Love Shayari

Love Shayari - A large collection of Love Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Love Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Love Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Love Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Love Shayari

Showing Love Shayari 471 - 480 of 564, Page 48 of 57 pages.


Apne haatho se chehre ko chupate kyun ho,
Sharmate ho to samne aate kyun ho,
Tum meri tarah bhi kar do ikraar-e-wafa,
Pyar karte ho to fir chupate kyun ho..

 0 People liked it
0 Ratings


Jo bit raha hai use bura nahi kahte
Dusron se milkar unka gila nahi karte
Majbur mat karo kuchh ushul bhi apna hai
Gam ka nam dekar piya nahi karte
Bewafai mil gayi unke pyar main to kiya
Jindgi se aise rutha nahi karte
Gam aaye gar jiwan main tere koi
Aankhon se ashko ko giraya nahi karte
Mohababat karte ho to turant ijhar karo
Fijul main waqt jaya nahi karte.

 0 People liked it
0 Ratings

Agar Talash Karoon Koi Mil Hi Jayega
Magar Tumhari Tarah Mujhko Kaun Chahega

Tumhe Jaroor Koi Chaahton Se Dekhega
Magar Voh Aankhein Humari Kahan Se Layega

Main Apni Raah Mein Deewar Ban Ke Baitha Hoon
Agar Voh Aaya To Kis Raste Se Aayega

Tumhare Hath Ye Mausam Farishton Jaisa Hai
Tumhare Bad Ye Mausam Bahut Satayega

 0 People liked it
0 Ratings


“Tabiyat apni ghabrati hai jab sunsaan raton mein, hum aise mein teri yaadon ki chaadar taan lete hain”
“Ajab aarzoo anokhi talab hai, tujhee se tujh ko maangna chaahataa hoon”
“Maine mashook baharon mein tujhe dekha hai, chaandni raat ke sitaron mein tujhe dekha hai”
“Doori ke gham kuch aur siva ho ke rah gaye, hum unse kya mile ki juda hoke rah gaye”
“Hum paala muddaton pehloo mein, hum kuch bhi nahin, tumne dekha ik nazar aur dil tumhara ho gaya”
“Bhooli bisree chand ummidey, chand fasaaney yaad aaye, tum yaad aaye aur tumhaare saath zamaane yaad aaye”
“Dil dhadakne ka sabab yaad aaya, woh teri yaad thi ab yaad aaya”
“Mausam aayenge jaayenge, hum tumko bhool na paayenge”
“Na ji bhar ke dekha na kuch baat ki, bahut aarzoo thi mulakaat ki”
“Hazoor aap ka hi ehtaraam kartaa chaloon, idhar se guzraa tha, socha salaam karta chaloon”
“Ek kami thi Taj Mahal mein, hum ne teri tasveer laga di”
“Kasid ke aatey aatey khat ik aur likh chaloon, main jaanta hoon jo who likhenge jawaab mein”
“Dil ka veeranaa ho gaya lekin, ab bhi hai teri aarzoo is mein”
“Aur to kaun hai jo mujh ko tassalli deta, hath rakh deti hai dil pey teri baaten aksar”

 0 People liked it
0 Ratings

Giraftaar Huye Hain Jabse Hum Teri Mohabbat Mein,
Akhiyon Ko Kuch Aur Raas Na Aata Hai,
Jata Hu Mei Jab Kahi Dekheta Hun Kisi Ajnabi Ko,
Us Me Aksar Tera Haseen Chehra Dikh Jata Hai,
Haal-E-Dil Ko Kaise Lafzon Mei Byaan Karun,
Madhosh Yeh Dil Aksar Armaano Mei Jo Kho Jata Hai..

 0 People liked it
0 Ratings

Zindagi Bhar Nahi Bulenge Wo Pehli Mulakaat
Jab Hui Thi Nazre Hamari Aapse Chaar
Yakin Hi Nahi Hua Ki Yeh Sach Hai Ya Sapna
Sukriya Us Rab Ka Jisne Milaaya Hume Aapse
Kabool Ki Hamari Dua Usne
Chahe Kaafi Intzaar Ke Baad
Hume Milaaya Apne Meet Ke Saath
Isliye To Hum Kehte Hain
Ki Itni Shiddat Se Maine Tume Pane Ki Koshish Ki Hai
Ki Har Zarre Ne Mujhe Tumse Milane Ki Koshish Ki Hai

 0 People liked it
0 Ratings


KYA MUJHE TUM APNA BNA PAOGE
DUNIYA KO MRE LIYE THUKRA PAOGE
KHAIR MERI CHHODO APNE DIL SE PUCHHO
KYA KIYE HUE WADE NIBHA PAOGE.
.

 0 People liked it
0 Ratings

Once in a while
You are in my mind
I think about the days that we
had
And I dream that these would all
come back to me
If only you knew every moment in
time
Nothing goes on in my heart
Just like your memories
How I want here to be with you
Once more
You are always gonna be the one
And you should know
How I wish I could have never let
you go
Come into my life again
Oh, don’t say no
You are always gonna be the one
in my life
So true, I believe I can never find
Somebody like you
My first love.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Love Shayari 471 - 480 of 564, Page 48 of 57 pages.