Random Shayari

Random Shayari - A large collection of Random Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Random Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Random Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Random Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Random Shayari

Showing Random Shayari 1221 - 1230 of 1962, Page 123 of 197 pages.


meri har ek baat main tum ho,
mere har jasbaat main tum ho,
meri ek ek raat ke saaye main tum ho,
sapno main tum ho,
haqiqat main tum ho,
phir bhi tum meri zindgi main shaamil nhi ho.
har saans main tum ho,
har dharkan main tum ho,
har chalney ki aahat main tum ho,
khamoshi main tum ho,
awaaz main tum ho,
phr bhi tum meri zindgi main shaamil nahi ho.
hooton pe muskurhat bankar ho,
aakon main sapna ban kar ho,
galey main sona ban kar ho,
sir par ashirwaad ban kar ho,
har musibat main dosti ban kar ho,
akela ..
unn raho pe jiss ke saath chalta tha,
aaj unn raho pe apni tanhaaiyon ke saath chlta hun,
kon kehta hai mein akela hun.
mere dost mere paas nahi hai toh kya hua,
unki yaadon ke saaath rehta hun,
kon kehta hai mein akela hun.
aaj bhi usko dhundney har raat ko niklta hun,
uska aaj bhi wahi par intzaar karta hun,
pta hai woh ni aayegi,
magar uskey intzaar main waqt se baat karta hun,
kon kehta hai mein akela hun.
sunsaan galio main jaakar rota hun,
woh mere aasun puchti thi yehi baat sochtha hun,
mere khayalo, mere dil, mere har ek pal main hai woh,
kon kehta hai mein akela hun.
dur .
kal tak woh paas thay,
aaj woh humsey dur ho gye
kal tak jiss waqt uski aakon main dekhta tha,
aaj uss waqt uski yadoon main kho gye
har pal jab uskey saath tha,
kush tha.
magar ab woh dur ho gye.
saath chalney kaa wada kiya tha,
magar aaj akele ho gye..
har khushi ki wajah woh hoti thay,
aaj aasun ki wajah ban gye.
woh humsey dur ho gye..
unhoney mere liye kisi ko ****a tha,
aaj unhi ki wajah se mujey **** gye..
woh humsey dur ho gye.
woh humari har baat maantey thay,
aaj jab unki baat maanney kaa wada kiya,
toh isi baat ka bahana bana kar chaley gye.
woh humsey dur ho gye..
kal tak jeeney ki wjah thay,
aaj marney ki wjah ban gye.
woh humsey dur hogye.
intzaaar
mujy aaj b uss raat ka intzaar hai..
jismey maine ussey chaand main dekha tha..
mujy aaj b unn sapno ka intzaar hai
jinmey unsey mila tha..
mujy aaj b unn palo ka intzaar hai..
jinmey unke saath tha..
mujy aaj b unka intzaar hai.
mujy intzaar hai har uss baat ka..
jo maine unke saath ki hai.
mujy aaj b intzaar hai unn aakhon ka..
jo mujy har pal dekhti hai.
mujy aaj b intzaar hai haaton ka..
jo mere haaton main hai.
mujy aaj b unka intzaar hai.
kaash mujy yeh mukkmal jahan mil jaata,
manzil tak saath dene k liye koi humrahi mil jaata,
mere gamo ko apna kehne wala mil jaata,
kaash mujy yeh mukkmal jahan mil jaata.
kaash mujy yeh mukkmal jahan mil jaata,
andhera dur karne k liye chiraag miljaata,
saari khwaaish puri karne k liye bagwaan mil jaata,
kaash mujy yeh mukkmal jahan mil jaata.
kaash mujy yeh mukkmal jahan mil jaata,
faasle mitaaney k liye waqt mil jaata,
unski ek jhalak paaney k liye unka ek ikraar mil jaata,
kaash mujy yeh mukkmal jahan mil jaata.
kaash mujy yeh mukkmal jahan mil jaata,
duniya se janey se pehle unka pyaar mil jaata,
iss duniya main wapis aane ka ek bahaana mil jaata,
kaash mujy yeh mukkmal jahan mil jaata.

