Nazar Shayari

Nazar Shayari - A large collection of Nazar Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Nazar Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Nazar Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Nazar Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Nazar Shayari

Showing Nazar Shayari 131 - 140 of 136, Page 14 of 14 pages.

Kabe se butkade se kabhi bazm-e-yar se
aavaz de raha hun tujhe har muqam se
na-ashna hai aj wohi mere naam se
duniya pukarati thi jinhen mere naam se
uff ye shab-e-firaq ke maron ke bekhudi
khud hi bujha diya hai charagon ko sham se
dil mein fareb lab pe tabassum nazar mein pyar
lute gaye ‘shamim' bade ehatimam se

 0 People liked it
0 Ratings

Khird ke pas khabar ke siwa kuch aur nahi
tera ilaj nazar ke siwa kuch aur nahi
har muqam se aage muqam hai tera
hayat zauq-e-safar ke siwa kuch aur nahi
rangon mein gardish-e-khun hai agar to kya hasil
hayat soz-e-jigar ke siwa kuch aur nahi
urus-e-lala munasib nahi hai mujhase hijab
ki main nasim-e-sahar ke siwa kuch aur nahi
jise qasad samajhate hain tajaran-e-firang
wo shay mata-e-hunar ke siwa kcuh aur nahi
giranbaha hai to hifz-e-khudi se hai warna
gohar mein aab-e-gauhar ke siwa kuch aur nahi

 0 People liked it
0 Ratings

Tumhare lahaje mein jo garmi-o-halavat hai
ise bhala sa koi naam do wafa ke jagah
ganim-e-nur ka hamala kaho andheron par
dayar-e-dard mein aamad kaho masiha ke
ravan-davan hue khushbu ke qafile har su
khala-e-subah mein gunji sahar ke shahanai
ye ek kohara sa ye dhundh si jo chai hai
is iltahab mein surmagin ujale mein
siva tumhare mujhe kuch nazar nahi aata
hayat naam hai yadon ka talkh aur shirin
bhala kisi ne kabhi rang-o-bu ko pakada hai
shafaq ko qaid mein rakha saba ko band kiya
har ek lamaha gurezan hai jaise dushman hai
na tum milogi na main hum bhi donon lamhe hain
wo lamhen jake jo vapas kabhi nahi aate

 0 People liked it
0 Ratings

Nazron Se Nazrein Tum Churaoge Kab Tak
Dosti Aakhir Chhupaoge Kab Tak
Mere Paigam Tumhe Milte Rahenge Yuhi Sada
Mere Naam Ko Dil Se Mitaoge Kab Tak?

 0 People liked it
0 Ratings

Ek Nazar Hamari Ek Nazar Tumhari
Nazar Ne Dil Ki Nazar Utari
Nazar Ne Dekha Nazar Ko Aise Ki
Kabhi Nazar Na Lage Mahobbat Ko Hamari

 0 People liked it
0 Ratings

Mera jee hai jab tak teri justaju hai
zaban jab talak hai yahi guftagu hai
khuda jane kya hoga anjam is ka
main besabar itna hun wo tund khu hai
tamanna hai teri agar hai tamanna
teri aarzoo hai, agar aarzoo hai
kiya sair hum ne gulzar-e-duniya
gul-e-dosti mein ajab rang-o-bu hai
ganimat hai ye did wa did-e-yaran
jahan mund gayi aankh, main hun na tu hai
nazar mere dil ki padi “dard” kis par
jidhar dekhata hun wahi ru-ba-ru hai

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Showing Nazar Shayari 131 - 140 of 136, Page 14 of 14 pages.