Nazar Shayari

Nazar Shayari - A large collection of Nazar Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Nazar Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Nazar Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Nazar Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Nazar Shayari

Showing Nazar Shayari 111 - 120 of 136, Page 12 of 14 pages.

Jag mein aakar idhar udhar dekha
tu hi aaya nazar jidhar dekha
jan se ho gaye badan khali
jis taraf tune aankh bhar ke dekha
nala fariyad aah aur zari
aap se ho saka so kar dekha
un labon ne ke na masihai
hum ne sau -sau tarah se mar dekha
zor aashiq mizaj hai koi
“dard” ko qisa-e-mukhtasar dekha

 0 People liked it
0 Ratings

Ye Sare Haseen Chehre Meri Tasbeeh K Daane Hain
Nazar Se Girte Rehte Hain. Ibadat Hoti Rehti Hai…

 1 People liked it
0 Ratings

Tujhe Palkon Mein Basaye Rakhte Hain,
Duniya Ko Bhulaye Rakhte Hain,
Tujhe Nazar Na Lag Jaye Meri Is Liye,
Tere Aagey Palken Jhukayen Rahte Hain

 0 People liked it
0 Ratings

Jo Rehtay Hain Sada Dil Mein Unhein Dhonda Nahin Kertay
Jo Ruch Jayain Rag-O-Pay Main Unhein Socha Nahin Kertay
Baharon K Ghanay Sayai Mein Talkhi Bhi, Chubhan Bhi Hay
Ghamon Ki Dhoop Ka Tum Say Magar Shikwa Nahin Kertay
Nahin Aatay Kabhi Bhi Loot Ker Guzray Howay Mousam
Barastay Badalon Ki Aas Mein Tarsa Nahin Kertay
Tajasus Aur Barhta Hay Machal Jatay Hain Sun Ker Hum
Achanak Pyar Ki Baaton Ka Rukh Mora Nahin Kertay
Teri Nazar Inayat Say Howay Jatay Hain Jo Ghayal
Unhein Qatil Nigahon Say Kabhi Daikha Nahin Kertay

 0 People liked it
0 Ratings

Kabhi jo main ne masarrat ka ehatamam kiya
bade tappak se gham ne mujhe salam kiya
hazar tark-e-ta'alluq ka ehatamam kiya
magar jahan wo mile dil ne apna kam kiya
zamane valon ke dar se utha na hath magar
nazar se us ne basad mazarat salam kiya
kabhi hanse kabhi aahen bharin kabhi roye
baqadr-e-martaba har gham ka ehataram kiya
hamare hisse ke may kam aaye pyason ke
zer-e-rah-e-khair gunah shikast-e-jam kiya
tulu-e-mahar se bhi ghar ki teergi na ghati
ek aur shab kati ya main ne din tamam kiya
dua ye hai ke na hun gumrah hamsafar mere
‘khumar' main ne to apna safar taman kiya

 0 People liked it
0 Ratings

Thandi hawa ke jhonke chalte hain halake halake
aise mein dil na todo wade karo na kal ke
chalte hain ye bhi hum se tevar badal badal ke
jin ko sikhaya hum ne chalana sambhal sambhal ke
saqi ne aj mujh ko aisi nazar se dekha
mausam hua gulabi rangin jam chalake
bistar ke silvaton se ye mahasus ho raha hai
toda hai dam kisi ne karavat badal badal ke

 0 People liked it
0 Ratings

Mere Hothon Ki Muskan Pe Gaur Na Kijiye
Dil Ke Dard Ko Dekha Kijiye
Chahata Hai Ye Dil Tumhe Hi Kitna
Zara Hum Pe Bhi Nazre Karam Kijiye

 0 People liked it
0 Ratings

Pani Ka Jism Le Kar Mittti Ke Ghar Me Hu
Manjil Hai Mout Meri Me Har Pal Safar Me Hu
Hona Hai Fanah Ye Malum Hai Muje
Lekin Khabar Nahi Ki Me Kisi Ki Najar Me Hu

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Nazar Shayari 111 - 120 of 136, Page 12 of 14 pages.