Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 841 - 850 of 3592, Page 85 of 360 pages.


Zindagi ke kuch lamhe yaadgar hote hain,
Yadoon mein kuch log khass hote hain,
Yu to woh door hote hain nazaron se,
Par unke ehsaas dil ke paas hote hain..

 0 People liked it
0 Ratings


Dil-e-dastan chupaey kaise jay ye bechaine bataye kis-se jay
Har lamhon mein khoja hai use par ye sachai bataye kis-se jay.

 0 People liked it
0 Ratings


Tum Kahty Ho
Main Tumahra Jeewaan Hoon
Tumhari Baat Bajja Hai
Lakin Sajna
Itna Bata Doo
Tumhare Jeewan Main
Main Kahan Hoon??

 0 People liked it
0 Ratings


gamo ke khaak sey chan kar aati hai awaaj teri
sadion sey basi hai es dil mei yaad teri
na jaane kyon kabhi mur kar na dekha tumne
kyon khushnuma dino ko yaad na kiya tumne
wo tera milna, tera hansna, ruk ruk kar wo batiyaana tera
aur phir baaton baaton mei tunak jaana tera
aaj bhi satata hai humhe wo palat kar laut aana tera
aankho mei liye aansoo, daaman mei chup jaana tera
socha tha zindagi tere bina bhi hans kar gujar jaayegee
itni bari duniya mei humhe koi aur khushi mil jaayegee
aaj phir laut kar aaye hain usi chaurahe per, ki ab aur gamo ko hum sah
nahi paate
dete hain tumhe awaaj, chale aao ek baar, tere bina ab hum jee nahi paate..

 0 People liked it
0 Ratings


Ek pal mein wo has dete hai.
Duje hi pal mein khafa ho jaate hai.
Khatti-Meethi Nok Jhok se.
Hum ek duje ka dil behlate hai.
Kya iska hi naam Pyaar hai?
Unke saath yeh duniyaa bhari si lagti.
Unke bina ajeeb sa sunapan hai.
Durr sahi unka saath muje hai mehsoos hota.
Baat na hone se Virana hai..
Kya iska hi naam Pyaar hai?
Pal pal muje wo hai satate.
Muje hi yaad karte hai har pal..
Fir bhi hai kyu inta itraate.
Kabhi khushi ka to kabhi gum ka khumaar hai.
Kya iska hi naam Pyaar hai?
Pyaar hum dono ek duje se karte.
Ladai ke mamle mein bhi aage hai rehte..
Pyaar bhi ladai bhi hai.
Nazdikiyaan – Tanhai bhi hai..
Kya iska hi naam Pyaar hai?
Ek duje ke bina ek pal bhi na reh paate..
Fir bhi ladne ke baad dono hai itraate..
Ek duje ki galti mauf karna hai humne seekha
Haan isika naam to pyaar hai.

 0 People liked it
0 Ratings


Ankhey to pyar me dil ki zuban hoti he ,
Sachi chahat to sada bezuban hoti he ,
pyar me dard bhi miley to kya ghabrana ,
suna he dard se chahat aur jawa hoti he
Jane Kya soch kar lahre sahil se ,
Takra ke laut jati he ,
Samajh me nahi aata vo kinare se bewafai karti he ,
ya laut kar samundar se wafa nibhati he.
Mere Haathon Se Gir Gai Lakire Kahi ,
Bhool Aaye Hum Aapni Takdirey kahi ,
Agar Mile Tumko Kahi Too Utha Lena ,
Mere Hissey Ki Har Khushi Aapne Haathon Pe Saja Lena..
Pyase Ko Ek Katra Pani Kafi He ,
Ishq Me Chaar Pal Ki Zindagi Kafi He ,
Dubne Ko Samandar Me Jaye Kaha ,
Aapki AankhoN Se Tapka Vo Pani Kafi He..

