Pyar Shayari

Pyar Shayari - A large collection of Pyar Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Pyar Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Pyar Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Pyar Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Pyar Shayari

Showing Pyar Shayari 341 - 350 of 413, Page 35 of 42 pages.

Pyar Ek Geet Hai Jise Gungunate Hai Hum,
Pyar Ek Rishta Hai Jise Nibhate Hai Hum,
Pyar Ek Afsana Hai Jise Likhte Hai Hum,
Pyar Ek Khushboo Hai Jise Bikherte Hai Hum,
Pyar Ek Dard Hai Jise Harpal Sehte Hai Hum,
Akele Zindgi Nahi Kaati Ja Sakti Mere Yaara,
Isiliye
Bepanah Pyar Tumhe Karte Hai Hum.

 0 People liked it
0 Ratings

Aapke Sms Ko Ehsaan Mante Hai,
Jawab Dena Emaan Mante Hai,
Woh Aur Hai Jo Pyaar Mein Jaan Dete Hai,
Hum To Apko Hi Apni Jaan Mante Hai.

 0 People liked it
0 Ratings

Meri vadi mein wo ik din yun hi aa nikali thi
rang aur nur ka bahata hua dhara ban kar
mahafil-e-shauq mein ik dhum macha di us ne
khalvat-e-dil mein rahi anjuman-ara ban kar
shola-e-ishq sar-e-arsh ko jab chune laga
ud gai wo mere sine se sharara ban kar
aur ab mere tasavvur ka ufaq roshan hai
wo chamakati hai jahan gham ka sitara ban kar
Poet of the poem/ghazal or Nazam: Ali Sardar Jafri

 0 People liked it
0 Ratings

Gulshan mein bahar aayi mere dil ka chaman viran
har shakh hai muskai mere dil ka chaman viran
kaliyon ne bhi khil-khil ke rituon ko sada di hai
patton ne bhi hil-hil ke shakhon ko hawa di hai
mausam pe bahar aayi mere dil ka chaman viran
gunchon se lipatati hai masti bhari purvai
har-su hai nasha chalaka mad-mast ghata chai
phoolon ne li angadai mere dil ka chaman viran
taron-si chamakati hain barakha ke hasin bunden
dulhan-si larazati hain badali mein chipi laharen
bhanvaon ne gazal gai mere dil ka chaman viran
Author of the ghazal or Nazam: Kumar Aansoo

 0 People liked it
0 Ratings

Gam-e-ashiqi se kah do rah-e-am tak na pahunche
mujhe khauf hai ye tohamat mere naam tak na pahunche
main nazar se pee raha tha to ye dil ne bad-dua di
tera hath zindagi bhar kabhi jam tak na pahunche
nai subah par nazar hai magar aah ye bhi dar hai
ye sahar bhi rafta rafta kaheen sham tak na pahunche
wo nava-e-muzamahil kya na ho jis mein dil ki dhadakan
wo sada-e-ahale-dil kya jo avam tak na pahunche
unhen apne dil ki khabaren mere dil se mil rahi hain
main jo unase ruth jaun to payam tak na pahunche
ye ada-e-beniazi tujhe bevafa mubarak
magar aisi berukhi kya ki salam tak na pahunche
jo naqab-e-rukh utha di to ye qaid bhi laga di
uthe har nigah lekin koi bam tak na pahunche
wohi ik khamosh nagma hai “shakeel” jan-e-hasti
jo zuban tak na aaye jo qalam tak na pahunche
Poet of the poem/ghazal or Nazam: Shakeel Badayuni

 0 People liked it
0 Ratings

Gile fuzul the ahad-e-vafa ke hote hue
so chup raha sitam-e-narava ke hote hue
ye qurbaton mein ajab fasale pade ki mujhe
hai aashna ke talab aashna ke hote hue
wo hilagar hain jo majaburiyan shumar karen
chirag hum ne jalayen hawa ke hote huye
na kar kisi pe bharosa ke kashtiyan dubin
khuda ke hote huye nakhuda ke hote huye
kise khabar hai ki kasa-ba-dast phirate hain
bahut se log saron par huma ke hote hue
‘faraz' aise bhi lamhen kabhi kabhi aaye
ki dil girifta raha dilruba ke hote hue
Poet of the poem or ghazal or Nazam is Ahmed Faraz

 0 People liked it
0 Ratings

Kese Bataye Tumhe Kitna Pyar Karte Hai
Sochte Hai Kah De Par Kahne Se Darte Hai
Kahi Dosti Ka Rista Tut Na Jaye Hamara
Bas Isliye Ham Chup Raha Karte Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Tujhe Muhabbat Karna Nahi Ata,
Mujhe Muhabbat K Siva Kuch Nahi Ata….
Pyar Karne K B Do He Tareekay Hein,
Aik Tujhe Nahi Ata Aik Mujhe Nahi Ata…

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Pyar Shayari 341 - 350 of 413, Page 35 of 42 pages.