Khushboo Shayari

Khushboo Shayari - A large collection of Khushboo Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Khushboo Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Khushboo Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Khushboo Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Khushboo Shayari

Showing Khushboo Shayari 21 - 30 of 29, Page 3 of 3 pages.

Mausam ko isharon se bula q nahi lete
rutha hai agar wo to mana q nahi lete
divana tumhara koi gair nahi hai
machala bhi to sine se laga q nahi lete
khat likh kar kabhi aur kabhi khat ko jalakar
tanhai ko rangin bana q nahi lete
tum jag rahe ho mujh ko acha nahi lagata
chupke se meri neend chura q nahi lete

 0 People liked it
1 Ratings

Khushbu Ki Muskurahat
Har Mulaqat Mein Nagahein Yahi Faryad Karti Hain,
Ke Kisi Pal Palat Kar Dekhne Ko Jee Chahta Hai,
Woh Tou Hamein Dekh Kar Andekha Kar Jati Hai,
Ke Us Ki Nazron Mein Reh Jaane Ko Jee Chahta Hai,
Woh Kya Samjhe Gi Hamari Mohabbat Ko,
Woh Tou Khoyi Hai Kisi Aur Ki Mohabbat Mein,
Ke Us Ki Mohabbat Mein Kho Jaane Ko Jee Chahata Hai,
Teri Khushbu Ne Bohat Rang De Diye Mujhe,
Ke Ab Us Ke Rangon Mein Rang Jaane Ko Jee Chahta Hai,
Ulajh Chuka Hoon Iss Uljhe Hue Waqt Ko Suljhane Mein,
Ke Ab Teri Uljhi Zulfon Ko Suljanhe Ko Jee Chahta Hai,
Fanah Ho Chuke Hain Teri Mohabbat Mein,
Ke Ab Shayari Mein Izhaar Karne Ko Jee Chahta Hai,
Khwahish Hai Aazmane Ki Tou Jaan Hi Mang Lou,
Ke Ab Use Apna Banane Ko Jee Chahta Hai,
Na Kabhi Khatam Kar Sakein Ge Yeh Shayari,
Ke Khushbu Ko Shayari Mein Wapas Lane Ko Jee Chahta Hai?

 0 People liked it
0 Ratings

Wo to khushbu hai hawaon may bikhar jayega
Masala phul ka hai phul kidhar jayega
Ham to samajhe the ke ek zakhm hai bhar jayega
Kya khabar thi ke rag e jan may utar jayega
Wo hawaon ki tarah khanabajan phirata hai
Ek jhonka hai jo ayega guzar jayega
Wo jab ayega to phir us ki rafaqat ke liye
Mausam e gul mere angan may thahar jayega
Akhirash wo bhi kahin ret pe baithi hogi
Tera ye pyar bhi dariya hai utar jayega

 0 People liked it
0 Ratings

Sath Chalte Ja Rahe Hain Paas Aa Sakte Nahi
Ik Nadi Ke Do Kinaro Ko Mila Sakte Nahi
Dene Wale Ne Diya Sab Kuch Ajab Andaaz Se
Saamne Duniya Padi Hai Aur Utha Sakte Nahi
Uski Bhi Majbooriyan Hain, Meri Bhi Majbooriyan
Roz Milte Hain Magar Ghar Mein Bata Sakte Nahi
Uski Yaadon Se Mehkane Lagta Hai Sara Badan
Pyar Ki Khushboo Ko Seene Mein Chupa Sakte Nahi

 1 People liked it
1 Ratings

Teri khushbu ka pata karati hai
mujh pe ehsaan hawa karati hai
shab ke tanhai mein ab to aksar
guftagu tujh se raha karati hai
dil ko us reh pe chalana hi nahi
jo mujhe tujh se juda karati hai
zindagi meri thi lekin ab to
tere kahane mein raha karati hai
us ne dekha hi nahi warna ye aankh
dil ka ehaval kaha karati hai
beniyaz-e-kaf-e-dariya angusht
ret par naam likha karati hai
sham padate hi kisi shakhs ke yaad
kucha-e-jan mein sada karati hai
mujh se bhi us ka hai vaisa hi suluk
hal jo tera ana??? karati hai
dukh hua karta hai kuch aur bayan
baat kuch aur hua karati hai
abr barase to inayat us ke
shakh to sirf dua karati hai
masala jab bhi utha chiragon ka
faisala sirf hawa karati hai

 2 People liked it
0 Ratings

Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Har shaam Mili Hai Tera Chehra Banker
Chand Nikla Hai Teri Aankh K Aansoo Ki Tarah Phool
Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Banker
Meri Jaagi Huey Raaton Ko Usi Ki Hai Talash
So Raha Hai Meri Aankhon Main Jo Sapna Banker
Dil K Kaghaz Par Utarta Hai Tu Sheron Ki Tarhan
Meray Hontoon Pay Machalta Hai Tu Naghma Banker
Raat Bhi Aye Tu Bujhti Nahin Chehray Ki Chamak
Rooh Main Phail Giya Hai Woh Ujala Banker
Mera Kia Haal Hai Yeh A K Kabhi Dekh Tu Lay
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hua Wada Banker
Dhoop Main Khoo Gaya Woh Haath Chura Kar
Ghar Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya Banker
Kabhi Aanso Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Har Shaam Mili Hai Tera Chehra Banker

 0 People liked it
0 Ratings

Chandni Raat K Hathon Pay Sawar Utri Hai
Koi Khushboo Meri Delhiz K Paar Utri Hai
Is Main Kuch Rang Bhi Hain Khuwab Bhi Mehkar Bhi Hai
Jhilmilati Hui Khawish Bhi Inkaar Bhi Hai
Isi Khushboo Main Kayi Dard Bhi Afsanay Bhi
Isi Khushboo Nay Banaye Kayi Dewanay Bhi
Isi Khushboo Say Kisi Yaad K Der Khultay Hain
Meray Pairon Say Jo Liptay To Safar Khultay Hain
Yahi Khushboo Jo Mujhey Ghar Say Utha Layi Thi
Ab Kisi Tor Palat Ker Nahi Janay Deti
Meri Delhiz Bulati Hai Mujhey Loot Aao
Yahi Khushboo Mujhey Wapis Nahi Aanay Deti
Ranj Or Dard Main Doobi Bahar Utri Hai
Koi Khushboo Meri Delhiz K Paar Utri Hai

 0 People liked it
1 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Showing Khushboo Shayari 21 - 30 of 29, Page 3 of 3 pages.