Pyar Shayari

Pyar Shayari - A large collection of Pyar Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Pyar Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Pyar Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Pyar Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Pyar Shayari

Showing Pyar Shayari 251 - 260 of 413, Page 26 of 42 pages.

Shaam Hote Hi Chiragon Ko Bujha Deta Hoon
Yeh Dil Hi Kaafi Hai Teri Yaad Main Jalne Ke Liye
Yeh Teri Bhi Aankhon Ka Qusur Hai
Main Tanha Gunahgar To Nahi
Tu Is Tarah Se Mere Dil Main Shamil Hai
Jahan Bhi Jaoon Lagta Hai Teri Mahfil Hai
Duniya bhar ki khushiyan hamare saath chali
Qadam mila ke jo hamare saath aap chali
Haath deewane ke de allah kuch aisi qalam,
Aasman par likh ke jaoon hai unhi se pyaar hai
Dil mein tumharey pyaar key jaltey to hain chirag
Mana key in ki roshni tum par ayaan nahi
Na tum bewafa ho, na hum bewafa thay
Magar kya karain apni rahain juda hain
Saamne baithe raho dil ko qaraar aa’aegaa
Jitnaa dekhenge tumheiN utnaa hi pyaar aa’aegaa
Mohabbat kar ke dekhi to, mohabbat ko pehchana hai
Wafa bus naam ki hai, be-wafaai ka fasana hai
Hai kuch baat mo-min jo chaa gaye khamoshi
Kis bout ko de diya dil, kyon bout se ban gaye ho
Dil ki bechaen umangon pe karam farmaao
Itna ruk ruk ke chalogi to qayamat hogi
Raat Ko Jalte Diye bhi Din mai Bujh jaya Karte Hai
Aur ek hum hain jo ki Tere Pyar Me Din Raat Jala Karte Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Ek ek qatre ka mujhe dena pada hisab
khun-e-jigar vadiat-e-mishagan-e-yar tha
ab main hun aur matam-e-yak shahar-e-arazu
toda jo tu ne aaina timasal dar tha
galiyon mein meri nash ko khenche phiro ki main
jan dad-e-hava-e-sar-e-rahaguzar tha
mauj-e-sarab-e-dasht-e-vafa ka na puch hal
har zarra misl-e-jauhar-e-teg aabadar tha
kam janate the hum bhi gam-e-ishq ko par ab
dekha to kam hue pa gam-e-rozagar tha

 0 People liked it
0 Ratings

Pyar Tera Bhula Na Payenge
Hum Hain Pardesi Laut Jayenge
Khat To Tere Jala Diye Humne
Tere Yaadon Ko Khud Se Kahan Chhupayenge

 0 People liked it
0 Ratings

Nasha Tha Unke Pyar Ka
Jis Mein Hum Kho Gaye
Unhe Bhi Nahi Pata Chala
Ki Kab Hum Unke Ho Gaye.

 1 People liked it
0 Ratings

Sarakati jaye hai rukh se naqab aahista-ahista
nikalata aa raha hai aaftab aahista-ahista
jawan hone lage jab wo to hum se kar liya parda
haya yaklakht aayi aur shabab aahista-ahista
shab-e-furkat ka jaga hun farishton ab to sone do
kabhi fursat mein kar lena hisab aahista-ahista
saval-e-vasl par un ko udu ka khauf hai itna
dabe honton se dete hain javab aahista aahista
hamare aur tumhare pyar mein bas farq hai itna
idhar to jaldi jaldi hai udhar aahista aahista
wo bedardi se sar kate ‘ameer' aur main kahun un se
huzur aahista-ahista janab aahista-ahista

 1 People liked it
0 Ratings

Wahi takraar lafzoon ki
Wahi andeshey furqat k
Wahi gumnaam se kasak
Wahi har baat per ranjish
Wahi har baat per larna
Wahi likhna humaray naam ko bay reham mojon per
Wahi apni kitabon mai gulabi titlian rakhna
Wahi bay mani baton main humara zikr ley aana
Humay parday se chup ker dekhna aur muskura dena
Wahi muskan dheemi si
Wahi kuch bolti aankhein
Wahi chup

 0 People liked it
0 Ratings

Kheton mein kam karati hui ladakiyan
jeth ke champai dhup ne
jin ka sona badan
surmai kar diya
jin ko raton mein os aur pale ka bistar mile
din ko suraj saron par jale
ye hare laun mein
sang-e-marmar ke benchon pe baithi hui
un hansi muraton se kaheen khubasurat
kaheen mukhtalif
jin ke jude mein juhi ke kaliyan sajin
jo gulab aur bele ke khushbu liye
aur rangon ke hiddat se pagal phiren
khet mein dhup chunati hui ladakiyan bhi
nai umr ke sabz dahaliz par hain magar
aaaina tak nahi dekhatin
y gulab aur dezi ke hiddat se naashna
khushbuon ke jan lams se bekhabar
phul chunati hain lekin pahanati nahi
in ke malabus mein
tez sarson ke phoolon ke bas
un ke aankhon mein roshan kapas

 0 People liked it
0 Ratings

” Mohabbat to BaaRish hai,
“Jise”…!!!
Choone ki khwaahish mein,
“HatheLiyaan”…..
to Geeli ho jaati hai ..
“”Magar””..,
“Haath”…..
Hamesha khaaLi hiii Rehte hai ….”

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Pyar Shayari 251 - 260 of 413, Page 26 of 42 pages.