 0 People liked it
0 Ratings


dil kaa kyaa hai vo to chaahegaa musal_sal milnaa
vo sitam_gar bhii magar soche kisii pal milnaa
vaaN nahiin vaqt to ham bhii hain adiim-ul-fursat
us se kyaa kahiye jo har roz kahe,,, kal milnaa
————————————————
dil ko us raah pe chalna hi nahi
jo mujhe tujh se juda karti hai
zindagi meri thee lekin ab to
tere kehne mai raha karti hai
————————————————-
ujre hue loagon se gurezaan na hua kar
haalaat ki qabron pe ye qatbe bhi parha kar.
har waqt ka hansna tujhe barbaad na kar de
tanhaaee ke lamhon mai kabhi ro bhi liya kar,
ae dil tujhe dushman ki bhi pehchan kahan hai.
too halqa e yaaran mai bhi mohtaat raha kar.
us shakhs ke tum se bhi marasim hain to hoonge
woh jhoot na bole ga mere saamne aa kar.
ab thookre khaye ga kahan ae game ahbaab
main to kaha tha mere dil mai hi raha kar.
is shab ke muqaddar main seher hi nahi Mohsin
dekha hai kayee baar chiragon ko bujha kar
———————————————
na vo aankh hi teri aankh thee
na vo khuaab hi tera khuaab tha
dil e muntazir to yeh kis liye
tera jaagna usse bhool jaa
———————————————
INKISHAAF
na vaada hai koi tum se koi rishta nibhane ka
na koi aur hi dil mai tahayya ya iraada hai
kaii din se magar dil mai
ajab uljhan si rehti hai
ni tum is daastan k sarsari kirdaar ho koi
na kissa itna saada hai
taaluk jo mai samjha tha
kaheen us se ziyada hai
———————————————–
zehar aalood sahi lab pe tabbasum to saja
kuch bicharne k bhi aadaab hua karte hain
——————————————-
jala vo aag mohabbat ki mere seene mai
khayyal gair ka aaye to khaak ho jaaye
——————————————–
khulaa yeh aaj k hum aag hain jahanam ki
charragh hote to shub bhar main jal gaye hote
———————————————-
na koi gham hai na taqdeer mai judaaye hai
hamare pyaar ki sadion se aashnaaye hai
meri nazar mai azal se qayaam hai tera
LIKHA HUA MERE CHEHRE PE NAAM HIA TERA
_________________
har aik shab meri taaza azaab mai guzri
tumhaare baad tumhaare hi khwab mai guzri
mai aik phool hoon too mujh ko rakh k bhool gaya
tamam umr tumhari kitaab mai guzri
_________________
aarazuu hai vafaa kare koi
jii na chaahe to kyaa kare koi
tum saraapaa ho suurat-e-tasveer
tum se phir baat kyaa kare koi
———————
suu-e-maikadaa na jaate to kuchh aur baat hotii
wo nigaah se pilaate to kuchh aur baat hotii
go havaa-e-gulasitaaN ne mere dil kii laaj rakh lii
wo naqaab Khud uThaate to kuchh aur baat hotii
ye bajaa kalii ne khil kar kiyaa gulasitaaN muattar
magar aap muskuraate to kuchh aur baat hotii
ye khule khule se gesuu, inhen laakh tuu saNwaare
mere haath se saNwarate, to kuchh aur baat hotii
go haram ke raaste se vo pahuNch gaye Khudaa tak
terii raahaguzar se jaate to kuchh aur baat hotii
_________________
sulook nishtaron jaisa na kijye hum se.
hamesha aap ko hum ne Gulaab likha hai
_________________
haal-e-dil main ne jo duniyaa ko sunanaa chahaa
mujh ko har shaKhs ne dil apnaa dikhanaa chahaa
apanii tasviir banaane ke liye duniyaa mein
main ne har rang pe ik rang charhanaa chahaa
Khaak-e-dil jauhar-e-aainaa ke kaam aa hii gaee
laakh duniyaa ne nigaahon se giranaa chahaa
sholaa-e-barq se gulashan ko bachaane ke liye
main ne har aag ko siine mein chhupanaa chahaa
apne aibon ko chhupaane ke liye duniyaa mein
main ne har shaKhs pe ilzaam laganaa chahaa
Gairat-e-mauj use phenk gaee saahil par
Doobne vaale ne jab shor machanaa chahaa
_________________
tere siva nahi jachta koi nigahoon mai
jo to kahe to bikhar jaaon teri raahon mai
nazar kaneez teri dil ghulaam hai tera
likha hua mere chehre pe naam hai tera.,
———————–
jaan-e-afasaanaa yahii kuchh bhii ho afasaane kaa naam
zindagii hai dil kii dharakan tez ho jaane kaa naam
qataraa qataraa zindagii ke zahar kaa piinaa hai Gam
aur Khushii hai do gharii pii kar bahak jaane kaa naam
intazaar-e-fasl-e-gul mein kho chuke aaNkhon ka nuur
aur bahaar-e-baaG letii hi nahin aane kaa naam
taab-e-naakaamii nahiin to aarzuu karataa hai kyaa
aarazuu hai mauj ke saahil se Takraane kaa naam

 0 People liked it
0 Ratings


Tumse doori ka ehsaas sataane lagaa,
Tere saath guzaraa har lamha yaad aane laga,
Jab bhi tujhe bhoolne ki koshish ki aye dost,
Tu dil ke aur bhi kareeb aane laga !!!

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 841 - 850 of 3592, Page 85 of 360 pages.