Mehfil Muhabbat Shayari

Mehfil Muhabbat Shayari - A large collection of Mehfil Muhabbat Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Mehfil Muhabbat Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Mehfil Muhabbat Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Mehfil Muhabbat Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Mehfil Muhabbat Shayari

Showing Mehfil Muhabbat Shayari 341 - 350 of 410, Page 35 of 41 pages.

Ye Dil Ka Rogh Ye Chahat Khuda Kisi Ko Na De
Buri Bala Hai Mohabbat Khuda Kisi Ko Na De
Tarap Junoon Ye Ruswaiyaan Akela-Pan
Qadam Qadam Ye Museebat Khuda Kisi Ko Na De

 0 People liked it
0 Ratings

Mohobbat Ka Imtihan Aasan Nahi
Pyar Sirf Pane Ka Naam Nahi
Muddatein Beet Jati Hain Kisi Ke Intezaar Mein
Ye Sirf Pal-Do-Pal Ka Kaam Nahi

 0 People liked it
0 Ratings

Phir Aaj Koi Ghazal Usk Naam Na Ho Jaye
Aaj Kahin Likhte Likhte Sham Na Ho Jaye
Kar Rahe Hain Intezar Usk Izhar-e-Mohabbat Ka
Isi Intezar Mien Kahin Sham Na Ho Jaye
Nahi Laite Hain Uska Naam Sar'e Aam Is Darr Se
Kahin Naam Uska Badnamam Na Ho Jaye
Mangtay Hain Dua Jab Wo Yaad Atay Hain
K Judai Mere Pyar Ka Anjam Na Ho Jaye
Sochte Hain Aksar Darte Hain Tanhai Mien
Usk Dil Mie Kisi Aur Ka Mukam Na Ho Jaye

 0 People liked it
0 Ratings

Mohabbat Mujhe Aapke Husn Se Nahi
Aapke Kirdaar Se Hai
Varna Haseen Log To
Bazaar Mein Sar-E-Aam Bika Karte Hain

 0 People liked it
0 Ratings

Muhabat Ki Tabiyat Main Yeh Kaisa Banchpana Qudrat Ne Rekha Hai
K Yeh Jitni Purani Jitni Mazbot Ho Jaye
Ise Taeede Taza Ki Zarorat Phir Bhi Rehti Hai
Yaqeen Ki Akhri Had Tak Dilon Main Lehlahati Ho
Nigahun Se Tapakti Ho Lehu Main Jagmgati Ho
Hazaron Tarah K Dilkash Haseen Hale Banati Ho
Ise Izhaar K Lafzun Ki Hajat Phhir Bhi Rehti Hai
Muhabt Mangti Hai Youn Gawahi Apne Hone Ki
K Jaise Tifl E Sada Sham Ko Ik Beej Boye
Aur Shab Main Barha Utthe
Zameen Ko Khod Kar Dekhe , K Pooda Ab Kehan Tak Hai
Muhabt Ki Tabiyat Main Ajab Takrar Ki Khu Hai
K Yeh Iqrar K Lafzun Ko Suunne Se Nahi Thakti
Bichardne Ki Ghardi Ho Ya Koi Milne Ki Saaat Ho
Ise Bas Aik Hi Dhun Hai
Keho” Mujh Se Muhabat Hai
Keho Mujh Se Muhabbat Hai
Tumhain Mujh Se Muhabat Hai
Sumander Se Kahin Gehri,Sitarun Se Siwa Roshan
Pahardun Ki Tarah Qaim , Hawaon Ki Tarah Daaim
Zameen Se Asman Tak Jis Qadar Ache Manazar Hain
Muhabt K Kanaye Hain Wafa K Istaare Hain
Humare Hain
Humare Waste Ye Chandni Ratain Sanwarti Hain
Sunehra Din Nikalta Hai
Muhabt Jistaraf Jaye Zamana Sath Chalta Hai”
Kuch Aisi Be-Sakooni Hai Wafa Ki Sarzameenon Main
K Jo Ehl-E-Mohabbat Ko Sada Bechain Rakhti Hai
K Jaise Phool Main Khushboo, K Jaise Hath Main Para
K Jaise Sham Ka Tara
Mohabbat Karne Waloon Ki Seher Ratoon Main Rehti Hai
Guman K Shak-Choon Main Aashian Banta Hai Ulfat Ka
Ye Ain-E-Visl Main Bhi Hijr K Khadshoon Main Rehti Hai
Mohabbat K Musafir Zindagi Jab Kaat Chukte Hain
Thakan Ki Kerchiaan Chunte, Wafa Ki Afrkiaan Pehne
Same Ki Rah Guzar Ki Aakhri Sarhad Pe Rakhte Hain
To Koi Doobti Sansoon Ki Dori Tham Kar
Dheere Se Kehta Hai

Ye Sach Hai Na !!
Hamari Zindagi Ek Dosre Ke Naam Likhi Thi
Dhund-Laka Sa Jo Aankhoon K Qareeb-O-Door Phela Hai
Isi Ka Naam Chahat Hai
Tumhain Mujh Se Mohabbat Thi
” Tumhain Mujh Se Mohabbat Thi ”

Mohabbat Ki Tabiat Main
Ye Kaisa Bachpana Qudrat Ne Rakha Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Raastay Khud Hi Tabahi K Nikalay Humnay
Kar Diya Dil Kisi Patthar K Hawalay Humnay
Haan!! Hume Maalum Hai Kya Cheez Hai Mohabbat Yaaro
Apna Hi Ghar Jala K Dekhay Hai Ujjalay Humne

 0 People liked it
0 Ratings

Haara Hun Main Mohabbat Ki Har Baji Har Imtihaan Ko;
Kyun Nahi Milti Kamyabi Is Sansar Me Dil Ki Juban Ko;
Mujhe Shikayat Nahi Hai Gairon Se Kabhi ;
Jab Apno Ne Hi Diya Hai Mera Naam Har Iljaam Ko.

 0 People liked it
0 Ratings

Aik Nafrat He Nahi Duniya Mein Dard Ka Sabab
Mohabbat Bhi Sakoon Waloon Ko Bade Takleef Deti Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Mehfil Muhabbat Shayari 341 - 350 of 410, Page 35 of 41 pages.