Pyar Shayari

Pyar Shayari - A large collection of Pyar Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Pyar Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Pyar Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Pyar Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Pyar Shayari

Showing Pyar Shayari 371 - 380 of 413, Page 38 of 42 pages.

Tere khushbu mein base khat main jalta kaise
jin ko duniya ke nigahon se chupaye rakha
jin ko ik umr kaleje se lagaye rakha
din jin ko, jinhen iman banaye rakha
jin ka har lafz mujhe yaad tha pani ke tarah
yaad the mujh ko jo paigam-e-zubani ke tarah
mujh ko pyare the jo anmol nishani ke tarah
tune duniya ke nigahon se jo bachakar likhe
salaha-sal mere naam barabar likhe
kabhi din mein to kabhi raat mein uthakar likhe
tere khushbu mein base khat main jalta kaise
pyar mein dube huye khat main jalta kaise
tere hathon ke likhe khat main jalta kaise
tere khat aj main ganga mein baha aaya hun
aag behte huye pani mein laga aaya hun

 0 People liked it
0 Ratings

Unhai Jab Dekha Humne To Dekhte Reh Gaye,
Apna Dil Na Jane Kab De Gaye,

Pyar Kya Hota H Ye Mil Ker Jana Unse,
Is Me Dard Bhi Hota H Dur Reh Ker Jana Unse,

Is Dard-E-Dil Ki Wo Dawa Bangayi,
Dil Ka Sukun Rooh Ki Pyaas Bangayi,

Apne Pyar Ka Izhar Kaise Ker Dete Unse,
3 Lafzon Me Seemat Jaye Aisa Pyar Hi Kaha Tha Unse,

Pehla Pyar Banke Is Dil Me Dhadakne Lagi,
Socha Maang Lu Sath Uska Us Se Hi,
Per Kaha Tha Raaz-E-Wafa Aana Mere Mukaddar Me,

So Tod Diya Dil Aur Chali Gai Chhod Ke,
Is Be-Dard Tanhayi Aur Bebasi Ke Sheher Me,

Bus Bechaniyo Ka Hi Sath Tha Akhir Tak,
Yehi Sabab Bani Pehli Galti Ka Ab Tak..

 0 People liked it
0 Ratings

Ab aur kya tera bimar bap dega tujhe
bas ek dua ki khuda tujh ko kamayab kare
wo tank de tere aanchal mein chand aur tare
tu apne vaste jis ko bhi intakhab kare
Author of the ghazal or Nazam: Kaifi Azmi

 0 People liked it
0 Ratings

Chupchap Kahi Rakha To Hai,
Ek Khawaab Humne Dekha To Hai,
Kal Shaam Yuhi Tanha Beithkar,
Tere Baare Mein Socha To Hai,
Doobte Sooraj Ugte Chaand Par,
Tere Liye Paigaam Bheja To Hai,
Behti Hawa,Saagar Ki Lehron Par,
Tera Hi Naam Likha To Hai,
Aasman Ko Jab Gaur Se Dekha,
Tera Hi Chehra Dikha Humko Hai,
Karib Ka Nahi Door Ka Sahi,
Koi Ek Rishta Bana To Tumse Hai..!!!

 0 People liked it
0 Ratings

Ek muddat hui ek zamana hua
khak-e-gulashan mein jab aashiyana hua
zulf-e-baraham ki jab se shanasai hui
zindagi ka chalan mujremana hua
phul jalate rahe chand hanste raha
aarzoo ka muqammal fasana hua
daag dil ki shahanshah ki sikke bane
dil ka muflis-kada jab khazana hua
rahbar ne palat kar na dekha kabhi
rahr-o-raste ka nishana hua
hum jahan bhi gaye zauq-e-sajda liye
har jagah aap ka aasatana hua
dekh mizarab se khoon tapakane laga
saz ka tar marg-e-tarana hua
pahale hoti thi koi vafa-paravari
ab to “sagar” ye qissa purana hua
Poet of the poem or ghazal or Nazam is Sagar Siddiqui

 0 People liked it
0 Ratings

Zindagi mein to sabhi pyar kiya karte hain
main to mar kar bhi meri jan tujhe chahunga
tu mila hai to ye ehasas hua hai mujhko
ye meri umr mohabbat ke liye thodi hai
ik zara sa gam-e-dauran ka bhi haq hai jis par
main ne wo sans bhi tere liye rakh chodi hai
tujh pe ho jaunga quraban tujhe chahunga
apne jazbat mein nagmat rachane ke liye
main ne dhadakan ke tarah dil mein basaya hai tujhe
main tasavvur bhi judai ka bhala kaise karun
main ne qismat ke lakiron se churaya hai tujhe
pyar ka ban ke nigehaban tujhe chahunga
teri har chap se jalate hain khayalon mein chirag
jab bhi tu aaye jagata hua jadu aaye
tujh ko chu lun to phir ae jan-e-tamanna mujhko
der tak apne badan se teri khushbu aaye
tu baharon ka hai unawan tujhe chahunga
Poet  of  the Poem or Ghazal or Nazam :Qateel Shifai

 0 People liked it
0 Ratings

Pyar Se Jeo, Ghum Ke Yeh Raat Guzar Na Jaaye Toh Kehna
Pyar Se Dekho, Pyar-Hi-Pyar Nazar Na Aaye Toh Kehna
Pyar Se Bulaakar Toh Dekho Hamein
Mar Kar Waapas Na Aaye Toh Kehna

 0 People liked it
0 Ratings

Jeevan Ke Is Safar Mein Woh Lamhe Mitaye Kaise,
Jaate Jaate Yeh To Bata Ja Main Tujhko Bhulaon Kaise,
In Jalti Bujhti Aankhon Mein Jo Pyar Ka Diya Roshan Tha,
Us Diye Ki Roshni Ko Ab Main Bujhaon Kaise,
Tumhi Ne Bataya Tha Ke Tanha Jiya Nahi Karte,
Ab Tanha Chhod Gaye Ho To Khud Ko Samjhaon Kaise,
Khwahishon Ki Takmeel Mein Dukho Ki Sugaat Liye,
Apne Is Jeevan Ko Ab Main Bitaon Kaise..!!!

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Pyar Shayari 371 - 380 of 413, Page 38 of 42 pages.