Random Shayari

Random Shayari - A large collection of Random Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Random Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Random Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Random Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Random Shayari

Showing Random Shayari 991 - 1000 of 1962, Page 100 of 197 pages.

Jin Ko Dhoke Se Kufa Bulaya Gaya
Jin Ke Bachchon Ko Pyaasa Rulaya Gaya
Jin Ke Gardan Pe Khanjar Chalaya Gaya
Us Hussain Ibne Haider Pe Lakhon Salam
Kaun Shabbir Woh Jin Ka Nana Nabi
Jin Ki Maa Fatima Jin Ka Baba Ali
Us Hussain Ibne Haider Pe Lakhon Salam

Karliya Jis Ne Naush Shahadat Ka Jam
Us Hussain Ibne Haider Lakhon Salam
Jin Ka Jhula Farishtey Jhulate Rahe
Lohrian De Ke Noori Sulaate Rahe
Us Hussain Ibn E Haider Pe Lakhon
Jis Ne Nana Ka Wada Wafa Kar Dia
Jis Ne Haq Karbala Mein Ada Kar Diya
Apne Ghar Ko Suparde Khuda Kar Diya
Jis Ne Neze Par Bhi Quran Par Diya
Us Hussain Ibne Haider Pe Lakhon Salam
Ya Elahi Sadqa E Ahle Rasool
Yeh Salaam E Ajizana Ho Kubool

 0 People liked it
0 Ratings

Udasi Aasmaan Hai Dil Mera Kitna Akela Hai
Parinda Sham Ke Pul Per Bahut Khamosh Baitha Hai

Main Jab So Jayun In Akhon Pe Apne Honth Rakh Dena
Yakeen Aa Jayega Palko Tale Bhi Dil Dhadkata Hai

Tumhare Shehar Mein Saare Diye To So Gaye Lekin
Hawa Se Poochna Dehleez Pe Ye Kaun Jalta Hai

Kabhi Main Apne Haatho Ki Lakeeron Se Nahi Uljha
Mujhe Maloom Hai Kissmat Ka Likha Bhi Badlata Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Meri rooh jesay kuchal gya,
koi shaks aisy badal gya,
ye kis ka harf-e- dua raha,
k main girty girty sanbhal gya,
teri yaad jab aany lagi,
mera dard jesy behal gya,
meri qismaton ka qaafla,
kisi aur janib nikal gya,
tumhain dekhty hain bysabab,
koi khawab mera machal gya,
mera patharon sa garoor tha,
magar tery aqgy pighal gya.

 0 People liked it
0 Ratings


” yaad nahi kya kya dekha tha sare amnjar bhool gaye..
unaki galiyonse jub laute apana bhi ghar bhool gaye
khub gaye pardes ke apani dewareon dar bholl gaye
shish mahal mein aaisa duba mitti ke ghar bhool gaye
tuzako bhi jub apani kasme apne wade yaad nahi
hum hi apane khawab tere aakhon me rakh kar bhool gaye
muzako jinhone katal kiya hai koi unhe batlaye “Najir”
meri lash ke pahaloo me woh apane khanjar bhool gaye ”

 0 People liked it
0 Ratings

Khud Khuda Hi Aap Par
Naaj Bahut Karta Hai
Kaamdev Bhi Roj Dekh Kar
Sajata Aur Savarta Hai.

 0 People liked it
0 Ratings

Khuda Kare Ki Pyar Me Kisi Ka Dil Na Toote
Jaise Rutha Mera Sanam Kisi Aur Ka Na Ruthe
Rota Hai Dil Aur Toot Jate Hain Sapne
Ankhon Ke Aansoo Bhi Nahin Hote Hain Apne

 0 People liked it
0 Ratings

Ye Nafrat Buri Hai, Na Paalo Isay
Dilo Main Khalish Hai ,Nikalo Isay
Na Tera ,Na Mera ,Na Iska , Na Uska
Ye Sab Ka Watan Hai,Bacha Lo Isay

 0 People liked it
0 Ratings

Na khauf-e-barq na khauf-e-sharar lage hai mujhe
khud apne bag ke phoolon se dar lage hai mujhe
ajeeb dard ka rishta hai sari duniya mein
kaheen ho jalta makan apna ghar lage hai mujhe
main ek jam hun kis kis ke honth tak pahunchun
gazab ke pyas liye har bashar lage hai mujhe
tarash leta hun us se bhi aaine “manzoor”
kisi ke hath ka pathar agar lage hai mujhe

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Random Shayari 991 - 1000 of 1962, Page 100 of 197 pages.