Random Shayari

Random Shayari - A large collection of Random Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Random Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Random Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Random Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Random Shayari

Showing Random Shayari 1011 - 1020 of 1962, Page 102 of 197 pages.

Bus Iss Khayaal Se Zinda Hain , Tu Humara Hai
Jo Tu Raha Na Tow Kuch Nahi Rahay Ga Jeenay Main
Meray Watan!!! Tujhay Kaisay Yeh Dhoop Chatay Gi
Hazaar Maa’on K Anchal Hain Teray Seenay Main

 0 People liked it
0 Ratings

Ek Raat Vo Mile Khwab Me
Hamne Pucha Kyo Thukraya Aapne?
Jab Dekha Unki Aankho Me Bhi Aansu The
Phir Kaise Puchte Kyo Rulaya Aapne

 0 People liked it
0 Ratings

Bahut Dur Magar Bahut Paas Rehte Ho
Aankhon Se Dur Magar Dil Ke Paas Rehte Ho
Mujhe Bas Itna Bataa Do Ae Dost
Kya Tum Bhi Mere Bina Udaas Rehte Ho

 0 People liked it
0 Ratings

Ab Tere Mere Beech Koi Faasla Bhi Ho
Hum Log Jab Milen, To Koi Doosra Bhi Ho

Tu Jaanta Nahi Meri Chahat Ajeeb Hai
Mujhko Mana Raha Hai, Kabhi Khud Khafa Bhi Ho

Tu Bewafa Nahi Hai Magar Bewafai Kar
Uski Nazar Mein Rehne Ka Kuch Silsila Bhi Ho

Patjhad Ke Toot-te Huye Patton Ke Sath-Sath
Mausam Kabhi To Badlega Ye Aasra Bhi Ho

Chupchap Usko Baith Ke Dekhu Tamaam Raat
Jaga Hua Bhi Ho, Koi Soya Hua Bhi Ho

Uske Liye To Maine Yahan Tak Duaein Ki
Meri Tarah Se Koi Use Chahta Bhi Ho

 0 People liked it
0 Ratings

Tumse Doori Ka Ehsaas Sataane Lagaa,
Tere Saath Guzaraa Har Lamha Yaad Aane Laga,
Jab Bhi Tujhe Bhoolne Ki Koshish Ki Aye Dost,
Tu Dil Ke Aur Bhi Kareeb Aane Laga !

 0 People liked it
0 Ratings

Tum Meri Kashti Ke Musafir Nahi
Tumhe Jaana Kahi Aur Hai
Main Tanha Hu Es Safar Me
Mujhe Manzil Ki Talaash Hai
Mera Jism Zakhmo Se Hai Chalni
Meri Ruh Ka Bhi Pata Nahi
In Viraniyo Ke Aalam Me
Mujhe Manzil Ki Talaash Hai
Maine Joda Tha Ek Karvaan
Ek Ek Kar Sab Bichad Gaye
Bas Mujhi Ko Manzil Na Mili
Mujhe Manzil Ki Talaash Hai
Maine Pyar Unse Kiya Bohot
Par Hath Me Aaya Kuch Nahi
Bewafao Ki Is Basti Mein
Mujhe Manzil Ki Talaash Hai
Aankho Mein Ab Neend Nahi
Aansu Bhi Hai Sukh Chuke
Koi Raasta Dikha Do Mujh Ko
Mujhe Manzil Ki Talaash Hai
Wo Gaya Yuh To Dur Hai
Par Aayega Ek Din Zarur
Kamsin Ab Ke Use Keh Dena
Mujhe Manzil Ki Talaash Hai
Yuh Raah Me Na Choda Kare
Raasta Bohot Kathin Hai
Waqt Aur Na Barbaad Kare
Mujhe Manzil Ki Talaash Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Shabab aaya kisi but par fida hone ka waqt aaya
meri duniya mein bande ke khuda hone ka waqt aaya
unhen dekha to zahid ne kaha iman ke ye hai
ki ab insan ko sajada-rava hone ka waqt aaya
takallum ke khamoshi kah rahi hai harf-e-matalab se
ki ashk-amez nazron se ada hone ka waqt aaya
khuda jane ye hai auj-e-yaqin ya pasti-e-himmat
khuda se kah raha hun nakhuda hone ka waqt aaya
hamen bhi aa pada hai doston se kam kuch yani
hamare doston ke bevafa hone ka waqt aaya

 0 People liked it
0 Ratings

Apki Zindagi Ka Har 1 Lamha Suhana Ho
Jholi Me Aapki Khushiyo Ka Khazana Ho
Naya Mile Sub Kuch Aapko Harpal
Bas Hamara Saath Purana Ho

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Random Shayari 1011 - 1020 of 1962, Page 102 of 197 pages.