Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 731 - 740 of 3592, Page 74 of 360 pages.


Apna Ehsas mar na jaye kahin
Dard had se Guzar na jaye kahin
Un ko dekhey hoye hoi Sadyan
Un ka Chehra bikhar na jaye kahin
Ab k Awaz doon to aa jana
Dil Deewana Sudhar na jaye kahin
Un ka Wada to hai magar Dil ko
Dar hai k kafir mukar na jaye kahin
Dard, Jugnoo, Hawa, Giley Shikwey
Yeh Mukaddar Sanwar na jaye kahin
Meri Dunya hai Dard ki Surat
Gul ki Surat Nikhar na jaye kahin
Khak se Aab tak to aa pohnchey
Ab yeh Darya Utar na jaye kahin
Yeh Mohabbat b ek Bala theri
Hum ko Dar hai wo Darr na jaye kahin
Is liye Muskuraye phirta hoon
Un ki Aankh b na bhar jaye kahin
Dil se guzra to hai magar Saqi
Apni Jaan se guzar na jaye kahin

 0 People liked it
0 Ratings


Wo meri tanhai main
Wo mere veerano main
Tooti meri umeedon main
Ujardte afsaano main
Bikharti saason ki dor main
Un bheegi palkon ke mausom main
Un sookhe hothon ki jalan main
Un toote sapno ki chubhan main
Us dard main, us pyaas main
Us dafni hui aas main
San’naaete main gum sadaon ki tarah
Bina bares door hoti ghataon ki tarah
Tumhe yaad karoon jab ki bhool paata nahin,
Aakhen kya khulengi jab ki ye khawab ab jaata nahin..
Aakhen kya khulengi jab ki ye khawab ab jaata nahin..

 0 People liked it
0 Ratings


Hayat-o-Hurmat,Maher-o-Wafa ki Shaan hai Aaurat,
Shabaab-o-Husn,Andaaz-o-Ada ki Jaan hai Aaurat,
Hijaab-o-Asmat-o-Sharm-o-Haya ki Kaan hai Aaurat,
jo Dekho Ghaour se har Mard ka Eimaan hai Aaurat,
Agar Aaurat na Aati Kul Jahan Matam Kadah hota,
Agar Aaurat na hoti har Makaan ek Gham Kadh hot hota,
Jahan mein ek Sache Mard ki Taqdeer hai Aaurat,
Tilism Aalam Bala ki ek Akseer hai Aurat,
Ye Kudrat mein ek Chalti hui Shamsheer hai Aaurat,
Zameen par Fitrat-e-Masoom ki Tasveer hai Aaurat,
Jahan mein karti hai Shaahi magar Lashkar nahin rakhti,
Diloun ko karti hai Zakhmi magar Khanjar nahin rakhti,
kahin Masoom Tifli is ke Naghmoun se Bahlti hai,
kahin Be-Khud-o-Jawani is ke Nosh-e-Lab se Phalti hai,
Kahin Majboor Peeri iski Batoun se Sanbhalti hai,
Kahin Aaraam se Jaan iske Qhadmoun par Nikalti hai,
Nahin hai Kibruyaai Laikin wo Shaan-e-Kibryaai hai,
Hamari Saari Umar par iski Khudai hai,
Ussi ki Buu hai Duniya ke Lahekte Ghancha Zaroun mein,
Ussi ka Rang Gulshan ki Mahekti Nau Baharoun mein,
Ussi ke Naghme Jannat ke Machlte Aabsharoun mein,
Ussi ka Noor Khudrat ke Bahaarein Jalwa Zaroun mein,
Bahaar Afreenash hai Shabaab-e-Zindagani hai,
Jawan Fitrat ka ek Khoya Hua Khuwaab-e-Jawani hai,
Wo Rooti hai to Saari Kaynaat Aansu Bhati hai,
WO Hansti hai to Fitrat Be-Kudi se Muskurati hai,
Wo Sooti hai to Saatoun Aasman ko Nieend Aati hai,
Wo Uthti hai to Kul Khuwabidah Duniya ko Uthati hai,
Wohi Arman Hasti Wohi Eimaan Jaheti Hai,
Badan kahey agar Hasti ko to Wo Jaan-e-Hasti hai,
Wo Caahe to Jalwe de Naqal Zaar Hukmraani ko,
Wo Caahe to Badal de Rang-e-Bazam-e-Aasmani ko,
Wo Caahe to Uulat de Pardah Duniya-e-Fani ko,
Wo Caahe Mitta de Josh-e-Baher Zindagani ko,
Wo Kahde to Bahaar-e-Jalwa Mitt Jaye Nazaroun se,
Wo Kahde to Libaas-e-Noor Chin jaye Sitaroun se.

