Pyar Shayari

Pyar Shayari - A large collection of Pyar Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Pyar Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Pyar Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Pyar Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Pyar Shayari

Showing Pyar Shayari 261 - 270 of 413, Page 27 of 42 pages.

Pyar Ke Do Andaz Hote Hain.

1. Pyar Karna
2. Pyar Pana


Pyar Karne Ki Liye Jazba Chahiye
Or Pane Ke Liye, “Naseeb”

 0 People liked it
0 Ratings

Aage bade na qissa-e-ishq-e-butan se hum
sab kuch kaha magar na khule razadan se hum
ab bhagate hain saya-e-ishq-e-butan se hum
kuch dil se hain dare hue kuch aasman se hum
hansate hain usake giriya-e-beikhtiyar par
bhule hain bat kahake koi razadan se hum
ab shauq se bigad ke baten kiya karo
kuch pa gaye hain aap ke tarz-e-bayan se hum
jannat mein tu nahi agar ye zakhm-e-teg-e-ishq
badalenge tujhako zindagi-e-javidan se hum

 0 People liked it
0 Ratings

Mat Karo Koi Wada Jise Tum Nibha Na Sako
Mat Chaho Use Jise Tum Pa Na Sako
Pyar Kahan Kisi Ka Poora Hota Hai
Iska To Pehla Shabd Hi Adhoora Hota Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Khoyi Khoyi Si
Dheemi Dheemi Si
Thori An-kahi
Thori Si Muskurati
2 Dilo'n ki Hy Ijazat
Mera Naam Hy Mohabbat
Bheege Sapne
Kachi Yaadei'n
Choti Choti Dil Ki Baatei'n
Kehti Hy Ye Zindagi
Kesi Hy Deewangi
Koi Rehta Hy
Aahato'n k Kinarey
Choo Loon Tou Sansanahat
Mera Naam Hy Mohabbat
Kuch Tehreerei'n
Likhte Rehna
Apne Ghar Main
Chalte Rehna
Anjani Baato'nMain Bhi
Hoti Hy Dil Ki Lagi
Sookhey Lamho'n Main
Baarisho'n k Kinarey
Honto'n Pe Hy Shararat
Mera Naam

 0 People liked it
0 Ratings

Chalo Ye Farz Kerty Hy
k
Tum Mashriq
Main Maghrib Hoon
Chalo
Ye Maan Lete Hyn
Bohat Lamba
Safar Hy Ye
Magar Ye Bhi
Haqiqat Hy
Tumhari Zaat Ka Suraj
Meri Hasti main
Duubey Ga …

 0 People liked it
0 Ratings

Phoolo Mein Bhi Kante Hote Hain
Pyar Karne Wale Aksar Rote Hain
Tadapte Hain Deewane Tamaam Umar
Aur Tadpane Wale Chain Se Sote Hain.

 0 People liked it
0 Ratings

Chehra Mera Tha Nigaahein Uski,
Khamoshi Mein Bhi Woh Baatein Uski,
Mere Chehre Par Ghazal Likhti Gayi,
Sher Kehti Hui Aankhein Uski,
Shokh Lamho Ka Pata Dene Lagi,
Tez Hoti Hui Saansein Uski,
Aise Mousam Bhi Guzaare Humne,
Subah Jab Apni Thi Shaam Uski,
Dhayaan Mein Uske Yeh Aalam Tha Kabhi,
Aankh Mehtaab Ki Yaadein Uski,
Faisla Mouj-E-Hawa Ne Likha,
Aandhiya Meri Bahaare Uski,
Neend Is Soch Se Tooti Aksar,
Kis Tarha Kat Ti Hai Raatein Uski,
Door Reh Kar Bhi Sada Rehti Hai,
Mujhko Thaame Hui Baahein Uski…!!!

 0 People liked it
0 Ratings

Koi samajhayiye ki kya rang hai maikhane ka
aankh saqi ke uthe, nam ho paimane ka
garmi-e-shama ka afasana sunanevalo
raqs dekha nahi tum ne abhi paravane ka
chashm-e-saqi mujhe har gam pe yad aati hai
rasta bhool na jaun kaheen maikhane ka
ab to har sham guzarati hai isi kuche mein
ye natija hua naseh tere samajhane ka
ab to har manzil se guzarna to hai aasan “iqbal”
ishq hai nam khud apne se guzar jane ka
Author of the ghazal or Nazam: Iqbal Safi Puri

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Pyar Shayari 261 - 270 of 413, Page 27 of 42 pages.