 0 People liked it
0 Ratings

Ya Rab Gham-E-Hijraan Mein, Itna Tu Kiya Hota
Jo Haath Jiger Per Hai, Woh Dast-E-Dua Hota
Ik Ishq Ka Gham Afat Aur Uss Oe Yeh Dil Afat
Yan Gham Na Diya Hota, Yan Dil Na Diya Hota
Nakaam Tammana,Dil Iss Soch Mein Rehta Hai
Yun Hota Tu Kya Hota, Yun Hota Tu Kya Hota?
Umeed Tu Bandh Jaati, Taskeen Tu Ho Jaati
Waada Na Wafaa Karte ,Waada Tu Kya Hota
Ghairoon Se Kaha Tumne, Ghairoon Se Suna Humne
Kuch Humse Kaha Hota, Kuch Humse Suna Hota
Poet : Charagh Hassan Hasrat
Urdu Version:
یا رب غمِ ہِجراں میں اِتنا تو کِیا ہوتا
جو ہاتھ جِگر پر ہے وہ دستِ دُعا ہوتا
ایک عِشق کا غم آفت اور اُس پہ یہ دِل آفت
یا غم نہ دیا ہوتا یا دِل نہ دیا ہوتا
غیروں سے کہا تم، نے غیروں سے سُنا تم نے
کچھ ہم سے کہا ہوتا، کچھ ہم سے سُنا ہوتا
ناکامِ تمنّا دِل اِس سوچ میں رہتا ہے
یوں ہوتا تو کیا ہوتا، یوں ہوتا تو کیا ہوتا
امّید تو بندھ جاتی، تسکین تو ہوجاتی
وعدہ نہ وفا کرتے، وعدہ تو کِیا ہوتا
(چراغ حسن حسرت )

 0 People liked it
0 Ratings

Kaanto Ke Badle Phool Kya Doge
Aansoon Ke Badle Khushi Kya Doge
Hum Chahate Aap Se Umar Bhar Ka Saath
Hamare Iss Sawal Ka Jawab Kya Doge

 0 People liked it
0 Ratings

Javed Akhtar’s shayari declaimed by Farhan Akhtar in Zindagi Na Milegi Dobara has won numerous hearts and left a lot of a viewer with a lump in the throat. On popular demand, we decided to publish these Shayaris for our readers.



Jab-Jab Dard Ka Baadal Chaya
Jab Gham Ka Saya Lehraya
Jab Aansoo Palkon Tak Aya
Jab Yeh Tanha Dil Ghabraya
Humne Dil Ko Yeh Samjhaya
Dil Aakhir Tu Kyun Rota Hai

Duniya Mein Yunhi Hota Hai
Yeh Jo Gehre Sannaate Hain
Waqt Ne Sabko Hi Baante Hain
Thoda Gham Hai Sabka Kissa
Thodi Dhoop Hai Sabka Hissa
Aankh Teri Bekaar Hi Nam Hai
Har Pal Ek Naya Mausam Hai
Kyun Tu Aise Pal Khota Hai
Dil Aakhir Tu Kyun Rota Hai

Pighle Neelam Sa Behta Ye Sama
Neeli Neeli Si Khamoshiyan
Na Kahin Hai Zameen Na Kahin Aasmaan
Sarsaraati Hui Tehniyaan-Pattiyaan
Keh Rahi Hain Bas Ek Tum Ho Yahan
Bas Main Hoon, Meri Saanse Hain Aur Meri Dhadkane
Aisi Gehraiyaan, Aisi Tanhaiyaan, Aur Main. Sirf Main
Apne Hone Par Mujhko Yakeen Aa Gaya