 0 People liked it
0 Ratings


Main Ta Labhya Bathera Na Sahara Milya
Reha Dukh Main Sunauda Na Hungara Milya
Kise Apna Bna, Nai Seene Nal Laya
Unj Bhave Eh Jag Menu Sara Milya
Ohde Jaan Picho ”Pal” Bdi Kiti Ae Talaash
Na Koi Ohde Jiha Sajjan Menu Dubara Milya
Kuch Saal Pichon Ohnu Apni Galti Da Ehsaas Ho Javega
Tad Tak Shayad Jism Mera Eh Laash Ho Javega.

 0 People liked it
0 Ratings


Ajib hoti ye chandni raate
jab do pyar karne wale hote hai santh me
to sari jagah ye khusiyu ki chandni bhikherti hai
chand aur chandni ke santh santh hone ki kahani
sunati hai , ajib hoti ye chandni raate
jab apka meet hota hai apse dur
tab bhi ye do dilo ko jodhti hai
ye batati hai ki kitne dur hai chand aur chandni
phir bhi dono santh santh hai
ajib hoti ye chandni raate.

 0 People liked it
0 Ratings


Ishq ka baaki imtihaan aaj bhi hai
dil par tera nishaan aaj bhi hai
tum toh bhool gaye jaake nai duniya me
tere liye koi preshaan aaj bhi hai
log bhoole hai jala tha kisi ka ghar yaha par
magar khandhar ka nishaan aaj bhi hai
jamane ka kya bigda jo lut gaya kisi ka jahan
jamana toh mutmaaeen aaj bhi hai
nibhaya hai tumne khoob wafa ka vaada
meri peeth pe khanzar ka nishaan aaj bhi hai
banaya tha jo tumne hamari kabr-e-ishq pe
wo mehel aalishaan aaj bhi hai
tumne jaani me apne, na kasar kuch rakkha
fir kyu atki hui meri jaan aaj bhi hai
tum toh kehte the k tum bhool gaye ho ranzish
fir kyu meri maut ka saamaan aaj bhi hai..

 0 People liked it
0 Ratings


kabhi palkon pe kabhi hothon pe tu aa jaye
mere dil me ek hulchul si macha jaye
palkon ki kaiad se jab chhute tu
mere rukhsaron pe jalte laawe sa asar dikhaye
fir ek pal me jab teri baatein yaad aaye
tu mere hothon pe yun chaa jaye
jaise tabassum ki ek buund aasmaan se tapak jaye
ab ye haalat hai mari k na keh sakun na reh sakun
haal-e-dil bayan na kiya jaye to main kya karun
tu ek pal ko bhi mujhse juda hota nahin
fir bhi tujhe na chhua jaye to main kya karun
tu hi bata meri zindagi aaj raaz gehra ye
uske bin tu bhi na bhaaye to main kya karun.!!!

 0 People liked it
0 Ratings


Dil jalane se uski yaden to nahi jalti,
Na chahte hue bhi humne bhi kardi ek galti.
Duniya kahti hai pyar karna koi jurm nahi,
To hame pyar karta dekh vo kyon hai jalti.
Ehsan kiya usne mujhe pyar sikhakar,
Hoti hai kya chahat ye mujhe samjhakar.
Kurbani hai pyar ka asli matlab,
Chhod diya bas sath mera itna batakar.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 731 - 740 of 3592, Page 74 of 360 pages.