Ishq Shayari

Ishq Shayari - A large collection of Ishq Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Ishq Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Ishq Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Ishq Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Ishq Shayari

Showing Ishq Shayari 121 - 130 of 212, Page 13 of 22 pages.

Saawal Karey Koi Muhabbat Jawaab Rakhta Hoon
Mein Ishq Ki Manzil La Jawaab Rakhtaa Hoon
Koi Meraa Dukh Kis Taraah Jan Sake Ga
Mein Chehrey Pe Hansi Ka Nakaab Rakhtaa Hoon
Ab Is Se Berh Ker Bhi Koi Dukh Kya Hogaa!!
Is K Hijr Ka Jo Mein Azaab Rakhtaa Hoon!
Mein Ussey Bhoolna To Chahoo Per Bhulaoon Kaise
Ussey Yaad Bhi To Mein Behisaab Rakhta Hoon
Duniya Mein Her Gham Se Bara Hai Gam-e-Muhabbat Yaram
Kertey Gai Sab Bewafaai Mein Aisa Naseeb Rakhta Hoon!

 0 People liked it
0 Ratings

Ye bhi kya ehsaan kam hain dekhiye na aap ka
ho raha hai har taraf charcha hamara aap ka
chand mein to daag hai par aap mein wo bhi nahi
chaudhavi ke chand se bad kar hai chehara aap ka
ishq mein aise bhi hum dube hue hain aap ke
apne chehare pe sada hota hain dhoka aap ka
chand suraj dhup subah kahkashan tare shama
har ujale ne churaya hai ujala aap ka

 0 People liked it
0 Ratings

Gul ko mahbub mein qayas kiya
farq nikala bahot jo bas kiya
dil ne hum ko misal-e-aina
ek aalam se ru-shinas kiya
kuch nahi sujhata hamen us bin
shauq ne hum ko be-havas kiya
subah tak shama sar ko dhundhati rahi
kya patange ne iltemas kiya
aise vahashi kahan hain ae khuban
‘meer' ko tum ne abas udas kiya
Poet of the poem/ghazal or Nazam: Meer Taqi Meer

 0 People liked it
0 Ratings

Hai justaju ke khub se hai khubtar kahan
ab dekhiye thaharati hai ja kar nazar kahan
yarab is ikhtilat ka anjam ho bakhair
tha us ko hum se rabt, magar is qadar kahan
ik umr chahiye ke gavara ho naish-e-ishq
rakkhi hai aj lazzat-e-zakhm-e-jigar kahan
hum jis pe mar rahe hain wo hai bat hi kuch aur
aalam mein tujhase lakh sahi tu magar kahan
hoti nahi qubul dua tark-e-ishq ke
dil chahata na ho to zuban mein asar kahan
‘hali' nishat nagma-o-mai dhundhate ho ab
aaye ho waqt-e-subh, rahe raat bhar kahan
 

 0 People liked it
0 Ratings

Shayad main zindagi ke sahar leke aa gaya
qatil ko aj apne hi ghar leke aa gaya
ta-umr dhundhata raha manzil main ishq ke
anjam ye ki gard-e-safar leke aa gaya
nashtar hai mere hath men, kandhon pe maiqada
lo main ilaj-e-dard-e-jigar leke aa gaya
‘fakir' sanamakade mein na aata main lautakar
ik zakhm bhar gaya tha idhar leke aa gaya

 0 People liked it
0 Ratings

Chahat ka ek mitha mitha dard jagane sham dhale
teri yaden aa jati hain mujhako rulane sham dhale
teri zulfen in kandhon par tera chehara hathon mein
main ne bhi dekhe hain kitane khvab suhane sham dhale
har din hum se wada karake yun hi agar tadapaoge
ik din yun hi ho jayenge hum bhi divane sham dhale
din ke ujale mein to mana lun lakh yatan se bahala lun
lekin dil ka pagal panchi ek na mane sham dhale
Poet of the poem/ghazal or nazam : Hasan Imam

 0 People liked it
0 Ratings

Aaj-Kal Mujhe Kuch Aisa Lagne Laga Hai,
Ki Mausam Bhi Ab Kuch Rangeen Lagne Laga Hai,

U To Bahti Hawa Bhi Ab Gaane Lagi Hai
Ghajab Ye Hai Ki ’Sehra’ Bhi Khilne Laga Hai

Mujhe Neend Aati Nahi Ab Magar
Mera Dil To Ab Gaane-Hasne Laga Hai

Kahne Ko Sab Kuch Wahi Ka Wahi Hai
Par Mujhe Har Ik Zarra Naya Lagne Hai

Mehfil Me Jab Ham, Kuch Gumsum Se Baithe
Dosto Ne Bhi Poocha Ki Tujhe Kya Hua Hai

Ab Kya Me Kahta, Or Ab Kya Unki Sunta
Kaise Batau Ki Mujhe Kya Hua Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Ishq Darya He Jiska Sahil Nahi Hota
Har Dil Mohabat K Qabil Nahi Hota
Rota Wo B He Jo Dooba Ishq Main
OR Rota Wo Bhi Hai Jisay Ishq Hasil Nahi Hota

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Ishq Shayari 121 - 130 of 212, Page 13 of 22 pages.