal,
Dua ko aik naya tarz-e-iltija degi.
Jo khud ko bashar kahe or dare bashar se hi,
Khuda ki gaibi madad saath us ka kia degi.
Tere khayal ki khushbu tere lafzon ki mehak,
Mujhe yeh darr hai ke shayar mujhe bana degi.
Main Tanhaa tha to nahi jurm-e-muhabbat se qabal,
Kya khabar thi ke woh tanhayee ki sazaa degi.!!!

 0 People liked it
0 Ratings

Hume To Lut Liya Mil Ke Husn Valo Ne
Kale Kale Balo Ne Gore Gore Gaalo Ne
Najar Mein Shokhiya Aur Bachapana Sharaarat Mein
Adaae Dekh Ke Hum Fas Gaye Mohabbat Mein
Hum Apani Jaan Se Jayege Jin Ki Ulafat Mein
Yahin Hai Ki Na Aayege Vohi Maiyat Mein
Khuda Saval Karega Agar Qyamat Mein
To Hum Bhi Kah Denge Hum Lut Gaye Sharafat Mein
Vahi Vahi Pe Qyamat Ho Vo Jidhar Jaye
Juki Juki Hui Nigah Se Kaam Kar Jaye
Tadapata Chod De Raste Me Aur Gujar Jaye
Shitam To Ye He Ki Dil Le Le Aur Mukar Jaye
Samaj Me Nahi Aata Ki Ham Kidhar Jaye
Yahi Irada He Ki Yah Kah Kar Kam Mar Jaye
Vafa Ke Nam Pe Mara He Be-Vafaao Ne
Ke Dam Bhi Na Lene Diya Is Jafaao Ne
Khuda Bhula Diya He Is Husn Ke Khudaao Ne
Mita Ke Chhod Diya He Ishq Ki Khataao Ne
Udaaya Hosh Kabhi Zulf Ki Havaao Ne
Khayal-E-Naaz Ne Luta Kabhi Adaao Ne
Hajaro Lut Gaye Najaro Ke Ek Isare Par
Hajaro Bah Gaye Toofan Ban Ke Dharo Par
Na Inake Vaaso Ka Thik He Na Baato Ka
Fasana Hota He Inaka Hajar Rato Ka
Bahut Hasin He Vese To Bhol Pan Inaka
Bhara Huaa He Magar Zahar Se Badan Inaka
Ye Jis Ko Kaat Le Vo Pani Pi Nahi Shakata
Davato Kya Duaao Se Bhi Jee Nahi Shakata Hai
Inahi Ke Mare Huye He Ham Bhi Jamane Mein
He Chaar Labz He Mohabbat Ke Fasane Me
Zamana Inako Samajata He Nek Aur Masoom
Magar Ye Kese He Kya He  Kisi Ko Kya Maloom
Inahe Na Tir Na Talavar Ki Jarurat He
Shikar Karane Ko Nigahe Ulafat He
Hasin Chalo Se Dil Paayamaal Karate Hai
Najar Se Karate He Bate Kamaal Karate Hai
Har Ek Bat Me Matalab Hazar Hote Hai
Ye Sidhe Sade Bade Hoshiyaar Hote Hai
Kuda Bachaye Hasino Ki Tez Chalo Se
Pade Kisika Bhi Pala Na Husn Valo Se
Husn Valo Me Mohabbat Ki Kami Hoti He
Chahane Valo Ki Takadeer Buri Hoti He
Unaki Bato Me Banavat Hi Banavat Dekhi
Sharm Aankho Me Nigaho Me Lagavat Dekhi
Aag Pahale To Mohabbat Ki Laga Dete Hai
Apane Rukhsaar Ka Deevana Bana Dete Hai
Dosti Kar Ke Fir Anzaan Najar Aate Hai
Sach To Ye He Ki Be-Imaan Nahar Aate Hai
Moute Kam Nahi Duniya Me Mohabbat Inaki
Jindagi Barabad Hoti He Badolat Iunaki
Din Baharo Ke  Gujarate He Magar Mar Mar Ke
Loot Gaye Hum To Hasino Pe Bharosa Kar Kar Ke

 0 People liked it
0 Ratings


Ishq ke charche bahut hain,
Husn ke parche bahut hain,
Hum ne bhi dekh liya ishq karke,
Par kambakht ishq main kharche bahut hain.

 0 People liked it
0 Ratings


Yun hairani se na dekh bigri surat ko
Main bhi kabhi mahfil ki shan hua karta tha
Bat sirf aapki nahi jo gam na karu
Har dil ka kabhi mehman hua karta tha
Afsurda chehra se ab log kyon na katraye
Muskan hi meri pahle pahchan hua karti thi
Mere gulshan ko khija kar diya jisne wahi
Chaman kabhi mera bagwan hua karta tha
Ab bhi mujhe yad hai judai ke din
Didar hi dildar ki jan hua karti thi
Khanjar laye hai wah aastin main chhupakar
Jan meri jinke liye arman hua karti thi
Marte hain wo bhi pathar mere diwanepan pe
Jiske liye gamkhor kabhi eman hua karta tha..

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 711 - 720 of 3592, Page 72 of 360 pages.