Pyar Shayari

Pyar Shayari - A large collection of Pyar Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Pyar Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Pyar Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Pyar Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Pyar Shayari

Showing Pyar Shayari 281 - 290 of 413, Page 29 of 42 pages.

Kisane wada kiya hai aane ka
husn dekho garib khane ka
ruh ko aaina dikhate hain
dar-o-divar muskurate hain
aj ghar, ghar bana hai pahali bar
dil mein hai khush saliqagi bedar
jama saman hai aish-o-ishrat ka
khauf dil mein fareb-e-qismet ka
soz-e-qalb-e-kalim aankon mein
ashk-e-ummid-o-bim aankhon mein
chashm-bar-rah-e-shauq ke mare
chand ke intazar mein tare
Poet of the poem/ghazal or nazam : Josh Malihabadi

 0 People liked it
0 Ratings

Chalo tum sath mat dena…
Mujhy beshak bhula dena…
Naye sapne saja lena…
Naye rishte bana lena…
Bhula dena sabhi waday
Sabhi qasmen sabhi Naty…
Tmhen jana! ijazt hay…
Jo dil chahe wo sab karna..
Magar ab tum kisi se bhi..!
Adhora Pyar Mat Karna

 0 People liked it
0 Ratings

Sawaal Paani Ka Nahin, Pyaas Ka Hai
Sawaal Maut Ka Nahin, Saans Ka Hai
Dost To Duniya Mein Bahut Hai Magar
Sawaal Dosti Ka Nahin Pyaar Ka Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Thukarao ya ab ke pyar karo main nashe mein hun
jo chaho mere yar karo main nashe mein hun
ab bhi dila raha hun yaqin-e-vafa magar
mera na aitabar karo main nashe mein hun
girane do tum mujhe mera sagar sambhal lo
itna to mere yar karo main nashe mein hun
mujhko qadam qadam pe bahakane do vaizon
tum apna karobar karo main nashe mein hun
phir bekhudi mein had se guzarne laga hun
itna na mujhase pyar karo main nashe mein hun

 0 People liked it
0 Ratings

Samajta nhi ye dil simjhany chaly aao
Dilo k fasly ko mitany chaly aao
Janoon-e-ishiq main dewany ho gy hain
Apni bahno main mujy smany chaly aao
Na door reh kir tarpao na dil ko tarsao
Apna bana k apnayit dikany chaly aao
Mera ishiq sucha hai mera itebar kro
Mera ishiq mera pyar azmany chaly aao
Majboreo ki dewar tor dety hain log
Tum

 0 People liked it
0 Ratings

Gul tera rang chura laye hain gulzaron mein
jal raha hun bhari barsat ke baucharon mein
mujh se katara ke nikal ja magar ae jan-e-haya
dil ke lau dekh raha hun tere rukhasaron mein
husn-e-begana-e-ehasas-e-jamal acha hai
gunche khilate hain to bik jate hain bazaron mein
zikr karte hain tera mujh se baunavan-e-jafa
charagar phul piro laye hain talvaron mein
zakhm chup sakate hain lekin mujhe fan ke saugaundh
gham ke daulat bhi hai shamil mere shahakaron mein
mujh ko nafarat se nahi pyar se maslub karo
main to shamil hun mohabbat ke gunahgaron mein
Poet of the poem or ghazal or Nazam: Ahmed Nadeem Qasmi

 0 People liked it
0 Ratings

Hamen koi gham nahi tha gam-e-ashiqi se pahale
na thi dushmani kisi se teri dosti se pahale
hai ye meri badanasibi tera kya qasur is mein
tere gham ne mar dala mujhe zindagi se pahale
mera pyar jal raha hai ae chand aj chup ja
kabhi pyar tha hamen bhi teri chandni se pahale
main kabhi na muskurata jo mujhe ye ilm hota
ki hazaron gham milenge mujhe ik khushi se pahale
ye ajeeb imtehan hai ki tumhi ko bhulana hai
mile kab the is tarah hum tumhen bedili se pahale

 0 People liked it
0 Ratings

Sath Chalte Ja Rahe Hain Paas Aa Sakte Nahi
Ik Nadi Ke Do Kinaro Ko Mila Sakte Nahi

Dene Wale Ne Diya Sab Kuch Ajab Andaaz Se
Saamne Duniya Padi Hai Aur Utha Sakte Nahi

Uski Bhi Majbooriyan Hain, Meri Bhi Majbooriyan
Roz Milte Hain Magar Ghar Mein Bata Sakte Nahi

Uski Yaadon Se Mehkane Lagta Hai Sara Badan
Pyar Ki Khushboo Ko Seene Mein Chupa Sakte Nahi

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Pyar Shayari 281 - 290 of 413, Page 29 of 42 pages.