Mehfil Muhabbat Shayari

Mehfil Muhabbat Shayari - A large collection of Mehfil Muhabbat Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Mehfil Muhabbat Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Mehfil Muhabbat Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Mehfil Muhabbat Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Mehfil Muhabbat Shayari

Showing Mehfil Muhabbat Shayari 171 - 180 of 410, Page 18 of 41 pages.

Aati Jaati Har Mohabbat Hai, Chalo Yoon Hi Sahi
Jab Talak Hai Khubsoorat Hai, Chalo Yoon Hi Chalo

Hum Kahan Ke Devta Hain, Bewafa Voh Hai To Kya
Ghar Mein Koi Ghar Ki Zeenat Hai, Chalo Yoon Hi Sahi

Voh Nahi To Koi To Hoga Kahi Uski Tareh
Jism Mein Jab Tak Hrart Hai, Chalo Yoon Hi Sahi

Mailey Ho Jate Hain Rishte Bhi Libaso Ki Tareh
Dosti Har Din Ki Mehnat Hai Chalo Yoon Hi Sahi

Bhool This Apni Farishta Aadmi Mein Dhundhna
Aadmi Mein Aadmiyat Hai Chalo Yoon Hi Sahi

Jaisi Honi Chahiye Thi Vaisi To Duniya Nahi
Duniyadari Bhi Zaroorat Hai, Chalo Yoon Hi Sahi

 0 People liked it
0 Ratings

Kabhi Iqrar Kar Layna Kabhi Inkar Kar Layna
Kahaan Say Tum Nay Sekha Hai Anokha Pyar Kar Lyna
Tumhain Baanhoon Main Bhar K Serif Yehhi Pygam Dena Tha
Apnay Sooy Jazboon Ko Zara Bydar Kar Layna
Kabhi Chahat Say Tum Magloob Ho Kar Muskora Dyna
Kabhi Kuch Sochna Or Soch Kar Inkaar Kar Lyna
Kabhi Shola Kabhi Shabnum Kabhi Shadaan Kabhi Barhum
Kabhi Roona Kabhi Lyhjay Ko Phir Jhankar Kar Lyna
Tumhari Yeh Bolti Ankhain Yeh Gur Jantee Bhee Hoon Gi
Hum Aseeoon Ko Aseer Nagmaan Guftaar Kar Lyna
Salika Chaheyeh Rah Talab Main Jinay Marnay Ka
Nahi Zeba Mohabbat Ko Janoon Aasar Kar Lyna
Mohabat Ek Naymaat Hai Essay Hanza Yeh Samajh Na
Monasib To Nahi Hoga Esay Aazad Kar Lyna
Kahaan Say Tum Nay Sekha Hai Anokha Pyar Kar Lyna
Tumhain Baanhoon Main Bhar K Serif Yehhi Pygam Dena Tha
Apnay Sooy Jazboon Ko Zara Bydar Kar Layna
Kabhi Chahat Say Tum Magloob Ho Kar Muskora Dyna
Kabhi Kuch Sochna Or Soch Kar Inkaar Kar Lyna
Kabhi Shola Kabhi Shabnum Kabhi Shadaan Kabhi Barhum
Kabhi Roona Kabhi Lyhjay Ko Phir Jhankar Kar Lyna
Tumhari Yeh Bolti Ankhain Yeh Gur Jantee Bhee Hoon Gi
Hum Aseeoon Ko Aseer Nagmaan Guftaar Kar Lyna
Salika Chaheyeh Rah Talab Main Jinay Marnay Ka
Nahi Zeba Mohabbat Ko Janoon Aasar Kar Lyna
Mohabat Ek Naymaat Hai Essay Hanza Yeh Samajh Na
Monasib To Nahi Hoga Esay Aazad Kar Lyna

 0 People liked it
0 Ratings

Mohabbat Ka Ehsaas Bahut Kuch Badal Deta Hai
Zindagi Ka Matlab Humko Sikha Deta Hai
Kaise Koi Ajnabi Itna Khaas Ban Jata Hai
Har Lamha Bas Uska Chehra Yaad Aata Hai
Agar Kiya Ho Wada Mehboob Se Milne Ka
To Suraj Ki Tapish Mehsoos Nahin Hoti
Yeh Aankh Bhi Aksar Uske Khyalon Mein Soti Hai
Kaise Apna Har Gam Uski Khushi Mein Gum Jata Hai
Yahi To Wo Ehsaas Hai Jo Jannat Ki Sair Karata Hai…

 0 People liked it
0 Ratings

Mujhko Ab Khud Ki Khabar Bhi Nahi
Per Tha Mein Itna Bekhabar Bhi Nahi
Karta Hoon Jissay Mohabbat Bepanah
Shayad Wo Mera Muntazair Bhi Nahi..

 0 People liked it
0 Ratings

Ye barhami ki naz-e-iltifat ke bad
hum ko maut ka paigam hai hayat ke bad
ye kufr-o-din ka fasana ye zikr-e-dair-o-haram
aziz hai magar un ke tuvajjihat ke bad
??? pe ashk-e-alam dil mein pas-e-zabt-e-fugan
jo hum hanse to bhi kitne takallufat ke bad
ab aur hadase kya pesh aayenge ae dil
hamari un ke muhabbat ke hadasat ke bad
hum ahal-e-hijr ko lutf-e-sahar nasib kahan
yahan to raat hi aayi hamesha raat ke bad
kabhi karam hi karam tha aur ab sitam bhi nahi
tagaful aur phir itni tavajjuhat ke bad
bajuz tere koi mauzu-e-zindagi hi nahi
ajeeb hal hai tark-e-ta'alluqat ke bad
agar ho sidq to aasaniyan bhi hoti hain
‘shamim' rah-e-muhabbat ke mushkilat ke bad

 0 People liked it
0 Ratings

Vo Gazal Vaalon Kaa Usluub Samajhate Honge
Chaand Kahate Hain Kise Khuub Samajhate Honge
Itanii Milatii Hai Merii Gazalon Se Suurat Terii
Log Tujhako Meraa Mahabuub Samajhate Honge
Main Samajhataa Thaa Muhabbat Kii Zabaan Khushbuu Hai
Phuul Se Log Ise Khuub Samajhate Honge
Bhuul Kar Apanaa Zamaanaa Ye Zamaane Vaale
Aaj Ke Pyaar Ko Maayuub Samajhate Honge

 0 People liked it
0 Ratings

Kam ab koi na aayega bas ik dil ke siva
raste band hain sab kucha-e-qatil ke siva
bais-e-rashq hai tanharavi-e-rahrau-e-shauq
hamsafar koi nahi duri-e-manzil ke siva
hum ne duniya ke har ik shai se uthaya dil ko
lekin ik shokh ke hangama-e-mahafil ke siva
teg munsif ho jahan dar-o-rasan hon shahid
begunah kon hai us shahar mein qatil ke siva
jane kis rang se aayi hai gulshan mein bahar
koi nagma hi nahi shor-e-silasil ke siva

 0 People liked it
0 Ratings

Wabasta TERI Hayaat Se Sabi Silsilay Hai Magr !!
Meri Zindgi Hai Mukhtasir TERI Muhabut K Liye

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Mehfil Muhabbat Shayari 171 - 180 of 410, Page 18 of 41 pages.