Mehfil Muhabbat Shayari

Mehfil Muhabbat Shayari - A large collection of Mehfil Muhabbat Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Mehfil Muhabbat Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Mehfil Muhabbat Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Mehfil Muhabbat Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Mehfil Muhabbat Shayari

Showing Mehfil Muhabbat Shayari 141 - 150 of 410, Page 15 of 41 pages.

Mohabbat Itni Karna Ka Farq Na Rahey
Intezar Itna Karna Ke Waqt Na Rahey
Yaad Itna Karna Ke Door Mit Jaye
Aur Bharosa Itna Karna K Shaq Na Rahey

 0 People liked it
0 Ratings

Teri Tasweer Meri Ankhon Main Basee Kyun Hai?.
Jidhar Dekho Bas Udhar Tu Hi Kyun Hai

Teri Yadoon Se Wabasta Meri Takdeer Hai Lekin,
Tujhe Naa Paakar Meri Takdeer Roothi Kyun Hai...?

Mujhko Hai Khabar Namumkin Hai Tujhe Haasil Karna,
Phir Bhi Yeh Intezaar, Yeh Bekarari Kyun Hai?


Barson Guzar Gaye Mere Tanhayee Mein Lekin,
Meri Baahon Ko Aaj Bhi Tera Intezaar Kyun Hai?

Teri Chaahat Ki Kasam Khoon Ke Aansoo Royaa Hoon
Ab Nahin Hai Kuch Baakee ,Phir Yeh Jaan Baakee Kyun Hai?

Khatam Hua Mera Yeh Afsaana, Ek Baat Batadoo Lekin,
Anjaam Tha Malooom Mujhko Phir Yeh Mohabbat Kyun Hai?

 0 People liked it
0 Ratings

Bich mein parda dui ka tha jo hayal uth gaya
aisa kuch dekha ke duniya se mera dil uth gaya
shama ne ro ro ke kati raat suli par tamam
shab ko jo mahafil se teri ae zeb-e-mahafil uth gaya
meri aankhon mein samaya us ka aisa nur-e-haq
shauq-e-nazzara ae badr-e-kamil uth gaya
ae zafar kya puchata hai begunah-o-bar-gunah
uth gaya ab jidhar ko vaste qatil uth gaya

 0 People liked it
0 Ratings

Chalo Ik Nazam Likhte Hain,
Kisi Kay Naam Karte Hain,
Magar Ye Sochna Hai Ab,
K Us Main Zikar Kis Ka Ho?
K Us Main Baat Kis Ki Ho?
K Us Main Zaat Kis Ki Ho?
Aur Ye Bhi Farz Karte Hain,
K Jis Pe Nazm Likhte Hain,
Humain Us Se Muhabbat Hai,
Hamare Sary Jazbon Ko Bus Uski Zaroorat Hai,
Chalo Ik Kaam Karte Hain,
K Hum Jo Nazm Likhte Hain,
“Tumharey Naam” Kerte Hain,
Tum He Unwaan Ho Uska,
Tumhara Zikar Hai Is Main,
Tumhari Baat Hai Is Main.

 0 People liked it
0 Ratings

Mohabbat Kii Tabiyat Mei
Ye Kaisaa Bachapanaa Qudarat Ne Rakkhaa Hai
Ke Jitanii Puraanii Jitanii Bhii Mazabuut Ho Jaaye
Ise TaaIid-E-Taazaa Kii Zaruurat Phir Bhii Rahatii Hai
YaqiiN Kii Aakhirii Had Tak DiloN MeN LahLahaatii Ho
NigaahoN Se Tapakatii Ho Lahuu MeN JagMagaatii Ho
HazaaroN Tarah Se DilKash Hasiin Haale Banaatii Ho
Use Izhaar Ke LafzoN Kii Haajat Phir Bhii Rahatii Hai
Mohabbat MaaNgatii Hai YuuN Gavaahii Apane Hone Kii
Ke Jaise Tifl-E-Saadaa Shaam Ko Ik Biij Boye
Aur Shab MeN Bauraa Uthe
ZamiiN Ko Khod Kar Dekhe
Ke Paudhaa Ab KahaaN Tak Hai
Mohabbat Kii Tabiyat MeN Ajab Takaraar Kii Khuu Hai
Ke Ye Iqraar Ke LafzoN Ko Sunane Se NahiiN Thakatii
BichhaDane Kii GhaDii Ho Yaa KoIi Milane Kii Sa'at Ho
Ise Bas Ek Hii Dhun Hai
Kaho Mujh Se Mohabbat Hai
Kaho Mujh Se Mohabbat Hai
Kuchh Aisii Besakuunii Hai Vafaa Kii SarZamiiNoN MeN
Ke Jo Ahal-E-Mohabbat Ko Sadaa Bechain Rakhatii Hai
Ke Jaise Phuul MeN Khsuhbuu Ke Jaise Haath MeN Taaraa
Ke Jaise Shaam Kaa Taaraa
Mohabbat Karane VaaloN Kii Sahar RaatoN MeN Rahatii Hai
Gumanaam Ke ShaakhchoN MeN AashiyaaN Banataa Hai Ulfat Kaa
Ye Ain Visaal MeN Bhii Hijr Ke KhadshoN MeN Rahatii Hai
Mohabbat Ke Musaafir Zindagii Jab Kaat Chukate HaiN
Thakan Kii KarachiyaaN Chunate Vafaa Kii AjarakeN Pahane
Samay Kii RahGuzar Kii Aakhirii Sarhad Pe Rukate HaiN
To KoIi Duubatii SaaNsoN Kii Dorii Thaam Ker
Dhiire Se Kahataa Hai
Ke Ye Sach Hai Naa
Hamaarii Zindagii Ik Duusare Ke Naam Likhii Thii
Dhundhalakaa Saa Jo AaNkhoN Ke Qariib-O-Duur Phailaa Hai
Isii Kaa Naam Chaahat Hai
TumheN Mujh Se Mohabbat Thii
TumheN Mujh Se Mohabbat Hai
Mohabbat Kii Tabiyat MeN
Ye Kaisaa Bachapanaa Qudarat Ne Rakkhaa Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Khushi Chah Jati Hai
Chehre Pe Khushi Chah Jati Hai
Ankhon Mein Suroor Aajata Hai
Jab Tum Mujhe Apna Kehte Ho
Apne Pe Guroor Aajata Hai
Tum Husn Ki Khud Ek Dunya Ho,
Shayad Yeh Tumhain Maloom Nahi
Mehfil Mein Tumhare Aane Se ,
Har Chiz Pe Noor Aajata Hai
Hum Pass Se Tum Ko Kiya Dekhen
Jab Tum Mukabil Hote HO
Betaab Nighaoon Ke Aage ,
Parda Sa Zaroor Aajata Hai
Jab Tumse Mohabbat Ki Humne
Tab Jake Kahin Yeh Raaz Khula
Marne Ka Saliqa Aata Hi Nahi
Jeene Ka Shaoor Aajata Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Mohabbat Kar Kay Dekhi Toh Mohabbat Ko Pehchana Hai
Wafa Buss Naam Ki, Bewafai Ka Fasana Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Hum ne To Ek Hi Shaks Par Muhabbat Khatam Kardi
Ab Muhabbat Kis Ko Kehte Hai Kuch Maloom Nahi…

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Mehfil Muhabbat Shayari 141 - 150 of 410, Page 15 of 41 pages.