Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 851 - 860 of 3592, Page 86 of 360 pages.


Unko Yeh Shikayat Hai.
Main bewafai par nahi likhta.
Aur mai sochta hoon ki mai
Unki ruswai par nahi likhta.
Khud Apne se zyada bura,
Is Zamane mai kaun hai.
MaiN isliye doosron ki burai par nahi likhta.
Kuch to aadat se majboor hai
Aur kuch fitraton ki pasand hai
Zakham kitne bhi gahre ho
Main unki duhai par nahi likhta
Duniya ka kiya hai,
Har haal mai ilzaam lagati hai.
Varna kiya baat ki
Mai apni safai par nahi likhta
Shan-e-Amiron par karuon kuch arz,
Magar ek rukawat hai Mere usool ke,
Main gunahon ki kamai par nahi likhta
Uski taqat ka nasha ,
mantra aur kalme” mai barabar hai.
Mere dosto,
Main mazhab ki ladai par nahi likhta.
samundar ko parkhne ka,
Mera nazariya hi alag hai yaaro.
Mizazon par likhta hoon,
Main uski gahrai par nahi likhta.
Paraye dard ko mai gazlon mai,
Mahsoos karta hoon.
Yeh sach hai mai ,
sazar se fal” ki judai par nahi likhta.
Tazurba teri muhabbat ka,
Na likhne ki bajah bas ye hai..
Ki Shayar ishq mai,
Khud apni tabahi par nahi likhta

 0 People liked it
0 Ratings


Kuch door hamare saath chalo
Hum dil ki kahani kehdein ge
Samjhe na tum jisse aankhon se
Woh baat zubaani kehdein ge
Jo pyar karein ge jaanein ge
Har baat hamari maanein ge
Jo jaley na hon khudh ulfat mein
Woh aag ko paani kehdein ge
Jab pyaas jawan ho jaye gi
Ehsaas ki manzil paye gi
Khamosh rahein ge aur tumhein
Hum apni kahani kehdein ge
Is dil mein zara tum baitho to
Kuch haal hamara poocho to
Hum sada dil hain “Ashk” mager
Har baat poorani kehdein ge

 0 People liked it
0 Ratings


Poocho na us kaagaz se jis pe hum dil ke bayaan likhte hain,
Tanhayi mein beeti baatein tamam likhte hain,
Wo kalam bhi deewani ho gayi.
Jis se hum aapka naam likhte hain!

 0 People liked it
0 Ratings

From Diljale Movie
Ek Pal Mein Jo Aakar Gujar Jaaye
Yeh Hawa Ka Woh Jhoka Hai
Aur Kuch Nahi
Pyar Kahti Hai Duniya Jise,Ek Rangeen Dhokha Hai
Aur Kuch Nahi
Aarzoo Jhooth Hai,
Aarzoo Ka Fareb Khana Nahi ..
Khush Jo Rahna Ho Zindagi Me Tumhe
Dil Kabhi Kisi Se Lagana Nahi.
Kyuon Banati Ho Tum Ret Ke Mahal,
Jise Khud Hi Tod Dalogi Tum
Aaj Kehti Ho Is Dijlale Se Pyar Hai Tumhe,
Kal To Mera Naam Tak Bhul Jayogi Tum

 0 People liked it
0 Ratings


helloo everyone ..
here is another one ..
MADHUvan mein baithi RADHA
kar rahi intezaar hain
haan aaj bhi use pyar hain
pa na saki use to kya
MEERA aaj bhi bekraar hain
haan use bhi pyar hain
amber saath hain
dharti paas hain
milan hain nahi
kya yehi pyar hain
.haan SAYAD yehi pyar hain.

 0 People liked it
0 Ratings

Koi Deewana Kehta Hai Koi Pagal Samajhta Hai
Magar Dharti Ki Bechani Ko Bus Badal Samajhta Hai
Mein Tujhse Door Kaisa Hoon, Tu Mujhse Door Kaisi Hai
Ye Tera Dil Samajhta Hai Ya Mera Dil Samajhta Hai
K Mohhabat Ek Ehsason Ki Pavan Si Kahani Hai
Kabhi Kabira Deewana Tha Kabhi Meera Deewani Hai
Yahan Sab Log Kehte Hain Meri Aakhon Mein Aansu Hai
Jo Tu Samjhe To Moti Hai Jo Na Samjhe To Pani Hai
Samander Peer Ka Aander Hai Lekin Ro Nahi Sakta
Ye Aansu Pyar Ka Moti Hai Isko Kho Nahi Sakta
Meri Chahata Ko Dulhan Tu Bana Lena Magar Sun Le
Jo Mera Ho Nahi Paya Wo Tera Ho Nahi Sakta
Bharar Koi Kumudani Par Machal Baitha To Hungama
Hamare Dil Mein Koi Khawab Pal Baitha To Hungama
Aabhi Tak Doob Kar Sunte The Sab Kissa Mohhabat Ka
Mein Kisse Ko Hakikat Mein Badal Baitha To Hungama

 1 People liked it
0 Ratings


Yoon to har dil mein ek kashish hoti hai
Har kashish mein ek khwahish hoti hai
Mumkin nahi sabhi ke liye Taj Mahal banana
Lekin har dil mein ek Mumtaaz hoti hai

 0 People liked it
0 Ratings


Jise chahna or use paana vo aham hai,
Jise chaaha nahi use pana vo samjota hai,
Jise chaha hai use paane ki eschha rakhana vo ummid hai,
Jise chaha use naa pana takdir hai
Jise hum chahate hai magar vo hamare ho nahi sakta ye
malum hai Phir bhi use paane ki chah rakhana yahi chhahat hai ..
yahi sacchha pyar hai..

 1 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 851 - 860 of 3592, Page 86 of 360 pages.