Mujhe Teri Mohabbat Ka Sahara Mil Gaya Hota Lyrics

Aap Aaye Bahar Aayi- A big collection of Hindi Lyrics. Here you can find the lyrics of song Mujhe Teri Mohabbat Ka Sahara Mil Gaya Hota from movie Aap Aaye Bahar Aayi

  

Lyrics

    • Movie Name : Aap Aaye Bahar Aayi
    • Director(s) : Laxmikant Pyarelal
    • Singer(s) : Lata Mangeshkar,Mohammad Rafi
    • Lyricist(s) : 

    dilshad tha ke phul khilenge bahar mein
    mara gaya garib isi aitbar mein
    (mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota - (2)
    agar tufan nahi aata, kinara mil gaya hota) - 2
    mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota

    na tha manzur kismat ko, na thi marzi baharo ki
    nahi to is gulistan mein - 2, kami thi kya nazaro ki
    meri nazaro ko bhi koi nazara mil gaya hota
    agar tufan nahi aata, kinara mil gaya hota

    mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota
    khushi se apni aankho ko main ashko se bhigon leta
    mere badle tu has legi - 2, tere badle main ro leta
    mujhe ae kash tera dard sara mil gaya hota
    agar tufan nahi aata, kinara mil gaya hota

    mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota
    mili hai chandni din ko, yeh unki apni kismat hai
    mujhe apne muqaddar se - 2, faqat itni shikayat hai
    mujhe tuta hua koi sitara mil gaya hota
    agar tufan nahi aata, kinara mil gaya hota
    mujhe teri mohabbat ka sahara mil gaya hota

    Related Lyrics