Phool Kaante Shayari

Phool Kaante Shayari - A large collection of Phool Kaante Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Phool Kaante Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Phool Kaante Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Phool Kaante Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Phool Kaante Shayari

Showing Phool Kaante Shayari 1 - 10 of 34, Page 1 of 4 pages.

Chand se phul se ya meri zuban se suniye
har taraf aap ka qisa jahan se suniye
sab ko aata hai duniya ko sata kar jina
zindagi kya muhabbat ke dua se suniye
meri aavaz parda mere chehare ka
main hun khamosh jahan mujhako vahan se suniye
kya zaruri hai ki har parda uthaya jaye
mere halat apne apne makan se suniye
Poet of the poem or ghazal or nazam : Nida Fazli

 7 People liked it
4 Ratings

Ae Mere Hamnasheen Chal Aur Kahin
Is Chaman Ab Apna Gujara Nahin
Baat Hoti Gulon Tak To Seh Lete Hum
Ab To Kanto Pe Bhi Haq Hamara Nahin

 3 People liked it
6 Ratings

Bat phoolon ke suna karate the
hum kabhi sher kaha karate the
mashalen leke tumhare gam ke
hum andheron mein chala karate the
ab kahan aisi tabiyat vale
chot kha kar jo dua karate the
tark-e-ehasas-e-muhabbat mushkil
han magar ahal-e-vafa karate the
bikhari bikhari zulfon vale
qafile rok liya karate the
aj gulshan mein shaguf-e-sagar
shikave bad-e-saba se karate the

 0 People liked it
3 Ratings

Patti, Patti Gulab Ban Jati
Har Kali Mehare Khwab Ban Jati
Aapne Dali Na Kuch Aisi Mehkdana Najre
Warna Subhaki Os Bhi Sharabh Ban Jati

 2 People liked it
5 Ratings

Tm Jis Phool Ko Hans Kr Dekho Kbhi Na Wo Murjhay
Tm Jis Hurf Py Ungli Rkh Do Wo Roshn Hojay

 3 People liked it
7 Ratings

Sari Umer Me Ek Pal B Aram Ka Na Tha
Wo Jo Dil Mila Kisi Kam Ka Na Tha
Kaliya Khil Rai Thi Har Gul Tha Taza
Magar Koi Bhi Phool Mere Nam Ka Na Tha

 2 People liked it
3 Ratings

Bagair Jane Pahechane Ikrar Na Kijiye
Muskura Kar Diloko Bekrar Na Kijiye
Phool Bhi De Jate Hai Zakham Gahere Kabhi Kabhi
Har Phul Par Yu Aaitbar Na Kijiye

 8 People liked it
4 Ratings

Tamaam Shehar Main Ab Tu Hai Raaj Kaantoon Ka
Mujhay Qubool Nahi Yeh Samaaj Kaantoon Ka
Chalo K Kuch Tu Tassalli Hoi Meray Dil Ko
Isi Main Khush Hon K Paya Khiraaj Kaantoon Ka
Hamaray Phool Se Chehroon Ko Nochnay Walon
Kabhi Tu Tum Pe Bhi Uteray Anaaj Kaantoon Ka
Sunmbhal Sektay Nahi Ham Yeh Ghum Ki Jaageerain
Utaar Lijiay Ser Se Yeh Taaj Kaantoon Ka
Yeh Aur Baat K Gul Ki Tarah Mehaktay Rahay
Wagerna Rakhtay Thay Hum Bhi Mizaj Kaantoon Ka
Buhat Ajeeb Se Lehjay Main Baat Kerta Hai
Hai Aaj Phool Main Kuch Imtezaaj Kaantoon Ka

 0 People liked it
0 Ratings

Post Shayari

Next Page

Showing Phool Kaante Shayari 1 - 10 of 34, Page 1 of 4 pages.