Nazar Shayari

Nazar Shayari - A large collection of Nazar Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Nazar Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Nazar Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Nazar Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Nazar Shayari

Showing Nazar Shayari 71 - 80 of 136, Page 8 of 14 pages.

Jab nazar aap ke ho gai hai
zindagi zindagi ho gai hai
barha bar-khilaf-e-har-ummid
dosti dushmani ho gai hai
hai wo takamil purakariyon ke
jo meri sadagi ho gai hai
teri har pursish-o-meharbani
ab meri bekasi ho gai hai
bhool baitha hai tu kah ke jo baat
wo meri zindagi ho gai hai
bazm mein aankh uthane ke taqasir
ae “firaq” aj bhi ho gai hai

 0 People liked it
0 Ratings

Kaise sukun paun tujhe dekhane ke bad
ab kya gazal sunaun tujhe dekhane ke bad
aavaz de rahi hai meri zindagi mujhe
jaun main ya na jaun tujhe dekhane ke bad
kabe ka ehataram bhi meri nazar mein hai
sar kis taraf jhukaun tujhe dekhane ke bad
teri nigah-e-mast ne makhmur kar diya
kya maikade ko jaun tujhe dekhane ke bad
nazron mein tab-e-did hi baqi nahi rahi
kis se nazar milaun tujhe dekhane ke bad

 0 People liked it
0 Ratings

Ae Nazar Meri Nazar Ko Oss Nazar Se Na Dekh
Ke Meri Se Meri Nazar Ko Nazar Lag Jai

 0 People liked it
0 Ratings

Khuda Ne Socha Tha Ke Rahenge Sab Insaan Pyaar Se,
Zameen Pe Dekha To Armaan Lut’te Nazar Aate Hain
Juthe Wade Aur Rishton Se Jee Bharta Hai Insaan Ka,
Har Ek Ke Dil Me Bure Paigaam Nazar Aate Hain
Kuch To Rahaim Kiya Hota Khuda Pe Khudgarz Insaano,
Hathon Me Talwaar Liye Sare-Aam Nazar Aate Hain

Had Ho Gayi Hain Ab To Hevaaniyat Ki Duniyan Mein,
Jahaan Bhi Dekho Bas Katle-Aam Nazar Aate Hain
Jo Hath Chhute The Kabhi Maa Ke Pairo Ko Yaaron,
Un Hathon Me Aaj Sirf Bhare Jaam Nazar Aate Hain
Ehmiyat Nahi Hai Aaj Insaan Ko Khuda Ke Paigamo Ki,
Duniya Me Har Jagah Aaj Rishte Badnaam Nazar Aate Hain
Har Insaan Ko Pata Hain Ke “Sab Ka Malik Ek Hai”,
Fir Bhi Aaj Kahin “Rahim” To Kahin “Ram”Nazar Aate Hain

 0 People liked it
0 Ratings

Uthi Nahi Nigah Kisi Ki Taraf
Paband Kar Gayi Kisi Ki Nazar Mujhay

 0 People liked it
0 Ratings

Jab meri yaad sataye to mujhe khat likhana
tum ko jab neend na aaye to mujhe khat likhana
nile pedon ke ghani chanv mein hansata savan
pyasi dharti mein samane ko tarasata savan
raat bhar chat pe lagatar barasata savan
dil mein jab aag lagaye to mujhe khat likhana
jab phadak uthe kisi shakh pe patta koi
gudgudaye tumhen bita hua lamha koi
jab meri yaad ka bechain safina koi
jee ko rah rah ke jalaye to mujhe khat likhana
jab nigahon ke liye koi nazara na rahe
chand chip jaye gagan par koi sahara na rahe
log ho jayen paraye to mujhe khat likhana
log ho jayen paraye to mujhe khat likhana
 

 0 People liked it
0 Ratings

Nazar Ke Saamne Rahe Wo Kisi Bahaane Se
Khuda Kare Nazar Hate Na Us Diwaane Se

 0 People liked it
0 Ratings

Hum hi mein thi na koi bat, yaad na tum ko aa sake
tumne hamen bhula diya, hum na tumhen bhula sake
tum hi na sun sake agar, qissa-e-gam sunega kon
kis ke zuban khulegi phir, hum na agar suna sake
hosh mein aa chuke the hum josh mein aa chuke the hum
bazm ka rang dekh kar sar na magar utha sake
shauq-e-visal hai yahan, lab pe saval hai yahan
kis ke majal hai yahan, hum se nazar mila sake
raunaq-e-bazm ban gae lab pe hikayaten rahin
dil mein shikayaten rahin lab na magar hila sake
aisa bhi koi namabar bat pe kan dhar sake
sun kar yakin kar sake ja ke unhen suna sake
ahal-e-zaban to hain bahut koi nahi hai ahal-e-dil
kon teri tarah “hafeez” dard ke geet ga sake

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Nazar Shayari 71 - 80 of 136, Page 8 of 14 pages.