Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 941 - 950 of 3592, Page 95 of 360 pages.

Jab bhi dill main koi vichar aata hai ,
Mera Dill khamosh hokar rhe jata hai ,
Koi sabh kuch keh kar pyar jattata hai ,
Aur koi kuch na kehkar bhi sabh kuch keh jata hai .

 0 People liked it
0 Ratings


kash hum hamesha dost rehte
kash aap humse kabhi na roothte
kash humsai koi galti na hui hoti
kash aap ko hum mana pate
kash aap maan jate.
kash humari dosti mai yeh fhasla he na hota
or ab kya kahun dost bus khuda sai itni gujaris hai
kash meri jindagi mai “kash” sabdh he na hota.

 0 People liked it
0 Ratings

In Hasiinon ko banaya khuda ne apne haath se,
hami they kambakht jo theko pe banwaye gaye.
Heard from Late Gyani Zail Singh Ji on TV many years back.

 0 People liked it
0 Ratings


Koi To Hota.!!
Mai jis k Dil ki Kitaab banti
Mai jis ki Chahat ka Khuwab banti
Mai Hijar ki lambi Raton mai,
Yaad ban ker, Azab banti
Koi To Hota.!!
Jo Meri Khuwahish mai uth ker,
Raaton ko khoob Rota
Dukhon ki Chaadar lapet ker,
Hajum-e-Dunya se Door reh
Koi To Hota.!!
Mai Rooth jati, Manata to mujh ko,
K chaye Mera Qasoor hota,
Koi To Hota.!!
Mai jis k itne Qareeb hoti,
Na paas koi Raqeeb hota
Mai Tanha us ka Habib hoti,
Ye Silsila b Ajeeb hota
Koi To Hota.!!

 0 People liked it
0 Ratings


Aaj bheegi hain palken uski yaad mein ,
aansu bhi simat gaye apne aap mein,
oos ki boonden bikhri hain zameen par,
mano chandni bhi royi ho uski yaad mein
*****************************************
kabhi palkon pe ansu hain kabhi lab pe shikayat hai,
magar ay zindagi phir bhi mujhe tujh se muhabbat hai,
jo aata hai wo jata hai, ye duniya aani jaani hai,
yahan har shay musafir hai safar mein zindagani hai,
ujalon ki zarorat hai, andheera meri qismat hai,
magar ay zindagi phir bhi mujhe tujh se mohabbat hai,
zara ay zindagi tham le tera dedaar tu kar lon,
kabhi dekha nahi jis ko osay main pyar to kar lon,
abhi se chor k mat ja abhi teri zarorat hai,
magar ay zindagi phir bhi mujhe tujh se muhabbat hai,
koi anjaan sa chehra ubharta hai fizaon mein,
ye kis ahaten jagi meri khamosh rahon mein,
abhi ay mout mat aana mera thikana jannat hai
magar ay zindagi phir bhi mujhe tujh se muhabbat hai

 0 People liked it
0 Ratings


Muddat Se Dil Jis keliye Beqaraar Tha
Woh Lout Ke Naa Aaya Magar Intezar Tha
Jo Humsafar Tha Woh Chod Gaya Rah me Mujhe
Mein Phans Gayi Bhanwar me, Woh Darya Ke Paar Tha
Manzil Qareeb Aayi Toh Tum Durr Hogaye
Itna Toh Tum batao Ki Yeh Kaisa Pyaar hai
Deewar Bandhi Kisne Dono Ke Darmiyaan
Naa Woh Sukoon Se Baithe, Naa Mujh Ko Qaraar Tha
Yeh Baat Umr Bhar Naa Samajh Paayi mein
Kyun Ye Dil Mera Uss Bewafaa Ka Talabgaar Tha..

 0 People liked it
0 Ratings


Intezar Koun kare.
Ishq Ka intezar Koun kare
Toot kar itna Pyaar Koun kare
Ruthe Aise Me Ke Hum Bhi
Minnatein Ab Hazar Koun Kare
Niyamatein Beshumaar Hain Usski
Zoq-E-Sajda Shumaar Koun Kare
Dil Bhi Janat Hai Apni Duniya Me
Hashr Ka intezar Koun Kare
Pyaar Ki Aag Me Hain Parwane
Aisi Takleef Yaar Koun Kare
Faqeer Bhi Shahinsha Hai Duniya Ka
Raham Ab iqtiyar koun kare

 0 People liked it
0 Ratings


Ek khwaab suhana toot gaya
ek jakhm abhi tak baaki hai
jo armaa the sab khaak huye
bus raakh abhi tak baaki hai
Jab udte the parwaze thi
suraj ko choone nikle the
sab pankh hamare jhulas gaye
par chaah abhi tak baaki hai
Parvat se akkhad rehte the
toofano se bhid jaate the
tinko k jaise bikhar gaye
par taav abhi tak baaki hai
Lehro se behte the hardam
deewane the matbaale the
din guzar gaye wo mastaane
par yaad abhi tak baaki hai

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 941 - 950 of 3592, Page 95 of 360 pages.