Intezaar Shayari

Intezaar Shayari - A large collection of Intezaar Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Intezaar Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Intezaar Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Intezaar Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Intezaar Shayari

Showing Intezaar Shayari 81 - 90 of 108, Page 9 of 11 pages.

Sab Apki Ankhon Se Jahan Dekh Raha Hun
Mai Apki Nazron Me Jahan Dekh Raha Hun
Tu Dhoodh Rahi Ho Gi Mujhko Wahan Ao
Aur Mein Kab Se Teri Raah Yahan Dekh Raha Hun

 0 People liked it
0 Ratings

Kisi Ko Dekhne Ki Tamanna Main Ashkbaar Yeh Anakehen
Kisi Ke Aahat Sun Ne Taras Rahe Yeh Kaan
Kisi Ke Mehak Saht Liye Hawa Ka Woh Jhonke Se Surakh Huve Rukhsaar
Kise Ke Intezar Ke Ghadiyan Ginete Huve Muskrahat Sajaye Yeh Lub
Kisi Ke Pyar Ko Mehsoos Ker Ne Bechain Yeh Dil
Kisi Ko Chune Ke Tamanna Liye Bechain Yeh

 0 People liked it
0 Ratings

Ye husn-e-raz muhabbat chupa raha hai koi
hai ashk aankhon mein aur muskura rha hai koi
nazar nazar mein tajalli dikha raha hai koi
nafaz nafaz pe mujhe yaad aa raha hai koi
takhayulat ke dhoke hain sab shab-e-vada
na aa raha hai koi aur na ja raha hai koi
ye husn-o-ishq ke tasvir ke hain do manzar
ki ro raha hai koi muskura raha hai koi
“qadeer” hashr mein pahunche to hum ne kya dekha
kisi ke hath se daman chuda raha hai koi

 0 People liked it
0 Ratings

Tere Intezaar May Choda Duniya Ka Sath,
Tere Intezaar May Choda Apno Ka Sath,
Jb Tujhey Jana Hi Tha Tu Kyu Diya Wado Ka Sath,
Rah Gaya Ab May Bs Apno Gamo K Saath…

 0 People liked it
0 Ratings

Jan-e-sukun aa bhi ja tera hi intazar hai
aankhon se ashk hai ravan jan bhi beqarar hai
hone ko fasl-e-gul bhi hai davat-e-aish hai magar
apni bahar ka mujhe aj bhi intazar hai
sare sahare ishq ke toot chuke hain hijr mein
ek tumhari yaad bas dard ke gam-gusar hai
ahad-e-vafa ka aap ke lutf-o-karam ka aap ke
aur kisi ko ho na ho mujh ko aitabar hai
lut gai gham ke aabaru lut chuki dil ke aarzoo
‘yahya' nigah-e-lutf ka phir bhi ummidvar hai

 0 People liked it
0 Ratings

Aaina kyun na dun ke tamasha kahen jise
aisa kahan se laun ke tujhasa kahen jise
hasarat ne la rakha teri bazm-e-khayal mein
guladasta-e-nigah suveda kahen jise
phunka hai kisane goshe muhabbat mein ae khuda
afasun-e-intazar tamanna kahen jise
sar par hujum-e-dard-e-garibi se daliye
wo ek musht-e-khak ke sahara kahen jise
hai chashm-e-tar mein hasarat-e-didar se nihan
shauq-e-inan gusekhta dariya kahen jise
darakar hai shiguftan-e-gul haye aish ko
subh-e-bahar panba-e-mina kahen jise
“ghalib” bura na man jo vaiz bura kahe
aisa bhi koi hai ke sab acha kahen jise

 0 People liked it
0 Ratings

Sadion Say Jaagi Aankhon Ko Ek Baar Sulanay Aa Jao
Mana K Tum Ko Pyar Nahi Nafrat Hee Jatanay Aa Jao
Jis Mor Pay Hum Ko Chor Gaye Hum Baithay Ab Tak Soch Rahay
Kya Bhool Hui Kyou Juda Huway Bus Yeh Samjhanay Aa Jao
Har Lamha Teri Furqat Mein Hum Tarsay Rahay
Meri Manoo Tum Is Dil Ko Kuch

 0 People liked it
0 Ratings

Ankhon Ko Intezar Ka Hunar De Kar Chala Gaya
Chaha Tha Ek Shaks Ko Jane Kidhar Chala Gaya

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Intezaar Shayari 81 - 90 of 108, Page 9 of 11 pages.