Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 861 - 870 of 3592, Page 87 of 360 pages.


.Suno Acha Nahi Lagta
Kay Koi Doosra Daikhay
Tumhari Sharbati Aankhain
Lab-o-Rukhsaar Aur Palkain
Siyah Lambi Ghanee Zulfain
Sarahay Doosra Koi
Mujhay Acha Nahi Lagta ..!
Suno Acha Nahi Lagta
Karay Jab Tazkara Koi
Karay Jab Tabsara Koi
Tumhari Zaat Ko Khoojay
Tumhari Baat Ko Soochay
Mujhay Acha Nahi Lagta ..!
Suno Acha Nahi Lagta
Tumhari Muskurahat Per
Hazaroon Loag Martay Hoon
Tumhari Aik Aahat Par
Hazaroon Dil Dharaktay Hoon
Kise Ka Tum Pe Yuun Marna
Mujhay Acha Nahi Lagta ..!
Suno Acha Nahi Lagta
Hawa Guzray Tumhain Choo Kar
Na Hoga Zabt Yeh Mujh say
Karayy Koi Tumsay Gustakhi
Tumhari Zulfain Bikhar Ja-ain
Tumharay Lams Pee Ja-ain
Mujhay Acha Nahi Lagta..!
Suno Acha Nahi Lagta
Kay Tum Ko Phool Bhi Dakhain
Tumharay Paas Say Mehkain
Ya Chanda Ki Guzarish Hoo
Kay Apni Roshni Bakhshoon
Rukh-e-Jana Koi Daikhay
Suno Acha Nahin Lagta
Mujhay Acha Nah

 0 People liked it
0 Ratings


With due respect to Jagjit Singh saheb, who has sung this original
ghazal and with due respect to the Shayar who penned it.
Tera sms jab mobile pe aata nahi tha,
Mera mobile suna tha par itna nahi tha.
Email bhej kar hi main karta tha baatein,
Mobile pe incoming outgoing free nahi tha.
Mobile ne mujhe disconnected hi rakha
Jab yahoo pe tha disconnected nahi tha.
Sms send receive karne ke khel main
Mobile ka bill high hoga yeh socha nahi tha.
Suna hai band kar diya usne mobile apna,
uske mobile pe koi call karta nahi tha.
Subodh Gupta
I have learned, Joy is not in things, it is in us.

 0 People liked it
0 Ratings


Main Shareer Tu Hai Ruh Meri,
Tere Begair Mera Mol Kiya.
Tu Nahi To Jal Ke Raakh Ho Jaounga,
Ya Dafan Ho Jaounga Aur Kya

 0 People liked it
0 Ratings


Yaad Karti Hoon Tumhe Yaad Aati Hi Nahi
Kaise Aaye Woh Cheez Jo Jati Hi Nahi
Tum Mujhe Bhool Bhi Jao Toh Ye Haq Hai Tum Ko
Meri Baat Aur Hai Mein Ne Toh Mohabbat ki Hai
Judai Ka Pata Hota Agar Mohabbat Se Pehle
Toh Mout Ki Dua Maangte Hum Deedaar Se Pehle
Rote Hain Hum Jinko Bhulane Keliye
Wahi Aajate Hain Hume Rulane Keliye
Maziloun Pe Aake Lut Te Hain Mohabbat Ke Kaarwan
Kashtiyan Saahil pe Aake Doobti Hain Mohabbat Ki.

 0 People liked it
0 Ratings


Fiza mein mehekti shaam ho tum,
Pyaar mein chalakata jaam ho tum,
Tumhe dil mein chupaye phirte hai,
Ae dost meri zindgi ka dusra naam ho tum.

 0 People liked it
0 Ratings


sahar dar sahar main bhatakta raha
tere kadmo ke nissan doondta raha
jaane tu kaha chupi thi “Nirmal”
mera karwa yu hi chalta raha
aur tu hain ki mujh ko milti nahin
dil ki hasrate kabhi khilti nahin
manjile meri aur bhi thi magar
main tere kadmo ke nissan doondta raha
sahar dar sahar main bhatakta raha

 0 People liked it
0 Ratings


Neele neele amber par
Chaand jab aye pyaar barsaye
Hum ko tarsaye
asa koy sathi ho asa koy premi ho
Piyaas dil ki bujha jaye
Unche unche parbat
Jab chumte hain amber ko
Piyasa piyasa amber
Jab chumta hay sagar ko
Pyaar se kasne ko
Bahoon main basne ko
Dil mera lalchaye
Koy to a jaye
Asa koy sathi ho asa koy premi ho
Piyaas dil ki bujha jaye
Thande thande jhonke
Jab baloon ko sehlayeen
Tapti tapti kirneen
Jab galoon ko chu jayeen
Sanson ki garmi ko
Hathon ki narmi ko
Mera man tarsaye
Koy to chu jaye
Asa koy sathi ho asa koy premi ho
Piyaas dil ki bujha jaye
Cham cham karta sawan
Bundon k baan chalaye
Satrangi barsaton main
Jab tan man bhiga jaye
Pyaar main nahane ko
Duub hi jane ko
Dil mera tarpaye
Khuwab jaga jaye
Asa koy sathi ho asa koy premi ho
Piyaas dil ki bujha jaye
Neele neele amber par

 0 People liked it
0 Ratings


ye umar dheerey dherey ab dhalne lagi hain.
gham ki andhiyaan bhi chalne lagi hain.
tu to naraaj hoke na jaane kahaan chala gaya .
intjaar mein khawahishein meri marne lagi hain.
pyaasa hai dil aaj bhi tu samjhta kyun nahi.
ke aaja abto ye baahein thakne lagi hain.
dekhe tujhe abto ek arsa beet gaya..
is nigaahon ki aarju or badhne lagi hain.
kar chuka hai qatal mujhe to tu kabka.
mere saath kitni maiyatein jalne lagi hain.
pata hai tujhe hai gumaan apne pyaar par.
abto tere bin meri raatein katne lagi hain..
ho chuki inteha ab to laut aa jaalim..
ke aaja abto meri saanse thamne lagi hain...

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 861 - 870 of 3592, Page 87 of 360 pages.