Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 881 - 890 of 3592, Page 89 of 360 pages.


Woh na aaye unki yaad wafaan kar gayi
unki aane ki ummeed jindagi tabaah kar gayi
ahaat huie to laga ki woh aaye hai dekha
to mazaak humse hawaan kar gayi .

 0 People liked it
0 Ratings


Tumhaara naam kuch aise mere hoonthoon pe khilta hai
Andherii raat mein jaise
Achaanak chaand baadal ke kisi kone se jhaankta hai
Aur saare manzaroon mein jaise roshnii sii phail jaati hai
Aur jaise larazti auus ke qatre pehan ke muskuraati hai
To khushboo baagh ki deewaar se rooke nahin rukti
Ussi khushboo ke dhaage se mera har chaak silta hai
Tumhaare naam ka taara meri saansoon mein saansoon mein khilta hai
Tumhein jab dekhta hoon jab safar ki shaam se pehle
Kisi uljhi hoi gumnaam si jinta ke jaadoo mein
Kisi soche joe benaam lamhe ki khushboo mein
Kisi mausam ke daman mein kisi khvaahish ke pehlo mein
To iss khushrang manzar mein tumhaarii yaad ka rasta
Najaane kis taraf phuut-ta hai
Aur phir aise mein mere hamraah chalta hai
Ke aankhoon mein sitaaaroon ki guzar-gaahein si banti hain
Dhanak ki kehkashaaein sii
Tumhaare naam ke in khusnuma lafzoon mein dhalti hain
Ke jin ke lams se hoonthoon pe jugno raqs karte hain
Tumhaare khvaab ka rista meri niindoon se milta hai
To dil abaad hota hai
Mera har chaak silta hai
Tumhaare naam ka taara meri raatoon mein khilta hai

 0 People liked it
0 Ratings


Jo kal tha usa bhula kar dekho,
Jo aaj hai usa jeekar dekho,
Aane wala pal khud hi sawar
Jaayaga zara iss zindagi se
Dosti karke to dek ho
Dilon ki daastan use kahan kubool the,
Meri wafayein uske liye fizool the,
Koi aas nahi lekin itna bata do,
Maine Chahe thi use kya ye meri bhool thi?
Majburi kya thi unhone bataye to hoti,
Judai ki baat yun sunayi na hoti,
Apne khabar ki Mitti b de dete unhe,
Kash wo mere maut ki khwahis jataye to hoti
Mohabbat meri unko bekara karegi,
Har dhadkan unke hi intezar karegi,
Humne to unse aisi mohabbat ki hai,
Ki bewafai bhi 100 baar soch ke vaar karega
Is dil me uske liye itna pyar rahega,
Ke waqt bhi uska gawah rahega,
Uska pyar shayad kisi aur k naseeb me ho,
Uski yaadon ka haqdar rahega
Zara si bhool khata ban gayi,
Wafayein bhi ab saza ban gayi,
Dil liye khela aur tod diya,
Meri jaan chali gayi aur unki ada ban gayi
Khush hain wo hame yaad na karke,
Hans rahe hain wo hame ruswa karke,
Ye hansi unke honto se kabhi na jaye,
Khuda kare wo hamari MAUT Par Bhi Muskuraye

 0 People liked it
0 Ratings


(Dard Mein Bhi Yeh Lab Muskura Jaate Hai
Beete Lamhein Hamein Jab Bhi Yaad Aate Hai) – 2
Beete Lamhein.
Chand Lamhaaat Ke Waaste Hi Sahi
Muskuraakar Mili Thi Mujhe Jindagi
Teri Aaghosh Mein Din The Mere Kate
Teri Baahon Mein Thi Meri Raate Kati
Aaj Bhi Jab Woh Pal Mujhko Yaad Aate Hai
Dil Se Saare Gamon Ko Bhula Jaate Hai
(dard Mein Bhi Yeh Lab Muskura Jaate Hai
Beete Lamhein Hamein Jab Bhi Yaad Aate Hai) – 2
Beete Lamhein.
(mere Kaandhe Pe Sir Ko Jhukaana Tera
Mere Sine Mein Khud Ko Chhupaana Tera) – 2
Aake Meri Panaahon Mein Shaamo Sehar
Kaanch Ki Tarah Woh Toot Jaana Tera
Aaj Bhi Jab Woh Manjar Nazar Aate Hai
Dil Ki Viraaniyo Ko Mita Jaate Hai
(dard Mein Bhi Yeh Lab Muskura Jaate Hai
Beete Lamhein Hamein Jab Bhi Yaad Aate Hai) – 2
Dard Mein.. Beete Lamhein

 0 People liked it
0 Ratings


Gham Ke Bina Zindagi Adhoori Hai
Ae Musafir Phir Bhee Tera Jeena Zarori Hai
Mat Ho Apni Zindigai Se Khafa
Kyon Ki Teri Zindagi Ke Bina
Ek Aour Zindagi Adhoori Hai!!!!.

 0 People liked it
0 Ratings


Jab dekha unhone tirchhi nazar se,
to hum madhosh ho gaye,
Par jab pata chala ki nazare hi tirchhi hai,
to hum behosh ho gaye…
—————————————-
Ab Jab ghire Baadal, Teri Yaad aayi
Jhoom ke barsa Saawan, Teri Yaad aayi
Bheega main, lekin phir bhi teri Yaad aayi
Kyon na aaye teri yaad?
Tune jo chatri ab tak nahi lautai…
—————————————-
Lal diwar par chune se likha tha ghalib ne
Lal diwar par chune se likha tha ghalib ne
Yahan likhna mana hai.
—————————————-
Unki gali ke chakkar kaat kaat kar,
Kutte bhi hamare yaar ho gaye,
Wo to hamare ho na sake,
Hum kutton ke sardar ho gaye
—————————————-
Na woh inkaar karti hai
Na woh ikraar karti hai
KAMBAKHT mere hi sapno mein aakar
Mere dost se pyaar karti hai.

 0 People liked it
0 Ratings

Log yahaan wahaan bhatakte hain,
Apna samay nasht kardetein hai,
Vyarth ki baaton mein ulajhkar,
Khoob timepaas kartein hain.
Zaroorat hai aaj samaajh ko badalne ki,
Zindagi mein lage is daag, grahan ko mitaane ki,
Chandra grahan se to bach sakte hain,
Par jeevan ke laksh ko paana ab sapna sa hai!

 0 People liked it
0 Ratings


Tere shaher me rehte hai
Tera mukaam dekhte hai
Tu rahe na kisi muskil me
Zariya-e-intezaam dekhte hai
————######————
Har zarre me tujhe nahi dekhte hai
Har shab me tera gulzaar dekhte hai
Khwahish ne pukara tha mujhe
Mai gaya mujhe angaar dekhte hai
————######————
Manzar-e-kashti chal to rahi hi thi
Par asma ruke ye zabar dekhte hai
Haya apni lay me thi or phool shabnam
Jan-e-raoushan kya sabar dekhte hai.
————######————
Mehfil-e-masumiyat se mulakat huyi.
Jane anjane hi sahi par kuch bat huyi.
Sharafat har ki pani bas pani ho gayi
Nizam me kuch karna shaitani ho gayi.
————######————
Riyaza dost that never dies.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 881 - 890 of 3592, Page 89 of 360 pages.