Pyar Shayari

Pyar Shayari - A large collection of Pyar Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Pyar Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Pyar Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Pyar Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Pyar Shayari

Showing Pyar Shayari 11 - 20 of 413, Page 2 of 42 pages.

Hum ko dushman ke nigahon se na dekha kije
pyar hi pyar hain hum hum pe bharosa kije
chand yadon ke siva hath na kuch aayega
is tarah umr-e-gurezan ka na picha kije
roshni auron ke aangan mein gavara na sahi
kam se kam apne hi ghar mein to ujala kije
kya khabar kab wo chale aayenge milane ke liye
roz palkon pe nai shamaen jalaya kije

 2 People liked it
1 Ratings

Pyaar kamzor dil se kiya nahi ja sakta,
Zeher Dushman se liya nahi ja sakta,

 4 People liked it
1 Ratings

Usna jb jb b mujha dil sa pukara Mohsin
maina tb tb yeh bataya k tumara Mohsin

 4 People liked it
1 Ratings

Fursat-e-kar faqat char ghadi hai yaro
ye na socho ki abhi umr padi hai yaro
apne tarik makanon se to bahar jhanko
zindagi shamma liye dar pe khadi hai yaro
unake bin jee ki dikha denge chalo yun hi sahi
bat itani si hai ki zid aan padi hai yaro
fasala chand qadam ka hai mana lain chal kar
subah aayi hai magar dur khadi hai yaro
kis ki dahaliz pe le jake sajaun is ko
bich raste mein koi lash padi hai yaro
jab bhi chahenge zamane ko badal dalenge
sirf kahane ki liye bat badi hai yaro

 0 People liked it
1 Ratings

Maine Khuda Ke Fariste Se Puchha,
“Keemat Kya Hai Is Duniya Mein Pyar Ki.”
Farista Hass Ke Bola,
“Aansu Bhari Aankhe Aur Ek Puri Umar Intezar Ki.”

 2 People liked it
3 Ratings

Meri zindagi hai zalim, tere gham se aashkara
tera gham hai dar-haqiqat mujhe zindagi se pyara
wo agar bura na mane to jahan-e-rang-o-bu mein
main sukun-e-dil ke khatir koi dhundh lun sahara
ye fulak fulak havayen ye jhuki jhuki ghatayen
wo nazar bhi kya nazar hai jo samajh na le ishara
mujhe aa gaya yaqin sa yahi hai meri manzil
sar-e-rah jab kisi ne mujhe daffa'atan pukara
main bataun farq nasih, jo hai mujh mein aur tujh mein
meri zindagi talatum, teri zindagi kinara
mujhe guftagu se bad kar gam-e-izn-e-guftagu hai
wahi baat puchte hain jo na kah sakun dobara
koi aye ‘shakeel' dekhe, ye junun nahi to kya hai
ke usi ke ho gaye hum jo na ho saka hamara

 1 People liked it
1 Ratings

Pyaar Dil Mein Itna Hai
Ke Sagar Bhi Gehra Nahi

Bandishey Yaha Bhi Lakhon Hain
Par Dil Pe Pehra Nahi

Chheen Sakeh Toh Chheen Le Koi
Meri Aankhon Se Roshni
Par Tera Yeh Chehra Nahi

Roke Se Toh Waqt Bhi Ruk Jaaye
Par Dil Yeh Thehra Nahi.

- Poonam
dedicated to Ali Janasheen – Love you always.

 2 People liked it
0 Ratings

Ghar hamara, jo na rote bhi, to viran hota
bahr gar bahr na hotato bayaban hota
tangi-e-dil ka gila kya, ye wo kafir dil hai
ke agar tang na hota, to pareshan hota
bad-e-yak umr-e-wara, bar to deta bare
kash rizawan hi dar-e-yar ka daraban hota

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Pyar Shayari 11 - 20 of 413, Page 2 of 42 pages.