Random Shayari

Random Shayari - A large collection of Random Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Random Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Random Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Random Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Random Shayari

Showing Random Shayari 1101 - 1110 of 1962, Page 111 of 197 pages.


sooraj roz aata rahe roz gaata rahe
leke kiranon ke mele
palachhin kaliyaan gin gin tera har din
tab tak rangon se khelen
rang jab tak baaki hai bahaaron mein
tum jiyo hazaaron saal
saal ke din hon pachaas hazaar .
yahaan vahaan shaam ho chaahe jahaan
yoon hi jhoome shama sunake tumhaari baaten
pyaar liye chaand ka teeka liye
yoon hi juganu liye chamake tumhaari raaten
noor jab tak baaki hai sitaaron mein
tum jiyo hazaaron saal
saal ke din ho pachaas hazaar .

 0 People liked it
0 Ratings

Soch Lena Chahiye
Bicharne Se Zara Pehle
Tumhe Bhi Soch Lena Chahiye Tha
Tumhe Bhi Soch Lena Chahiye Tha
Ke Yoon Chahat Ko Thukraya Nahi Karte
Ke Yoon Anjaan Ban Kar Chain Se Jeena Hamare Waste
Mumkin Nahi Hoga
Tumhe Bhi Soch Lena Chahiye Tha
Ke Wo Batein Jo Hum Ik Dosre Se Kar Chuke Hain
Ab Kabhi Wapis Na Aaein Gi
Ke Har Lamhe Jo Hum Ek Dosre Me Ji Chuke Hain
Phir Kabhi Zinda Nahi Hoo Ge
Bicharne Se Zara Pehle
Tumhe Bhi Soch Lena Chahiye Tha
Khalid Shareef

 0 People liked it
0 Ratings

Rang Da Gulab Ba Sa Vi,
Khwand Da Sharab Ba Sa Vi.
Che De Kukai Ta Gorom,
Speny Spogmay Ta Gorom.
Sta Da Shabab Pa Makhke,
Da Cha Shabab Ba Sa Vi.
Che Sta Khabare Awram,
Laka Sandare Awram.
Sta Da Awaz Pa Makhke,
Tang Da Rabab Ba Sa Vi.
Che De Jamal Ta Goram,
Laka Mashaal Ta Goram.
Sta Da Jalal Pa Makhke,
Rustam Sohrab Ba Sa Vi.
Sta Da Zulfaano Na Zaar,
Da Sro Labano Na Zaar.
Sta Da Khalono Makhke,
Gohar Nayab Ba Sa Vi.
KHIYALA 6 Ta Owenam,
Goya Dunya Owenam,
Sta Da Khaist Pa Makhke,
Khaista Mahtaab Ba Sa Vi.

 0 People liked it
0 Ratings

Hath mera ae meri parachain tu hi tham le
ek muddat se mujhe to sujhata kuch bhi nahi
shahar-e-shab mein kaun-sa ghar tha na di jis par sada
neend ke andhe musafir ko mila kuch bhi nahi
umr bhar umr-e-gurezan se na meri ban saki
jo kare karati rahe main puchata kuch bhi nahi
wo bhi shayad ro pade viran kagaz dekh kar
main ne us ko aakhiri khat mein likha kuch bhi nahi

 0 People liked it
0 Ratings


aap ki khaatir,mere dil ka jahaan hai haazir
apne saare armaan kar doon main zaahir

 0 People liked it
0 Ratings

Aansoon Ki Keemat Who Kya Jaane
Jo Har Baat Pe Aansoon Bahaate Hai
Iski Keemat Toh Unse Puncho
Jo Ghum Me Bhi Muskuraate Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Bohat Israar Posheeda Hai Iss Tanha Pasandi Main
Yeh Mat Samjhoo K Deewani Jahan Deeda Nahi Hote
Ta`jub Kia hy Aye IQBAL Jo Dunia Tujse Nakhush Hai
Bohat Se Loog Duniya Pasandeeda Nahi Hote ..

 0 People liked it
0 Ratings

Sadama to hai mujhe bhi ki tujhase juda hun main
lekin ye sochata hun ki ab tera kya hun main
bikhara pada hai tere hi ghar mein tera vajud
bekar mahafilon mein tujhe dhundhata hun main
main khudakashi ke jurm ka karta hun aitaraf
apne badan ke qabr mein kabase gada hun main
kis-kisaka naam laun zaban par ki tere sath
har roz ek shakhs naya dekhata hun main
na jane kis ada se liya tune mera naam
duniya samajh rahi hai ke sab kuch tera hun main
le mere tajurbon se sabak ae mere raqib
do char saal umr mein tujhase bada hun main
jaga hua zamir wo aaina hai “qateel”
sone se pahale roz jise dekhata hun main

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Random Shayari 1101 - 1110 of 1962, Page 111 of 197 pages.