Mehfil Muhabbat Shayari

Mehfil Muhabbat Shayari - A large collection of Mehfil Muhabbat Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Mehfil Muhabbat Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Mehfil Muhabbat Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Mehfil Muhabbat Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Mehfil Muhabbat Shayari

Showing Mehfil Muhabbat Shayari 351 - 360 of 410, Page 36 of 41 pages.

Ek Ajnabi Se Hamein MOHABBAT Hogayi Hai
Ye Zindagi Hamari Mukammal Hogayi Hai
Sochte Hain Wo Chehra Kaisa Hoga
Jis Se Hamein CHAHAT Hogayi Hai
Jab Leti Hoon Naam,Ye Saansein Mehek Uthti Hain
Ab Ye Saansein Bhi Meri Us Ki Hogayi Hain

Us Ka Yun Rooz Meri Neendon Mein Chale Aana
Mere Sapnon Ki Duniya Ab Roshan Hogayi Hai
Dhadak Uthta Hai Dil Jab Mehsoos Karti Hain Aankhein
Aisa Lagta Hai Ye Dhadkan Bhi Us Ke Naam Hogayi Hai
Usee Hi Sochte Sochte Guzarti Hai Ab Ye Ratein Meri
Meri Ratein Bhi Ab Mere Sanam Ke Hawale Hogayi Hain

 0 People liked it
0 Ratings

Na kah saqi bahar aane ke din hain
jigar ke daag chil jane ke din hain
ada si khub ada aane ke din hain
abhi to dur sharmane ke din hain
gareban dhundhate hain hath mere
chaman mein phul khil jane ke din hain
tumhen raz-e-muhabbat kya batayen
tumhare khelane khane ke din hain
ghatayen udi udi kah rahi hai
may-e-angur khinchavane ke din hain

 0 People liked it
0 Ratings

Humne Jab Muhabbat Ka Paigaam Diya
Muskurakar Unhone Apna Dil Tham Liya
Jhuk Gayi Nazrein Meri Unki Is Ada Par
Kehne Lage Ab Humne Dil Ka Raaz Jaan Liya

 0 People liked it
0 Ratings

Mera Din Chupa Kisi Raat May
Meri Raat Chupi Kisi Zaat May
Meri Zindgi Kisi Raaz May
Koi Raaz Hai Meri Zaat May
May Jahan Kaheen Bhatak Gia
May Girta Girta Sanbhal Gia
Mujhy Thokroun Se Pata Chala
Koi Haath Hai Mery Haath May

 0 People liked it
0 Ratings

Har Kisi Yad Nay Har Raat Bhar Hay Jagaya Mujh Ko
Kiya Saza Di Hay Mohabat Nay Khudaya Mujh Ko
Din Ko Aaram Hay Na Rat Ko Hay Chain Kabhi
Janay Kis Khaak Say Qudrat Nay Banaya Mujh Ko
Dukh To Yeh Hay Keh Zamanay Main Milay Ghair Sabhi
Jo Mila Hay Woh Mila Ban Kay Paraya Mujh Ko
Jab Koi Bhi Na Raha Kandha Meray Ronay Ko
Ghar Ki Deewaron Nay Seenay Say Lagaya Mujh Ko
Uoon To Umeed-E-Wafa Tum Say Nahein Hay Koi
Phir Charaghon Ki Tarah Kis Nay Jalaya Mujh Ko
Bewafa Zindagi Nay Jab Chorh Diya Hay Tanha
Maot Nay Piyar Say Pehloo Main Bithaya Mujh Ko
Woh Diya Hoon Jo Mohabat Nay Jalaya Tha Kabhi
Gham Ki Andhi Nay Sar-E-Sham Bujhaya Mujh Ko
Kaisay Bhoolon Ga Wohi Wasl Kay Lamhay
Yad Aata Raha Zulfon Ka Hi Saya Mujh Ko

 0 People liked it
0 Ratings

Kah rahi hai hashr mein wo aankh sharmai hui
haye kaise is bhari mahafil mein ruswai hui
aaine mein har ada ko dekh kar kahate hain wo
aj dekha chahiye kis kis ke hai aayi hui
kah to ae gulchin asiran-e-qafas ke vaste
tod lun do char kaliyan main bhi murjhai hui
main to raz-e-dil chupaun par chipa rahane bhi de
jan ke dushman ye zalim aankh lalchai hui
gamza-o-naz-o-ada sab mein hai haya ka lagao
haye re bachpan ke shokhi bhi hai sharmai hui
vasl mein khali hui raqibon se mahafil to kya
sharm bhi jaye to janun ke tanhai hui
gard udi aashiq ke turbat se to jhunjhala ke kaha
vah sar chadhane lagi panv ke thukarai hui

 0 People liked it
0 Ratings

Ye Jo Zeist Ka Safar Hai
Ye Jo Rasta Hai Mera
Tum Aagar Na Sath Do Gy
To Ye Kis Tarhan Katy Ga
Meri Soch Ki Hadoon Tak
Ye Guman Bhi Keasy Aay
Koi Pal Bina Tumhary
Bhala Keasy Beit Jay
Mery Pas Tum Nahin Ho
Mery Pas Kab Nahin HO
Meri Yaad Key Nagar Mein
Mery Khuwab Key Safar Mein
Meri Soch Ki Tahoon Tak
Meri Aankh Key Bhanwar Mein
Mery Dil O Jaan Mein Tan Mein
Meri Hasratoon Key Ban Mein
Mery Dil Ki Teirgi Mein
Meri Shab Ki Roshni Mein
Haan Tumhin Ho,Har Kahin HO
Mery Pas Tum Nahin Ho
Mery Pas Kab Nahin Ho
Meri Har DUA Ka Mhwar
Bas Aik Aarzoo Tumhari
Aes Aarzoo Key Aagy
Koi Rasta Nahin Hai
Tumhyn Kis Qadar Hai Caha
Ye Tumhyn Pata Nahin Hai!!!

 0 People liked it
0 Ratings

Masoom Mohabbat Ka Bas Itna Sa Fasaana Hai
Kaagaz Ki Haveli Hai, Baarish Ka Zamaana Hai
Kya Shart-E-Mohabbat Hai, Kya Shart-E-Zamaana Hai
Aawaz Bhi Zakhmi Hai, Aur Geet Bhi Gaana Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Mehfil Muhabbat Shayari 351 - 360 of 410, Page 36 of 41 pages.