Ishq Shayari

Ishq Shayari - A large collection of Ishq Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Ishq Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Ishq Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Ishq Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Ishq Shayari

Showing Ishq Shayari 191 - 200 of 212, Page 20 of 22 pages.

Ishq Aur Dosti Meri Zindagi Ka Gumaan Hai
Ishq Meri Rooh Dosti Mera Imaan Hai
Ishq Pe Kardu Fida Apni Saari Zindagi
Magar Dosti Par Mera Ishq Bhi Kurbaan Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Chand ke sath kai dard purane nikale
kitane gam the jo tere gam ke bahane nikale
fasl-e gul aayi phir ik bar asiran-e-vafa
apne hi khun ke dariya mein nahane nikale
hijr ki chot ajab sang-shikan hoti hai
dil ke befaiz zaminon se khazane nikale
umr guzari hai shab-e-tar mein aankhen malate
kis ufaq se mera khurshid na jane nikale
ku-e-qatil mein chale jaise shahidon ka julus
khvab yun bhigati aankhon ko sajane nikale
dil ne ik int se tamir kiya taj mahal
tu ne ik bat kahi lakh fasane nikale
dasht-e tanhai-e-hijran mein khada sochata hun
haye kya log mera sath nibhane nikale
main ne ‘amjad' use bevasta dekha hi nahi
wo to khushbu mein bhi aahat ke bahane nikale
Poet of the poem or ghazal or nazam : Amjad Islam Amjad

 0 People liked it
0 Ratings

Cheharaa Meraa Thaa Nigaahen Us Kii
Khaamushii Men Bhii Vo Baaten Us Kii
Mere Chehare Pe Gazal Likhatii Gaiin
Sher Kahatii Huii Aankhen Us Kii
Shokh Lamhon Kaa Pataa Dene Lagiin
Tez Hotii Huii Saansen Us Kii
Aise Mausam Bhii Guzaare Ham Ne
Subahen Jab Apanii Thiin Shaamen Us Kii
Dhyaan Men Us Ke Ye Aalam Thaa Kabhii
Aankh Mahataab Kii Yaaden Us Kii
Faisalaa Mauj-E-Havaa Ne Likkhaa
Aandhiyaan Merii Bahaaren Us Kii
Niind Is Soch Se Tuutii Aksar
Kis Tarah Katatii Hain Raaten Us Kii
Duur Rah Kar Bhii Sadaa Rahatii Hai
Mujh Ko Thaame Hue Baahen Us Kii

 0 People liked it
0 Ratings

Ya rab! gam-e-hijran mein itna to kiya hota
jo hath jigar pe hai wo dast-e-dua hota
ik ishq ka gham aafat aur us pe ye dil aafat
ya gham na diya hota ya dil na diya hota
gairon se kaha tum ne gairon se suna tum ne
kuch hum se kaha hota kuch hum se suna hota
umeed to bandh jati taskin to ho jati
wada na wafa karte wada to kiya hota
nakam-e-tamanna dil is soch mein rehta hai
yun hota to kya hota yun hota to kya hota

 0 People liked it
0 Ratings

Bus Ab Tujhe Hi Chahne Ko Jee Chahta H,
Teri Yaado Me Kho Jaane Ko Jee Chahta H,
Laga Di H Tumne Aisi Ishq Ki Aag,
K Usi Me Jal Jaane Ko Jee Chahta H,
Koi Bhi Kaam Me Ab Dil Lagta Nahi,
Bus Subah Shaam Tumhara Hi Intezaar Karne Ko Jee Chahta H,
Honge Na Hum Kabhi Tujh Se Juda,
Ab To Ye Kasam Khaane Ko Jee Chahta H.

 0 People liked it
0 Ratings

Mere dukh ke koi dawa na karo
mujh ko mujh se abhi juda na karo
nakhuda ko khuda kaha hai to phir
dub jao, khuda khuda na karo
ye sikhaya hai dosti ne hamen
dost banakar kabhi wafa na karo
ishq hai ishq, ye mazak nahi
chand lamhon mein faisala na karo
ashiqi ho ya bandagi ‘fakir'
be-dilli se to ibatida na karo

 0 People liked it
0 Ratings

Tute huye dilon ke dua mere sath hai
duniya teri taraf hai khuda mere sath hai
aavaz ghungharuon ke nahi hai to kya hua
sagar ke tutane ke sada mere sath hai
tanhai kis ko kahate hain mujhko pata nahi
kya jane kis hasin ke dua mere sath hai
paimana samane hai to kuch gham nahi “nizam”
ab dard-e-dil ke koi dawa mere sath hai

 0 People liked it
0 Ratings

Mere Wujood Mein Waffa Ki Roshni Utaar De,
Phir Itna Pyar De K Mujhko Chahaton Mein Maar De.
Buhut Udaas Tha So Uthh K Tere Paas Aagya,
Kuch Aesi Baat Ker Jo Dil Ko Chaen De,Qarar De.
Suna Hai Teri Ek Nazar Sanwarti Hai Zindagi,
Jo Ho Sake To Aj Meri Zindagi Sanwar De.
Ae Mehtaab Tu Kabhi Jo Mera Chaand

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Ishq Shayari 191 - 200 of 212, Page 20 of 22 pages.