Dilon Mein Tum Apni Betaabiyan Leke Chal Rahe Ho, Toh Zinda Ho Tum
Nazar Mein Khwabo Ki Bijliyan Leke Chal Rahe Ho, Toh Zinda Ho Tum

Hawa Ke Jhokon Ke Jaise Aazad Rehna Seekho
Tum Ek Dariya Ke Jaise Lehron Mein Behna Seekho
Har Ek Lamhe Se Tum Milo Khole Apni Baahein
Har Ek Pal Ek Naya Samaa Dekhiye

Jo Apni Aankhon Mein Hairaniya Leke Chal Rahe Ho, Toh Zinda Ho Tum
Dilon Mein Tum Apni Betaabiyan Leke Chal Rahe Ho, Toh Zinda Ho Tum

 0 People liked it
0 Ratings


sach to ye hai ki kasur apana hai
chand ko chune ki tammana ki
asama ko zamin par manga
full chaha to patharo pe khile
katto mi ki taras khushbu ki
arzoo ki ke aag thandak de
barf me dhundhate rahe garmi
khvab jo dekha chaha sach ho jaye
isaki hamako saja to milani thi
sach to ye hai ki kasur apana hai.

 0 People liked it
0 Ratings

Muskurate The Jo Hum To Sama Roshan Ho Jata Tha
Lagte The Jo Doston Se Gale To Rom Rom Khil Jata Tha
Waqt Bhi Na Jaane Kuch Palon Mei Simat Jata Tha
Bewajah Hasne Ka Silsila Aksar Suru Ho Jata Tha.

Khwaab Ko Palkon Pe Sajakar
Doston Ke Saath Kadam Se Kadam Milakar
Bewajah Hi Hum Nikal Padte The
Besaq Aate The Kuch Kam Paise Ghar Se
Par Wo Bhi Bahut Lagte The.

Dil Bhi Aksar Kisi Ko Dekhkar Aahen Bharta Tha
Uska Chehra Har Waqt Khwabon Mei Sajta Tha
Muskurati Thi Wo To Sara Gulshan Mehakta Tha
Par Na Jaane Kyun Dil Kuch Kehne Se Darta Tha.

Aati Jo Thi Exams Ki Date Kareeb To Khamoshi Cha Jaati Thi
Har Kahin Paper Leak Hone Ki Afwahen Sunai Pad Jaati Thi
Paper Hamesha Acche Hi Na Jaan Kaise Ho Jaate The
Bas Uske Baad To Masti Se Baaki Din Bitaate The.

Aksar Abhi Bhi Khayalon Mei Wo Din Yaad Aate Hain
Bewajah Hi Lub Khud B Khud Muskura Jaate Hain
Hum Bhi Kuch Pal Ke Liye Hi Sahi Tension Bhool Jaate Hain
Apne Aap Ko Kisi Jaanat Ki Duniya Mei Paate Hain.

 0 People liked it
0 Ratings

Karavan guzra kiya hum rahaguzar dekha kiye
har qadam par naqsh-e-pa rahabar dekha kiye
yas jab chai ummiden hath mal kar reh gain
dil ke nabazen chut gayin aur charagar dekha kiye
rukh meri janib nigah-e-lutf dushman ke taraf
yun udhar dekha kiye goya idhar dekha kiye
dard mandan-e-vafa ke haye re majaburiyan
dard-e-dil dekha na jata tha magar dekha kiye
tu kahan thi ae ajal ae namuradon ke murad
maranevale reh teri umar bhar dekha kiye

 0 People liked it
0 Ratings

Baheti Hui Naadi Mein Unka Peaas Hain
Jalti Hui Shama Mein Unki Gharmi Ka Ehesaas Hain
Kisi Aur Ke Saath Ghar Basa Liya Humne
Seene Mein Basi Wahi Bewafa Pyar Ka Zeher Ki Raas Hain….

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Random Shayari 1221 - 1230 of 1962, Page 123 of 197 pages.